Android Mobile Me Personal Calls Ko Hide Ya Lock Kaise Kare
Android Mobile Me Personal Calls Ko Hide Ya Lock Kaise Kare . Friends aaj ki post me aap janege ki kaise hum apne android mobile me kisi bhi number ki caller id ko hide kar sakte hai or kaise hum apni incoming calls par lock laga sakte hai . Yani ke personal calls ko hide ya lock kaise kar sakte hai ( Phone Number Kaise Chupaye ) .
Friends kai bar hamare mobile me kuch aise number hote hai jin ko hum chupana chahte hai ya hum chahte hai ki un number se call aaye to koi dusra us number se aai hui call ko resive na kar paye . maan lijiye aapne apne ghar me apna phone kai rakha hai or aap kai chahle jate hai to agar aapke phone par koi call aata hai to usko koi bhi utha sakta hai .
Par aaj me aapko is post me ek aisi mobile application ke bare me bataunga jisko agar aap apne mobile me install kar lete hai to fir aapke alava koi bhi aapke mobile par call resive nahi kar payega . Ham us apne personal number par lock laga sakte hai or agar chahe to uska number or caller ID ko hide bhi kar sakte hai . To chaliye is bare me or jante hai Mobile Me Personal Calls Ko Hide Ya Lock Kaise Kare .
Android Mobile Me Personal Calls Ko Hide Ya Lock Kaise Kare
iskse liye hun apne mobile me ek mobile application ko install karna padega . Is App ko install karne ke liye apne mobile me google play store me jaye or google play store ke search box me type kare – couchgram .
Search box me Couchgram likh kar jaise hi aap search karenge aapke samne kai sare result aayenge . usme se Couchgram, call & App Lock par click kare . niche image dekhe .
Is Mobile application ko apne mobile me install kar le or install karne ke baad jaise hi couchgram App open hogi to aapke samne niche di gai image jaisi screen aayegi yaha par aapko START ka button dikhega . START ki button par click kare .
START ki button par click karte hi hamare samne niche di gayi image jaisi screen aayegi yaha par hamare samne tin button honge . isme se Incoming call lock setting ki button par click kare .
Ab hamare samne jo screen aayegi vaha par hame apni incoming screen par lock lagane ke liye kisi lock ko chunna hai . yaha par hamare samne 5 tareh ke option diye gaye hai jinka use kar ke hum apni personal calls par lock laga sakte hai .
- Patter Mode : Yaha par click kar ke hum Pattern lock ko laga sakte hai . simple aapko jo pattern rakhna ho usko set kare .
- 2 digits lock mode : Yaha par click kar ke aap 2 anko ka pin set kar sakte hai .
- 4 digits lock mode : yaha se hum , 4 anko ka pin set kar sakte hai . uper image me point 3 dekhe .
- Button Mode : button mode par click kar ke aap lock ke liye button mode ko set kar sakte .
- Call Button Mode : call button mode par click kar ke aap call button par 2 direction patern lock ki tareh lock set kar sakte .
In sabhi option me se aap koi bhi use kar sakte hai . To aap apni margi se koi bhi lock choose kar sakte hai vo lock aapki incomming calls par lag jayega . Yani ki bina us lock ko open kiye call pick karne ka option nahi aayega .
Lock set Karna ke baad aapke samne niche di gayi image jaisi screen aayegi . yaha par aapke samne or bhi opttion aa jayenge .
- Incoming Call Lock : Yaha par click kar ke aap incoming call par lock lagane ke liye apne mobile ke contacts ko select kar sakte hai . yaha par aapko option milega aap chahe to sab contact number par lock laga sakte hai ya apni margi se contact ko select kar sakte hai . jisko bhi lock kane ho usle samne aapko lock ka icon dekhega lock karne ke liye us par click kare .
- Hide Caller ID : yaha par click kar ke caller ki ID or number dono ko hide kar sakte hai . jiska bhi contact ID ya number Hide karna ho us par click kare or fir aapko contact id or number ko hide karne ke alag alag option mil jayenge . caller id ko hide kane ke baad jab bhi us number se call aayega coller id nahi dekhegi .
- Rename Caller ID : Is vale option se aap caller ka display name change kar sakte hai . jab bhi vo call karega to jo name aap yaha set karenge vo dikhai dega or jab tak lock ko open nahi karenge uska asli name show nahi hoga .
To Friends is tareh se hum apne Android Mobile Me Personal Calls Ko Hide Ya Lock kar sakte hai (hide personal calls) . Koi dusra aapke calls ko nahi utha payega (caller id hide) , Apki sabhi calls safe rahengi .
Hamari ye post kaisi lagi comment kar ke hume bataye . Is jankari ko apne friends me share jarur kare or iske bare me jarur bataye (Android Mobile Me Personal Calls Ko Hide Ya Lock Kaise Kare )
Video Tutorial :
Is Photoshop Video Tutorial Me aap janege ki Android Mobile Me Personal Calls Ki Caller ID Hide Ya Lock Kaise Kare ( Hide Personal Calls On Android Mobile in Hindi) video dekhe aapko iske bare me sari jankari milegi .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=3d5j84UKFfc”]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Android Mobile Me Personal Calls Ko Hide Ya Lock Kaise Kare, Hide Personal Calls On Android Mobile in Hindi, Android Mobile Me Kisi Bhi Caller id Ko Hide Kaise Kare, personal calls Ko Hide Kaise Kare , lock incoming calls in hindi , Phone Number Kaise Chupaye
Nice post likha hai sir *(makvanainfo.com)
Thanks jagdish