Facebook Par Fake Account ID Kaise Pata Lagaye in Hindi
Aaj hum janege ki Facebook Par Fake Account ID Kaise Pata Lagaye in Hindi . Dosto humsab jaante hai ki Facebook duniya ki sabse badi social networking site hai . Aaj kal sabhi ke pass Facebook Account hota hai or sab Facebook ko use karte hai . Facebook ke users dino din badhte hi jaa rahe hai , Par kya aap jante hai ki aaj kal log Facebook par Fake ID (Account) bana kar Facebook ka galat istemaal kar rahe hai .
Facebook par Fake ID hoti hai ye to hum sab jante hai . Par jo new users hote hai ve in fake ID ke chakkar me fas jaate hai . Facebook me lagbhag 84 lakh Account Fake hai ya aise bhi kah sakte hai ki 5% se 6 % Facebook Account Fake hai . Facebook par kai log Fake ID isliye banate hai taki vo kahi bhi ulti pulti comment kar sake , kisi se chat kar sake , Kuch ladke ladkiyo ke name se Facebook profile bana lete hai taaki ve chat kar sake , like paa sake , comment kar sake Friends bana sake or jaha tak unka dimak chalta hai vo kar sake .
Isliye Dosto agar aapko isi ladki ya kisi ki bhi Facebook Friend request aati hai to jara sabhal kar Friend bane me to kahunga ki bina jaan pahchan ke kisi ko bhi Facebook Friend na banaye . To chaliye jaante hai ki kis tareh se hum Facebook ki Fake ID ke skar hone se bach sakte hai or kis Tareh se Facebook fake is ka pata lagaya jaata hai .
Facebook Par Fake Account ID Kaise Pata Lagaye in Hindi
Facebook Par Fake ID ke bare me ek jaankari yah bhi hai ki jyadatar Fake id ladkiya ki banayi jaati hai or in id par Friends ki sankha bhi jada rahti hai . Ab sabse badi ye problem hai ki is tareh ki Facebook id ka pata kaise lagaye . To dosto ek kaafi aasan tarika hai jis ki madat se aap Facebook Fake ID ka pata laga sakte hai .
Step 01:
Sabse pahle aap us Facebook profile me jaaye jiske baare me aapko jaanna hai ki vo fake hai ki nahi . to yaha par me kaisekamaye ka Facebook page udahran ke liye le leta hu .
Step 02:
jiski Facebook ID ke bare me pata karna hai us ki Facebook profile par jaane ke baad . Uski Profile image par right click kare or fir Save image as .. par click karke us image ko apne computer me kahi save kar le . jankari ke liye niche image ko dekhe .
Step 03 :
Iske baad ab aap google image search par jaaye . Google image search me image search hoti hai . ek image se hum vaisi hi similar image ko search kar sakte hai . Google image search me jaane ke liye apne internet browser me ye type kare : images.google.com
Step 04:
Google image search ki website me jaane ke baad ab aap us Facebook profile image ko yaha Drag and drop kare .
Thodo dar me aapke samne similar images aa jayengi agar . us profile ki or bhi images dusre name se aati hai to aapko pata cha jayega ki vo Facebook ID fake hai .
Kaise Pata Lagaye ki Apki Facebook Profile Image Koi or To use nahi kar raha
agar aapko lagta hai ki koi aapki Facebook Profile image ko use kar ra hai ya aapki image laga ke kisi or name se facebook account open kiya hai to aap uska bhi pata laga sakte hai.
jo tarika maine aapko upar bataya usi tarike ka istemaal karke aap apni profile ka koi or istemaal kar ra hai ki nahi yah pata laga sakte hai . me steps ko ek bar vapes se short me bata deta hu .
- google image search me jaye . ye link hai : images.google.com
- vaha par apni Facebook profile ki image ko Drag and Drop kare
- thodi der me aapke samne result aa jayega agar koi aapki photo ka kahi or use kar raha hoga to vo bhi search me aa jayega. or aapko pata chal jayega ki aapki facebook profile image ko ko dusra use kar raha hai ki nahi .
Facebook Par Fake Account ID Pata Lagaye in Bato se :
- Facebook Profile photo dekhe : Facebook ki fake id ka pata lagane ke liye aap sabse pahle us vyakti ki Facebook profile photo dekhe . Agar uski photo kisi hero ya aisi photo lagi hai jo kisi or ki hai to Facebook profile fake ho sakti hai . Photo kiski hai ye pata lagane ke tarika maine uper bataya hai .
- Facebook Timeline dekhe : aap uski Facebook time line ko dekhe agar uski time line me kafi samay se kuch upload nahi hai ya kuch jyada hi post hai to uski id facek ho sakti hai
- Profile Information dekhe : Facebook ki profile information ko dekhe , school , addresh ,about . Agar uski ye information puri na ho ya galat ho to Facebook ID Fake ho sakti hai .
- Mobile number dekhe : Facebook id ka Mobile number dekhe agar dalat ya ulta – pulta ho to Facebook ID Fake ho sakti hai .
- Birth date dekhe : Bith date dekhe agar birth date ki information sahi se fill nahi hai , jaise 1.1xx, xx.2. ya kuch alag hai to Facebook id fake ho sakti hai .
- Many Friends (Friend Count Jyada) : agar kisi Facebook Id pe friend ka count kaafi jyada hai to vah Facebook profile Fake ho sakti ahi .
- Recent Activity : Recent Activity chek kare , uski recent acktivity dekh kar aapko aaram se andaja ho jayega ki uski Facebook id fake hai ya real .
- Recent Post : uski recent post ko bhi chek kare , post kis type ki hai , kitne time baad ki hai . is tareh ki bato ka dhyaan rakhe or notic kare to aapko Facebook id fake hai ya real pata chal jayega.
Is tareh se aap Facebook Par Fake Account ID ka pata laga sakte hai . Dosto aapko ye infor mation kaisi lagi hame comment kar ke jarur bataye .
[su_divider top=”no”]