Google Gmail Ka Password Kaise Change Kare in Hindi
 Aaj Shikenge ki Google Gmail Ka Password Kaise Change Kare in Hindi . Dosto aaj kal internet me bahut si chije aisi hai jin ko dyaan me rakhte huve hume apne Gmail ka password chang karte rahna chahiye kuki online me bahut se aise log hote hai jo hamesa kisi ke account ko hack karne ki kosis me lage rahte hai , ya aapne kabhi kisi ko apne gmail ka password bataya ho ya fir aapko lagta hai ki kisi ko aapke gmail ka password pata hai to apko apne gmail ka password change kar lena chahiye .
Vise bhi safty ke liye aapko apne gmail ka password change karte rahne chahiye . me apne gmail account ka password har 3 mahine me change karte rahta hu . aapke gmail password change karne ka karan kuch bhi ho aap is post me ekdum easy step me shik jaayenge ki Google Gmail Ka Password Kaise Change Kare in Hindi (Change Gmail password in hindi)
Google Gmail Ka Password Kaise Change Kare in Hindi
Gmail password change karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare .
Step 01:
gmail pasword change karne ke liye sabse pahle aap Gmail.com par jaaye . Fir vaha par apne gmail account me Login kare .
Gmail Account mr Sign In karne ke liye sabse pahle aap apna Email daale . Fir Next ki button par click kar de . see image below .
Next ki button par click karte hi aapke samne ek new page aayega vaha par aapko us account ka password dalna hai . Fir Sign in ki button par click karne hai . see image below
Sign in ki button par click karte hi aap apne Gmail Account me login ho jayenge .
Step 02:
Gmail Account me Sign in hone ke baad . Ab aap Gmail me right side me ek Gear ka Icon hoga us Gear ke icon par click kare .
Gear ke icon par click karte hi aapke samne kai saare option aayenge en option me se aap Setting par click kar de . niche image dekhe
Step 03:
Setting par click karte hi aapke samne Gmail setting ka page open hoga vaha par aap Accounts and Import par click kar de . Aapke samne kuch option aayenge usme se Change password par click kar de .
Step 04:
Jaise hi aap Change password par click karte hi aap ek new page par chale jaayenge . Yaha par aapko apna Gmail Password vapes se dalna hai . google security ke liye aapse aapka password dubara se puchta hai . To yaha par apna password dubara se daal de or Fir Sign in ke button par click kar de .
Step 05:
Ab aapke samne ek page open hoga. Yaha pe aapko apna new password dalna hai jo aap rakhna chahte hai .
- new password : yaha par apko apne new password dalna hai
- Confirm new password : yaha par aapko apna new password dubara se daalna hai .
- new password dalne ke baad ab aap CHANGE PASSWORD ki button par click kar de .
CHANGE PASSWORD par click karte hi aapka gmail ka password change ho jayga . To dosto aapnr dekha ki gmail ka password aap kitne aasaan step ko kar ke change kar sakte hai . Ab aapko apna naya password daal kar gmail ke account me login karna padega .
Dosto Gmail aaj e is article me hamne jaana ki Google Gmail Ka Password Kaise Change Kare in Hindi . agar aapko ye article aacha laga ho to aap hame comment karke jarur bataye . Agar aapko  apna Gmail Account ka password Change karne me koi problem ho rahi hai to bhi aap comment karke apni problem ko puch sakte hai .
Video Tutorial : How To Change Gmail Password in Hindi | Google Gmail Password Kaise Change KareÂ
Is hindi video se app sikhenge ki Gmail Ka Password Kaise Badalte Hai (Change Gmail Password in Hindi) . Is tareh ke Hindi video tutorial dekhne ke liye yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=0C1L-VHQAKk”]
Agar aapke ye video pasand aaya ho to Hindi channel ko YouTube par subscribe jarur kare , Subscribe karne ke liye yaha par click kare : Subscribe
agar aap yaha par apna video chahte hai to contact us. (we promote your link)
[su_divider top=”no”]
Google Gmail Ka Password Kaise Change Kare in Hindi , Change Gmail Password in Hindi , How To Change Gmail Password in Hindi
bhai screenshot share karke aapki post bahut ziada help karti hai . hamesha post me pics ke through samjhaya karen. Thanks
Thnaks For comment .(Backlink pane ke liye kuch or kare)
Kya mibile se password change ker skte hai
ji ha change kar sakte hai .
aapka post bahut achha hai sir screen shot dikhake aur ashaan hota hai samjhna
thank u
Thank You For Comment .
Password ..
Article to achha hai
Mai iska practical jaroor karunga
Thanks For Comment saurabh.
Chinni..
Ye Bhut achi jankari di hai apne. Very good work
Thanks For Comment ..
Good
Thanks For Comment.
Mara paly stor Ka password bhul gaye kaysa change Kara
Kia mobile sa gmail verify ho sakti ha .
haa ho sakta hai
Nice site, I have knowledge about this type site. you can see it also.
Thanks For Comment .
I really like this post. You have very nice content. Thanks for sharing..
sir mere number par otp nahi aa rha ab me kya karun
agar aapne apne number sahi dala hai to jarur aayega , thode time tak wait kare .. agar tab bhi nahi aa raha hai to aap resend par click kar ke vapes otp code ko manga sakte hai .
Nice post sir.
Thanks For Comment Umeda!