Hindi Typing Kaise Kare Hindi Typing Online Type in Hindi
Dosto aaj hum jaanege ki Hindi typing kaise karte hai (Hindi Typing Kaise Kare Hindi Typing Online Type in Hindi) . Maire kaafi saare Friends hai jo mujhse aksar ye puchte hai ki Hindi Typing Kaise Kare Vo kahte hai ki Vo online Facebook ya Website (Blogging) me Hindi me likhna chahte hai par unhe Hindi Typing Nahi aati hai . To dosto aaj es post se mai un logo ki Help karne chahta hu jo Hindi Typing Karne chahte hai or Unhe Hindi Typing Nahi aati .
Dosto Hindi Typing karna koi badi baat nahi hai . Hum Hindi me esliye type nahi kar paate ku ki hum sabhi ke pass English keyboard Hota hai jisse hindi me type kar paana thoda muskil hota hai kuki Hindi me bahut saare sabd or maatraye hoti hai . English Keyboard se Hindi me type karne ka tarika jo me aapko bataunga usse aap fatafat 5 min ke ander Hindi me type kar sakte hai .
Aap ye Soch rahe honge ki Hindi me jo log type karte hai kya unke pass koi alge Hindi Keybord hota hai , Nahi asa koi Keybord nahi hai . (हिंदी टाइपिंग) Hindi Typing karna bahut hi aasan hai aap Bina Hindi Typing Sikhe English Keyboard se badi aasani se hindi me typing kar sakte hai . Chaliye Dekhte hai ki Hindi Typing Kitni aasan hai .
Ye Bhi Jaane :
Hindi Typing Kaise Kare Hindi Typing Online Type in Hindi (हिंदी टाइपिंग कैसे करे)
Dosto jaisa ki maine aapko bataya ki Hindi typing karna bahut aasan hai. dosto me jo tarika aapko batane ja raha hu is tarike me aapko apne English Keyboard se English me hi Likhna hai. jaise hi aap kuch likhenge or Space Button Dabayenge vo sabd Hindi me Convert ho jaayega . Adhik jaankari ke liye Niche image ko dekhe :
to dosto aapne uper ki image me dekha ki kaise hum English Keyboard ka use karke english (Hinglish) me hi likhna hai or jaise hi aap Space button dabayenge vaise hi vo hindi me convert ho jayega . hai na aasan . chaliye dekhte hai ki Hindi typing kaise kare .
- Hindi Typing Online Kaise karte hai
- Apne computer me karna chahte hai to Offline Hindi Typing kaise kare .
Online Hindi Typing (Type Hindi Online)
Online Hindi Typing Karne ke liye kai sari website hai par aaj me jo aapko website batane jaa raha hu iska istemaal me karta hu or yah badi hi aasan hai me aapko 3 website bataunga jinka use karke aap Online Hindi me Type kar sakte hai.
- Online Hindi Typing Tool : www.kaisekamaye.com/english-to-hindi-typing-online/
- Google Input Tool (Google Input Tool se Online Hindi Typing)
- Google Translate (Google Translate ke dvara Online Hindi Typing)
Chaliye ek ek karke in Tools ka istemaal karke Hindi Typng Kaise karte hai Vo jante hai .
Online Hindi Typing Kaise Kare KaiseKamaye.com ke Hindi Typing Tool ki Madat se :
Kaisekamaye.com ka hindi typing tool ekdam easy hai . Is tool ki help se koi bhi aasani se Hindi Typing kar sakta hai . Or hum sabhi log is tool ko bahut pasand karte hai ku ki is tool me kuch setting ya kuch set nahi karna padta hai .yah tool Hindi Typing ke liye hi bana hai . to chaliye dekhte hai ki is tool ka use kaise kare .
Step 01:
kaisekamaye.com ke hindi typing tool ka use karke aap Online Hindi Typing aaram se kar sakta hai . Online Hindi Typing ke liye aap kaisekamaye.com ke hindi typing tool ko open kare . Click Here : Hindi Typing Tool ya fir apne internet browser me type kare : www.kaisekamaye.com/english-to-hindi-typing-online/
Step 02:
kaisekamaye.com ke Hindi typing tool ke open hote hi. Vaha typing ke liye diye gaye box me English me (jaisa hum WhatsApps me chat karte hai us tareh hinglish me) type kare or jaise hi aap apne keyboard me Space button ko dabayenge vo hindi me convert ho jayega . Hai na bahut assan .
Mujhe ye Hindi Typing Tool bahut pasand hai .Maine to is tool ko apne browser me bookmark kar ke rakha hai . Easy hai or sabse accha hai . Niche image dekhe ki kasie Type karna hai.
yaha par aap aaram se hindi me type kar sakta hai . Apne Hindi me type kare huve text ko aap yaha se copy karke kahi bhi use kar sakte hai . Copy karne ke liye app CTRL +C ka use kar sakte hai .
Is Tool ko abhi use karne ke liye yaha par click kare : Easy Hindi Typing | English to Hindi Typing
Ye Bhi Dekhe online Font Converters :
- Online Hindi Typing
- Unicode To Kruti Dev Font Converter
- Unicode To Chanakya Font Converter
- Chanakya To Kruti Dev Font Converter
Online Hindi Typing Kaise Kare Google Input Tool se (Hindi Typing Online Using Google Input Tool)
Google Input Tool ka istemal karke aap aasni se Online Hindi Typing kar sakte hai . Ager aapko kabhi Online Hindi Typing Karne ho To aap Google input tool ka istemaal karke aasani se hindi Type kar sakte hai . Ab hum Google input tool se hindi Typing kaise karte hai vo jante hai .
Step 01:
Google input Tool ka istemaal karne ke liye sabse pahle aap Google input Tool ki website me jaaye Google input tool ki website me jaane ke liye yaha Click Kare : Google Input Tool ya fir apne internet Browser me ye type kare : www.google.com/inputtools/try/
Step 02:
Google Input Tool ki website me jaane ke baad English To Badel kar Hindi kar de . Adhik jankari ke liye niche ki image dekhe :
English ki jageh Hindi ko select karne ke baad aap asani se Hindi me Typing kar sakte hai . bus aapko karna yah hai ki aapko jo bhi hindi me likhna Chahte hai vo English me likhna hai or jaise hi aap Space Button dabayenge vo Hindi me Convert ho jayega . Adhik jaankari ke liye niche Image dekhe :-
to dosto aapne sekha ki hum Kaise Google Input Tool ka istemal kar ke Hindi me Typing kar sakte hai.
Online Hindi Typing Kaise Kare Google Traslate se (Hindi Typing Online Using Google Translate)
Dosto Bahut hi kam logo ko pata hai ki hum google translate ka istemaal Hindi Typing kar sakte hai Ji haa to Chaliye hum jaanete hai ki Google translate ka use karke hum Hindi Typing kaise karenge .
Step 01:
Google Translate par Hindi me Type karne ke liye sabse pahle hum Google translate ki website par jayenge Google translate ki website me jaane ke liye yaha click kare : Google Translate Ya fir apne internet browser me type kare : https://translate.google.co.in/
Step 02:
Google translate ki website me jaane ke baad Hindi me Typing karne ke liye Detect language par click karke Hindi ko Selete karenge . adhik jankari ke liye niche ki image ko dekhe :-
Detect language me Hindi selete karne ke baad ab aap asani se hindi me typing kar sakte hai . English (Hinglish) me likhna hai Space Button dabate hi vo Hindi me Convert ho jayega. niche image dekhe:
Humne jana ki hum kis tareh se hum Google translate ka use karke Hindi me type kar sakte hai . To Dosto aap jaan hi gaye honge ki Hindi Typing kitni aasan hai .
Offline Hindi Typing Kaise Kare (Hindi Typing Softwear)
Ab hum jaanege ki Offline Hindi Typing Kaise Kare . Offline ka matlab hota hai Bina internet ke Apne Computer me Hindi Typing Kaise Kare .
Offline Hindi Typing karne ke liye kai sare softwear or Tools aate hai par hum Offline Hindi Typing karne ke liye Google input Tool ka hi use Karenege . Google input tool ko offline use karne ke liye aapko Google input tool ko Apne Computer me install karna hoga .
Google Input Tool Ko Kaise Install kare Or Offline Hindi Typing Kare :
Step 01:
Google input Tool ko Computer me install karne ke liye hume sabse pahle Google input ki website me jaana padega or Google input tool ko Download karna padega . Google input ki site me jaane ke liye yaha Click kare : Google Input Tool
Step 02:
Google Input Tools ki Website me jaane ke baad aap Top menu me On Windows Par Click Kare . Adhik jaankari ke liye niche image dekhe :
Step 03:
ab apke samne ek new page open hoga vaha se aap Google input Tool ko Download kar sakte hai . Google input Tool ko Download karne ke liye hume apni leaguage ko select karna hai or google policy ko agree karna hai .
- Sabse pahle Hindi ke aage ke box me Tik Kare . kuki hum Hindi Typing ke liye is tool ko Download karne chahte hai .
- Ab I agree to the Goolge Terms of Service and privacy Policy ke samne ke box me Tik kare or Google policy ko maane .
- Ab Download ki button par click kar ke Google Input tool ko download kar le .
Google Input tool ko Download karne ke baad ise install kar le . ab Aap Google input Tool ki help se Offline Hindi Typing aaram se kar sakte hai .
Google Input Tool se Hindi Typing Karne ke Tips :
- Google input tool se jab aap Hindi Typing karte hai to aapko English (Hinglish) me hi likhna hota hai Space button dabate hi vo Hindi me Change ho jayega .
- Ctrl + G ko dabane se Lunguage Chage kar sakte hai
- Google tool ko use karne ki or tips janne ke liye yaha Click kare : Google Input Tips
Dosto is Post (Hindi Typing Kaise Kare Hindi Typing Online Type in Hindi) me humne sikha ki Kaise hum Hindi Typing kar sakte hai or Ab Aap Jaan hi gaye honge ki Hindi Typing Badi aasan hai . Ager aapko Hindi Typing ke bare me koi parsani hai to aap Comment kar ke Puch sakte hai .
Ye Jarur Padhe :
[su_divider top=”no”]
Hindi Typing , Hindi Typing Online , Type in Hindi , Easy Hindi Typing , English To Hindi Typing .
Such a fabulous article. very helpful and informative. thanks for sharing with us. thanks a lot 🙂