IDM Ki Speed Kaise Badhaye Internet Download Manager
IDM Ki Speed Kaise Badhaye Internet Download Manager . Dosto aaj jis topic par hum baat karenge vo bahut hi baar pucha gaya hai ki Internet ki speed ko kaise increase kare, kaise fast kare , kisi bhi file ko jaldi download kaise kare . Kya aap bhi slow internet se paresaan hai , to aaj hum aapko batayenge ki kaise internet ki downloading speed ko aap 4 gunae se 5 gune tak badha sakte hai . Friends jab hum internet se kuch download karte hai or vo bahut hi kaam ka ho par download nahi ho ra ho ya downloading speed ek dum slow ho to hum paresan hote hai – hote hai na … hu . Hum lekar aaye hai aapki is problem ka solution . To dar kis baat ki chaliye apne internet ki speed ko badhate hai or internet se jaldi se sab kuch download karte hai .
Dosto jaisa ki aap jante hai ki is post ka name hai IDM ki speed kaise badhaye . To ab aap soch rahe honge ki IDM kya hota hai IDM ka matlab hota hai Internet Download Manager yah ek software hai jiska use internet se kuch bhi download karne ke liye kiya jaata hai yah ek popular downloader hai . Is softwear ki help se aap apni downloading speed ko kaafi badha sakte hai . downloading ko rok sakte hai or baad me jaha se roka tha vaha se vapas se chalu kar sakte hai . or bhi bahut si cheje aap is software ke jariye kar sakte hai .
Dosto agar aap internet ke dealy user hai or aap internet se movie, Video, songs ko download karte rahta honge . Par agar aap downloading ke liye IDM (Internet Download Manager) ka use nahi karte hai to aap is softwear ko apne computer me install kar le. chaliye jante hai ki IDM Ki Speed Kaise Badhate hai .
Internet Download Manager ko aap yaha se download kar sakte hai : IDM (Internet Dwonload Manager)
IDM Ki Speed Kaise Badhaye Internet Download Manager
Internet ki speed badhane ke liye aap niche diye gaye easy steps ko kare . insme hum IDm ki speed ko badyange or jisse hamri IDM ki Downloading speed badh jayegi.
Step 01:
Agar aapke computer me IDm nahi hai to use install kar le . Fir IDM software ke icon par double click kar ke IDM ko open kare .
Step 02:
IDM open hone ke baad. “Options” par click kare . inche image dekhe .
Step 03:
Options par click karte hi aapke samne ek pop window open hogi . niche image dekhe . yaha par hame apni connection setting karni hai.
New popup window me aap “Connection” tab par click kare . Uske baad aapko “Connection Type/Speed me High speed : Direct connection (Ethernet/cable)/Wi-Fi/Mobile 4G/other” ko select karna hai . (Connection tab > Connection Type/Speed > High speed : Direct connection …..)
Step 04:
Ab is step me hume internet se fast download karne ke liye Defaut max. conn. number ko badhana hai .uske liye Connection tab me hi jaha par ” Defuault max. conn. number “ liha hai vaha par maximum number set kar de . yaha par maximum number 32 hai to “32” ko sek kar de . (Connection tab > Max. connection num. > 32) . Fir Ok par click kar de or apni setting ko apply kar de . jaankari k liye niche image dekhe .
Step 05:
Dosto is step me hum apne IDM software ki Download speed limit ko hata denge yaani ki use band kar denge taaki hamri Internet Download ki speed badh jaaye .
Download limit ko off karne ke liye aap IDM (Internet Download Manager) ke main menu (Top menu) me Downloads par click kare . Fir Speed Limiter me jaye or Turn off par click kar de . ( Downloads > Speed Limiter > Turn off ) .
ab hamne apne IDM me Download speed ki limit ko hata diya hai . is step se download speed fast ho jayegi .
Step 06:
Dosto ek baat or mind me rakhe ki jab bhi aap internet se kuch download kare to ek bar me 1 file hi download kare taaki aapki sari internet speed us file ko download karne me lage or vo file jaldi download ho . maine bahut sare logo ko dekha hai jo ek sath 10 file download karte hai or fir kya hota hai ki internet speed slow hone ke karan koi bhi file download nahi ho paati or system bhi hang ho jata hai .
Agar aapki Internet speed slow hai to 1 bar me ek file hi download kare . IDM me bhi ham is tareh ki setting kar sakte hai jisse 1 bar me 1 File hi download ho . taaki downloading ka speed badh jaaye or hamari file Fast Download ho.
IDM me Fast Downloading ke liye 1 Bar me ! file Download ho ye set karne ke liye step follow kare .
- Scheduler par click kare .
- new popup window me Files in the queue tab par click kare .
- Files in queue tab me download me 1 ko set kar ke apply kar de .
Step 07:
Iske baad ab aap apne keybord me Window+R ki button dabaye . aapke samne niche di gayi jaisi window open ho jayegi .
Yaha par Open tab me regedit type kare or OK par click kar de .
Ab aapke samne ek new window open hogi . niche image dekhe or steps ko follow kare .
(HKEY_CURRENT_USER > Software > DownloadManager > ConnectionSpeed)
- Left side me HKEY_CURRENT_USER par click kare .
- uske baad Left side me hi list me se Software par click kare .
- Left Side me hi list me se DownloadManager par click kare .
- Ab window ke Right side me ConnectionSpeed par double click kare .
ConnectionSpeed par double click karte hi aapke samne new window open hogi . niche image dekhe .
yaha par Valuue data me 999999999 dale . Or Base me Decimal ko select kar ke Ok par click kar de . or window close kar de .
to Dosto in steps ko follow kar ke aap apne internet speed ko badha sakte hai . Lo dosto ho gaya aapki IDm ki speed badh gai ab aap kisi bhi file ko fast download kar sakte hai .
Kuch baato ka or dyaan rakhe to bhi aapke internet ki Downloading speed badh sakti hai . jab bhi aap internet chalaye ya , Internet se kuch bhi download kare tab aap jitni bhi faltu application hai ya use nahi hone vali , ko band kar de . aap CTRL+ALT+DELETE ko dabaye . aapke samne Task manager open ho jayega . aap yaha se jin app ko band karna hai use selete kare or End Task par click kar de App band ho jayegi. Isse bhi aapki Internet speed badh jayegi .
ye post IDM Ki Speed Kaise Badhaye is bare me thi . aapke internet ki speed aapke internet connection par or internet plane par bhi nirbhar hoti hai ki apne kon sa plan liya hai . jyada download karna ya fast download karna hai to aapko internet connection bhi use tareh ka lena padega . kai bar network problem bhi rahta hai jaise din me jyada log net use karte hai to internet slow ho jata hai or raat me fast , to accha connection le or IDM ki amdat se aap apni internet speed ko boost kar ke Fast Download kar sakte hai .
Apka internet fast huva ki nahi hume niche comment kar ke jarur bataye . or agar aapke par Internet ki speed Kaise Badhaye Is bare me koi jankari hai to haum jarur bataye . IDM Ki Speed Kaise Badhaye Internet Download Manager post padhne ke liye Thanks .
[su_divider top=”no”]
Internet ki Speed Kaise Badhaye , IDM Ki Speed Kaise Badhaye , Download Speed kaise Badhaye , Internet speed fast karne ka tarika , Downloading Speed Fast Kaise Kare .
Nice very helpful keep it up!