PDF File Ko Word Document Me Kaise Convert Kare PDF to Word in Hindi
aaj hum skihenge ki PDF File Ko Word Document Me Kaise Convert Kare PDF to Word in Hindi . Friends kabhi kabhi hume PDF fike ko Word Document me convrert karne ki jarurat pad jaati hai kuki kai baar hum kuch internet se download karte par usme kuch changes karne ho yah us topic ko apne kisi word document me merge karna ho to hume pdf ko word me convert karne ki jarurat padti hai .
PDF ko Word document me convert karne ke kai tarike hai kai sare software aate hai , bahut sari websites hai jin ki help me hum aasani se pdf to word kar sakte hai to chaliye sikhte hai ki PDF File Ko Word Document Me Kaise Convert Karte Hai .
PDF File Ko Word Document Me Kaise Convert Kare PDF to Word in Hindi
Sabse pahele hum software ak use kar ke PDF file ko word me convert karenge uske baad hum Online pdf to word converter ke bare me janege .
Adobe Acrobat se PDF File ko Word File Me Convert Kare
Adobe Acrobat ka use karke hum aasani se PDF file ko word me convert kar sakte hai or PDF file ko isme edit bhi kar sakte hai . Par Adobe Acrobat ka full varsion hamare pass hona chahiye tabhi hum isse pdf ko word me convert kar payenge .
Abobe Acrobat se Pdf ko word convert karne ke liye , sabse pahle aap apne pdf file ko Adobe Acrobat me open kare . top menu me File par click kare or open par click kare . (File >> Open)
Pdf open hone ke baad PDF ko Word document me convert karne ke liye . Vapes se Top menu me File par click kare or Save as other me Microsoft Word (Word document) selete kare . (File >> Save as other >> Microsoft Word (word document).
ab apne computer me is word file ko save kare le .
Online PDF To Word File Converter se
Friends agar aapke pass Adobe Acrobat ka full version nahi hai to aap ko parsaan honi ki koi jarurat nahi hai kuki PDF to Word file ko convert karne ke liye kai sari website hai jin se aap aasani se PDF file ko Word file me convert kar sakte hai . To chaliye jaante hai ki ve kon si sites hai jin se hum pdf ko word file me kare sakte hai or kaise kiya jata hai , Tarika kya hai .
Online PDF se Word file Convert karne ke liye kai sari websites hai kuch jipke bare me aaj hum janege :
- www.pdfonline.com
- www.pdftoword.com
- pdf2doc.com
- Google Drive se
PDF se Word file convert karne ki kai sari we site hai jaise : convertonlinefree.com , smallpdf.com , online2pdf.com or bhi bahut hai jin websites se hum aasani se PDF file ko word me convert kar sakte hai . chliye uper jo list hamne batai hai ab ek ek kar ke un website ke bare me jante hai ki in websites se PDF file ko Word file me kaise convert karte hai .
pdfonline.com se PDF to Word File Kaise Convert Kare
pdfonline.com se bhi aap free me PDF to Word or Word to PDF convert kar sakte hai . Is website se PDF to Word karne ke liye aap is site me jaaye .
site open hone ke baad yaha par Upload a file to convert par click kar de .
ab ek popup aayega file upload karne ke liye apne computer me file ko select kar or Open ki button par click kar de .
Open ki button par click karte hi aapki file ki converting process start ho jayegi .
Convert hone ke baad new page aa jayega vaha se aap converted file ko download kar sakte hai .
pdftoword.com website se PDF ko Word File Kaise Kare
pdftoword.com bhi Free me PDF to Word file me convert karti hai . Apni file ko PDF se Word me Convert Karne ke liye aap is site par jaye .
pdftoword.com me jaane ke baad PDF ko Word me karne ke liye apni PDF file ko is website me upload karna padega . PDF file ko upload karne ke liye Select Your File ki button par click kare .
Ab apne computer se jis pdf ko word file me convert karna hai us ko select kare or Open ki button par click kar de .
Ab yaha par hume apna Email dalna hai kuki File convert hone ke baad aapke email me vo file send ho jati hai to yaha par Email dale or uske baad Convert Now ki button par click kar de .
File convert hone ke baad word file aapke email pae send kar de jayegi , file ko download karne ka link aapke email par aa jayega . us link par click karke aap word file ko download kar sakte ho .
pdf2doc.com website se PDF File Ko Word File Kaise Banaye
pdf2doc.com website kaafi popular hai , is website se bhi aap PDF file ko word file me convert kar sakte hai , ye website mujhe kaafi aachi lagti hai . is website se pdf ko word file me convert karne ke liye aap sabse pahle is website par jaaye .
pdf2doc.com website par jaaene ke baad ab aap UPLOAD FILES ki button par click kare .
upload files ki button par click karne ke baad ab aap computer se apni pdf file ko selete kare jise aap word me convert karna chahte hai or fir Open ki button par click kar de .
open ki button par click karte hi aapki file Convert hone lagegi , File Convert hone ke baad ab aap Downlaod par click kare or apni file ko download kar le
to is tareh se aap pdf2doc.com se badi aasani se pdf ko word document me convert kar sakte hai .
Google Drive se PDF file ko Word File me kaise convert kare
Friends hum google se bhi pdf file ko word me convert kar sakte hai . google ka use karke pdf ko word me convert karne ke liye niche diya gaye steps ko follow kare .
Step 01:
Sabse pahle aap google.com par jaaye . google me jaane ke liye apne internet browser me www.google,com type kare or enter dabaye .
Step 02:
google ki site me jaane ke baad ab aap right side me sign in ke button par click kare or apne google account me login kare .
Step 03:
Google account me login hone ke baad right side me top me jo dots ka icon hai us par click kare . Fir Drive par click kare .
Step 04:
Ab aapke samne google drive ka page open ho jayega . yaha par aap My drive par click kare or Upload file par click kare .
Step 05:
Apne computer se us pdf file ko select kare jisko word file me convert karna hai or Open par click kare .
Step 06:
Google drive me file upload hone ke baad ab aap us file ko select kare or right side me bane gear ke icon par click kare or option me se Setting par click kare .
Step 07:
Setting par click karte hi aapke samne setting ka popup aayega . yaha par aap Convert uploaded file to Google Doces editer format ke samne bane box par tik kare or Done ki button par click kar de .
Step 08:
Thodi der intjaar kar aapki pdf file convert ho ke vaha par ek new file aa jayegi (matlab purani file rahegi , uske sath vaha par vahi file new google doce file me bhi aa jayegi ).
ab us new file par right click kare or open with >> Google Doce select kare .
Ab aapki file google doce me open ho jaygi . isko word document me download karna ke liye . Menu me File par click kare fir Download as me Microsoft word selete kare . File >>Download as>> Microsoft word .
To is tareh se aap gogle drive ka use karke kisi bhi PDf file ko word document me aasani se convert kar sakte hai .
aapko ye post kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye . Agar aapko kuch puchna ho to bhi aap comment kar ke puch sakte hai .
[su_divider top=”no”]
PDF File Ko Word Document Me Kaise Convert Kare PDF to Word in Hindi , PDF File Ko Word File Me Kaise Convert Kare , How To Convert PDF to Word Document in Hindi , PDF to Word Convert Kaise Kare .
Very nice, Helpful or fantastic article sir ji !!!
Thanks For Comment !!!
watermark ek tareh ka pattern hota hai jo aap kisi photo ke uper ya video k uper laga dete hai pahchan k liye ki vo aapka hai … jaise aap uper is post me dekhe jitni bhi image hai unske kaisekamaye.com likha huva hai yani ki kaisekamaye.com ka watermark laga huva hai ..