PDF File Kya Hai PDF Kaise Chalaye View Kaise Kare in Hindi
aaj hum janege PDF File Kya Hai PDF Kaise Chalaye View Kaise Kare in Hindi , aaj hum PDF ke bare me janege kuki PDF kafi accha file format hai or lagbhg har jageh use hota hai . PDF me hum koi bhi data save kar sakte hai , kahi bhi share kar sakte hai , kisi ko bhi de sakte hai or sabse badi baat PDF file kahi par bhi open ho vo same hi rahti hai chahe koi bhi system , software use ho file same hi khulti hai .
PDF format ko janna is liye bhi jaruri hai ku ki ye format ab sabhi jagah use hota hai hume bhi kisi file ko PDF format me save karne ki jarurat pad sakti hai kuki har jagah PDF format hi chalta hia jaise Books ab PDF me milti hai , Kaise job ke liye apply karna ho to resume pdf me de sakte hai
To chaliye PDF ke bare me or jyada jante hai PDF File Kya Hai PDF Kaise Chalaye View Kaise Kare in Hindi
PDF File Kya Hai PDF Kaise Chalaye View Kaise Kare in Hindi
PDF ke bare me hum pahle ye janege ki PDF kya hai , PDF ka itihaas kya hai usko use kaise kate hai open kasie karte hai Edite kaise karte hai , Chalo ab sab jante hai.
PDF Kya Hai
Portable Document Format (PDF) , PDF file format hai . PDF file ka use kisi bhi data ko store karne, kisi ko dikhane ya data ko kisi ko dene me hum PDF files ka use karte hai or ye formet kaafi popular hai .
PDF Fromat kisi bhi software , hardware ya operating system par depend nahi hota yah har jageh chalta hai . PDF format ko Adobe valo ne banaya hai . PDF file ka extanstion .pdf hota hai , koi bhi file jo .pdf hoti hai vo Portable Document Format hai .
PDF Kab or Kisne Banaye
1991 me Adobe ke co-fonder Dr. John warnock ne idea ke chalte ek project kiya paper to digital is project ka name tha The Camlot Project . Project ka main mission yahi tha ki koi bhi document ko digital file me convert kar paaye or usko aasani se share kar paye , dekh paye, Print kar paye kahi par bhi .
kuch time baad 1992 me Comlot project PDF ban gaya . Tab se PDF format use kiya jane lage or ab ye puri duniya me ek satandard file formet ke rup me ho gaya hai . aaj kar online books or kafi saari chije PDF formet me hi milti hai .
PDF Ko Use Karne Ke Kya Fayde Hai
Niche hum kuch point batynge ki PDF file ku use karna chahiye or PDF file ke kya – kya fayde hai
- PDF file har jagah chalti hai (Computer, mobile kahi bhi).
- PDF file me kaafi sara data small size me aa jata hai .
- PDF file me password laga sakte hai (Asani se protect kar sakte hai)
- PDF file ko hum aasani se share kar sakte hai (Transfer kar sakte hai)
- PDF file banana bahut asaan hai .
- PDF file aasani se print ho jati hai
- PDF file me text , links , button , audio , video ..etc sab save kar sakte hai
PDF File Ko Kaise Chalaye (PDF Open Kaise Kare)
PDF file ko open karne ke kai sare tarike hai , PDF file har jagah open ho jati hai par me aapko kuch popular tarike batata hu PDF file ko open karne ke .
- PDF file ko open karne ke liye sabse jya use hone vala software hai : Adobe Acrobat Reader . Is software ko Adobe ne banaya hai or ye most popular PDF reader hai .
- Dusra sabse acha tarika hia PDF files ko open karne ka , Internet browser me . Lagbhag sabhi browser me PDF file khul jati hai , jise chorme or Firefox me PDF file aasani se khul jaati hai agar aapke internet brower me na khule to iske kai sare Add on (Extension) aate hai . PDF file ko internet browser mw open karne ke liye PDF file ko Dreg and Drop kar de , Open ho jayegi.
- Iske alava or bhi kai free software aate hai jaise MuPDF or SumatraPDF in software ka use kar ke bhi aap PDF file ko aasani se open kar sakte hai .
PDF File Ko Edit Kaise Kare
PDF file ko edit karna kafi aasan hai , yaha par kuch tarike aapko bata rahe hai jin ki help se aap aasani se PDF edit kar sakte hai .
- Sabse jyada use hone vala PDF editor Adobe Acrobat hai . Iske alava Microsoft Word me bhi aap PDF ko Edit kare sakte hai , Or bhi kai Software aate hai .
- PDF files ko online bhi edit kiya ja sakta hai . Kuch websites hai jaha par aasai se PDF edit kar sakta hai jaise : pdfescape.com aisi or bhi kai sari sites hia jaha par free me aap PDF ko edit kar sakte hai . Is site me ja ke aap pdf file ko upload kar or fir edit kare.
Friends aapko ye jankari (PDF File Kya Hai PDF Kaise Chalaye View Kaise Kare in Hindi) kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye . Hume Facebook par join kare : Facebook KaiseKamaye
[su_divider top=”no”]
PDF File Kya Hai PDF Kaise Chalaye View Kaise Kare in Hindi , PDF Kya hai , PDH Kya Hota Hai , PDF Kaise Chalaye , PDF in Hindi
nice Post.
badiya jaankari share ki hai aapne.
Thanks For Comment Gaurav !!
Pdf
Hi,
thanks for sharing great information about PDF this article is very helpful.