2000 Rupees Note Features Image Asli Nakli Note Ki Pehchan in Hindi
2000 Rupees Note Features Image Asli Nakli Note Ki Pehchan in Hindi aaj ki post me hum 2000 ke new note ke bare me janege ki kya isme new Features hai . Friends bharat sarkar ne 8 november ko 500 or 1000 ke purane note ko band kar diya hai or isski jagah par 500 rs or 2000 rs ke new note nikale hai . To aaj hum 2000 ke new note ke bare me janege ki issme kya new hai .
Ab jab new note hamare ko mil chuke hai to kuch log in note ke nakli note bhi bana rahe hai . aaj hi Mumbai ke pass virar me 2000 ka nakli note pakada gaya hai , vo aadmi printer se print kar ke 2000 ka nakli note bana ke market me chalane ki kosis kar raha tha . To friends hamare liye new 2000 ke note ko pahchanna or uske Feature ke bare me pata hona chahiye .
Aaj hum aapko new note Feature ke bare me batayenge , Aap is jankari ko share jarur kar taaki koi bhi nakli noto ka sikar na bane . Lakin New Feature ko jaanne se pahle hum ye jante hai ki bharat sarkar ke jo 500 or 1000 ka purane note band kiya hai uske kya fayde hai or uske kya nuksaan hai .
500 or 1000 ke Purane Note Band Karne ke Fayde Or Nukshan (Demonetization)
Demonetization ka matlab hota hai jo bhi abhi paise chal rahe hai un ki value khatem karna or unki jagah par new Paise lana . Sarakar ne purane 500 or 1000 ke note band kar diye hai par kya aap jante hai aisa ku kiya gaya isske kya fayde hai or kya nuksan hai . To chaliye me aapko batata hu ki nurane note band karne se kya fayde hai or kya nuksaan hai .
Neta or midea haume sari bate nahi batate hai kuki ve nahi chahte ki hume pata chale or kai to is note bandi ke khilaf bhi hai . Lakin maire hisab se ye acha fisla hai or aane vale samaye me bharat ki arthvyvastha isse kaafi sudkregi . India ek majbut desh ke rup me samne aayega . niche isske fayde diye gaye hai .
500 rs or 1000 rs Band Karne Ke Fayde :
- Jo bhi nakli note the ve sab barake ho jayenge . ye hai Purane Note ko band karne ka sabse bada fayda kuki new Note kafi alag hai or 1000 ka note to abhi band hi ho gaya hai .
- Jo bhi paisa aatankvadi , mav vadi , naksali or Jihadi ke paas jo paisa tha usme se lagbhag 70% note 500 or 1000 ke hi ve use karte the jo ab kisi kaam ke nahi hai . Havala jo aatank vadiyo ko paisa dete hai support karte hai ve ab nahi kar sakte , kashmir ki or pure desh se aatank vaad kahtam hoga , vaha fir se school open ho jayege bahut rahr milegi .
- Black Money par vaar jo bhi paiso ko gharo or patiyo me daba ke baithe the sab black money new note aane or purane note band hone se bekar ho gaye , Black money ab kisi kaam ki nahi , jo bade udyog pati ahi vo apni incom bata rahe hai . Tax advance bhar rahe hai Or sarakar in paiso me desh vikas me use karegi garibo ko rahne khane , rojgar , padhai – likhai ki suvidha or any upyogi kamo me use kargi .
- Sarkar ne jo jan dhan account open ki thi usme log paisa jama nahi karte the , Ab Sab usme jama kar rahe hai . sara paisa track kiya ja sakta hai , varna paisa kaha gaya kaha se aaya kya pata .
- Glod Vyapari apne Gold ka stoke ki jankari day by day sarkar ko de rahe hai jo pahle nahi hota tha .
- Sarkar ko jo tax vasulne ke pasine aa jate the ab log apne aap khud hi tex pay kar re hai or jo purane tax baki the ve bhi bahr re hai . Tax collection ki vyavastha sudhar rahi hai .
- Chote dukan daro me digital chije use karna start kar diya hai jaise digital forms paise lenden ke liye digital wallets (Paytm) . Paisa ka hisab rakha ja sakta hai track kiya ja sakta hai .
- Jab sab kuch digital ho jayega paiso ka len den to resvat khori bhi khatam hogi , brasta char bhi jad se mit sakega ..
Ye kuch improtent fayde the . aise or bhi bahut sare fayde hai . maire hisabe se ye bahut hi acha or sahsik nirnay hai .
500 rs or 1000 rs Band Karne Ke Nukshan :
- 500 or 1000 ke note band hone ka sabse bada nukshan ye hai ki jaise hi logo ko isse bare me pata chala vaise hi log me afra tafri ka mahol ban jata hai or sab banko or atm ki taref bhagte hai or vaha ja ke pata chata hai ki abhi new note nahi hai , kuki sarkar is tarah ke fisle ko gupt rakhti hai is vajah se suru ke dino me parsani aati hai . kuki ATM or Bank me pahle se in sab ki vyavastha nahi ki hui hoti .
- Iska dusra sabse bada nuksaan ye hai ki sarkar ko new note chapne ke liye new system or machine lagte hai , jo ki kaafi mahnge aate hai agar sarkar ka kharcha black money se jyada hai ya unnhe koi fayda nhi ho ra to ye fishla galat hoga . Lakin hamare desh ke liye ye fisla sahi hai .
- Iska ye bhi nukshan hai ki Jo log Black Money rakhte hai ve Paiso ko kisi or chij me laga dete hai jaise Glold kharid lete hai , Property le lete hai ya kisi or chij me laga dete hai , Jisse Black Money rotate hoti rahti hai . but Abhi ki sarkar ne is sab ko dyan me rakhte huve or bhi kadam uthaye hai jin se in sab par lagam lagegi .
Friends ye to the Note band karne ke fayde or nukshan , Ab hum New 2000 Rupees ke Features Ko dekhte hai or ye bhi janege ki Asli Note ki Pahchan Kaise Karte hai
2000 Rupees Note Features Image Asli Nakli Note Ki Pehchan in Hindi
Friends ab se aapko 2000 ke new note ke Features ke bare me bataunga . Pahle hum 2000 ke naye note ke Front side ke Features ko janege fir Back side ke Features ke bare me janege .
2000 Rupees Note Front Side ke Features Image Asli Nakli Note Ki Pehchan
- New 2000 Rupees ka Color magenta hai (gahare magenta rang ka)
- New 2000 Rupee ka size 66mm x 166mm hai . Jiska size purane anye noto se alag hai .
- 2000 Rupees ke new note ke iss hisse ko agar rosni me dekhe to yah par 2000 likha huva dekhega
- yaha dark mahrun color me design bahi hai par is design ko agar note ko tedha kar ke dekhe to yaha par bhi 2000 likha huva dekhta hai.
- naye 2000 rupaye me Devnagari me (Hindi me) ₹ 2000 likha huva hai (Upar image me 5 no. dekhe)
- yaha par bhi white (safed) color me small ₹ 2000 likha huva hai .
- 2000 ke note ke front side ke bich me Mahatma Gandhi ji ki Photo chapi hai .
- Gandhi ji ki Photo ke samne micro letters me (small – chote latters me) ‘RBI’ or ‘2000’ likha huva hai .
- Note me ek surakha patti hai . jis par भारत, RBI or 2000 bahut hi chote akcharo me likha hai . Suracha patti ko samne se dekhe to iska color Green (Hara) dikhta hai or note ko tedha kar ke dekhe to Nile color ka dekhta hai (Uper Image me 9 no. dekhe)
- yaha par “me dharak ko dohajar rupye ada karne ka vachan deta hu” ye hindi or english me likha hai or gaverner ke sign hai or uske niche Reverve bank of india ki mohar lagi hai .
- yaha par kuch khali jageh hai agar hum note ko rosni me kar ke dekhe to yaha par mahatma Gandhi ji ki image dikhti hai or 2000 bhi likha huva dekhta hai.
- 2000 ke naye note par jo number likha hai vo baye se daye bade hote huve chape gaye hai (Uper Image me 12 no. dekhe)
- yaha par hare rang se ₹ 2000 likha huva hai par note ko tedha kar ke dekhe to nila dikhega .
- note ke adye side niche ashok stambh ki photo chapi hai
- Ashok Stambh ki photo ke uper ek gahre mahrun reng ka box bana hai jis par ₹ 2000 likha huva hai .
- 2000 rupee ke note ke dono taref 7 lakir bani hai , ye lakir thodi ubhari hui hai jinhe chu kar mahsus kar sakte hai (Jinhe dikhai nahi deta unke liye ye Feature bahut kam ka hai .
2000 Rupees Note Back Side ke Features Image Asli Nakli Note Ki Pehchan
- yaha par note kis saal me chapa gaya hai vo saal likha hai
- Swache bharat likha hai or uska logo bana hai uske niche likha hai “”
- Note ke piche yaha oar 15 bhartiy bhasao me do hajar rupaye likha hai (Upar image me point 3 dekhe)
- Note niche bich ke part me kuch image ko chapa gaya hai jisme hathi or kuch oe images hai isme khas baat ye ki isme bich se aadhe haathi a muh left side me or aadhe ke baad ki photo ka muh right side me hai .
- 2000 ke note ke piche Mangal Yaan ki Image chapi gayi hai.
- Note ke piche right side me uper Devnagari me ” ₹ 2000 ” chapa hai .
To friends ye kuch 2000 ke new note ke Features the jin se aap aasani se 2000 ke Asli Nakli Note Ki Pehchan kar sakte hai . aapko ye information 2000 Rupees Note Features Image Asli Nakli Note Ki Pehchan in Hindi kaisi lagi comment kar ke jarur bataye .
Is information ko share jarur kare taki apke friends or family ke log nakli note se bach aske or 2000 ke new note ke 2000 Rupees ke Note ke Features ko jaan sake .
[su_divider top=”no”]
2000 Rupees Note Features Image Asli Nakli Note Ki Pehchan in Hindi , Nakli Note Ki Pehchan Hindi , 2000 Ka Note ki pehchan in Hindi , Duplicate Note ki Pehchan , Jaali Note ki Pehchan , 2000 Rs Note Ke Hidden Features