PayPal Account Kaise Banaye Create PayPal Account in Hindi
Hello Friends , Aaj is post me hum sekhenge ki PayPal Account Kaise Banaye Create PayPal Account in Hindi par Paypal Account banane se pahle ye jaan lete hai ki PayPal Kya Hai ya kya hota hai . Dosto PayPal ek online Payment Getway hai or PayPal paise bhejne or online paise prapt karne ka kafi bharosemand tarika hai . PayPal Account ek online bank jaisa hota hai jiski madet se aap duniya bhar me kahi bhi paise send kar sakte hai or paise prapt kar sakte hai bina hi apni bank information ko share kiye .
Ager aap Online Paise kamana Chahte ho ya Freelanc karna chahte ho , Online kuch business start karna chahte ho kuch services dena chahte ho ya koi product bechna chahte ho to aapke pass PayPal Account Hona Bahut jaruri hai Kuki Tabhi aapko koi Online paise send kar sakta hai .
Jaise Hume pichli post me sikha ki : Click Sense se paise kaise kama sakte hai . Click sense jaisi kai sites hai jin se aap paise kama sakte hai or PayPal ke Jariye apko Paise mil Jaate hai . To Aisi bahut saari company hai or websites hai jo aapko piase Dene (Bhejne) ke liye PayPal se Bhejne pasend karti hai .
Ye Bhi Jane:
- YouTube se Paise Kaise Kamaye
- Kisi Bhi Website Ko Kaise Block Karte Hai
- Chitika Se Online Paise Kaise Kamaye
PayPal Bahut hi bharosemand or secure hai PayPal Provides security through SSL (Secure Socket Layer) jo ki bahut Secure hota hai or Hack Karna impossible hai .PayPal ki tareh or bhi kai websites hai jo online paise transfer karne ki suvidha deti hai Par jyada tar log PayPal ko use karte hai .
PayPal Account Banane ke liye Kya Kya Chahiye :
PayPal me Account Banane ke liye apko inki jarurat padegi
- PAN Card
- Email id
- Bank Account
- Credit ya Debit Card
- Mobile Number
Aapke pass PAN Card or Email id bhi ho tab bhi aap PayPal Account ko khol sakte hai . par PayPal Account Unverified rahega or Unverified PayPal Account me paise recive karne or send karne ki limit rahti hai . esliye hume Back Account or Mobile Number ki jarurat padti hai apne PayPal Account ko verify karne ke liye.
Ager aapka Bank Account nahi hai to aap naya bank account khol le ya fir ghr ke kisi vyakti ka bank account use kare par jiska Bank Account aap PayPal se connect karenge uska hi PAN card PayPal se Connect Kare . Ager Aapke pas PAN Card nahi hai to aap PAN Card ke liye Apply kar de .
 PayPal Account Kaise Banaye Create PayPal Account in Hindi :
Step 01:
PayPal Account Banane ke liye sabse pahle aap PayPal ki website me jaaye . Internet Browser me www.paypal.com Type kare or Enter Button dabaye.
Step 02:
PayPay ki website par jaane ke baad website ke top right side me Sign Up Ka Button Hoga . PayPal Account Banane ke liye Sign Up Button par click kare .
Step 03:
Jaise hi hum Sign Up Button Par Click karenge Vise hi hamare Samne ek new page kulega . Yaha par hume PayPay Account Type ko chunna hai .
yaha par hamare pass do option diye gaye hai
- Individual account
- Business account
yaha par hum Individual account Type ko Chunenge or Continue ki Button par click kar denge
Step 04:
Individual ke option ko chunne ke baad ab hum ek new page par chale jaayenge . es page me hume kuch information bharni hai .
- Yha par country ko select Kare . Hum india me hai to yaha par India ko select karenge .
- Â Dusre number par hume apna Emial Address dalna hai . Apna Email Address Dale . Ager Email Address nahi hai to Email banane ke liye yah post padhe : Â Gmail Account Kaise Banate hai
- Yaha par Password Daale jo aap PayPal Account ka rakhna chahte hai .
- Re-enter password – yaha par apne password ko dubara se daale .
- Continue ki Button par click kar de .
Information ko pura bhrne ke baad ab hum Continue ki button par click kar denge.
Step 05:
Ab hum new page par chale jaayenge yaha par bhi ek form hoga esme hume apni parsonal information ko bharna hai .
Form ko pura bharne ke baad Agree and Create Account par Click kar de.
Step 06 :
Fir ek new page open hoga yaha par hume Apne credit card / Debit card  ki information ko bharna hai (PayPal Account se connect karna hai) . Aap ager chahe to aap es step ko skip bhi kar sakte hai , Skip karne ke liye jaha par likha hai I,ll link my card later  us par click kar de.
Step 07:
Link Card par Click karte hi PayPal se ek massage aayega jisme likha hoga ki Your new PayPal account has been created ! jiska matlab hota hai ki aapka new PayPal Account ban chuka hai.
Step 08:
PayPal Account Banate samaye aapne jis email id ko dala tha us email id ke inbox me jaaye . vaha par aapko PayPal se ek mail aaya hoga us mail par click kare us me ek link hoga us link par click karke aap Apna Email verify kare or PayPal Account Activate Kare .
Ye Bhi Padhe :
- Unknown Mobile Number Ki Information Kaise Pata Kare
- Android Mobile Me Screen Shot Kaise Lete Hai
- Google Search History ko Kaise Delete Karte Hai
- Click sense Se Paise Kaise Kamaye
To Dosto es tareh se aap PayPal Account ko bana sakte hai . ager aapko es post PayPal Account Kaise Banaye Create PayPal Account in Hindi ke baare me kuch puchna ho ya PayPal Account banane me koi presani ho rahi hai to Comment karke jarur bataye hum aapki madet karenge .
[su_divider top=”no”]
Great News!!!!!
Watch This video 100% Verified Paypal Account in Pakistan India And give comment back
youtu.be/g_L9DISiH2g
Plz Add Sound to Your Video ..
sir bank account confirm nai ho rha hai ple help me
aapne apna bank account Paypal me submit kiya .. ? sahi se back account number check kare or jo bhi information aapne paypal me bhari hai vo sahi honi chahiye
agar sahi kiya hai to thoda time lagega . intjaar kare . paypal se aapke account me kuch paise bheje jayenge or vapes nikale jayege . tabhi aapka account confirm hoga .. thoda time lag sakta hai wait kare .
hello sir , mai india se hu per mai filhal dubai me job kar raha hu muje paypal acount kaise banana hai aur mere pas pan card hai …kya muje uae me bank aacount apoen karna padega ? plzzz help me
aapne kaha ki aape pass pen card hai , pan card india ka hai to bank account bhi india ka hi ho to accha hai .
bank account nahi hai to bank account open kar le .
sir PayPal ka koi app hai kya WO kaam karega please bataye
paypal android aap : https://play.google.com/store/apps/details?id=com.paypal.android.p2pmobile
try kare
Nice article sir (htips.in)
thanks Vandana Namdeo ! (htips.in)
Nice information. Keep up the good work.
bahut hi achchi jankari…mujhe aaj kuch naya sikhne ko mila.. (kbdindia.com)
Thanks For Comment .
Very nice sir
Thanks For Comment Deepak!
Thanks