YouTube Par Video Upload Kaise Karte Hai
Dosto YouTube ki es post me aaj hum sekhenge ki YouTube Par Video Upload Kaise Karte Hai YouTube ki Pichli post me humne sekha ki YouTube se Paise Kaise Kamaye jate hai  . Dosto Ager aap apne video ko online share karne chahte hai to YouTube Bahut hi aacha platform hai kuki YouTube Duniya ki sabse jayada dekhe jaane vali video site hai . Youtube ko har roj laakho log use karte hai or Apne video ko share karte hai or videos ko dekhate hai .
YouTube par video share karne free hai aap bhi YouTube par Free me Video share kar sakte hai or aapke video ko koi bhi duniya ke kisi bhi kone se dekh sakta hai . YouTube par Video upload karke aap YouTube se Paise bhi kama sakte hai .maire kaafi friends hai to video upload karke YouTube se paise kamate hai .
Dosto chaliye dekhte hai ki YouTube me Video ko kaise upload karte hai .YouTube me hum video ko Computer ya mobile se upload kar sakte hai .par aaj es post me hum sekhenge ki Computer se YouTube par Video Kaise Upload kare .Â
Ye Bhi Padhe:
- Facebook Se Video Kaise Download Kare
- Hindi Typing Kaise Kare
- YouTube History Kaise Delete Karte Hai
YouTube Par Video Upload Kaise Karte Hai
YouTube par Video upload karne se pahle aap Video bana le aap video kisi bhi topic par bana sakte hai , Video ko aache se Edite kar le , CC kar le (Color Correction) jo bhi size set karne hai vo size set kar le Video ko Compress kar le taaki YouTube par Video jaldi upload ho jaaye . Video ko sahi format me convert kar le jo YouTube Support karta hai .
YouTube en Formets ko Support karte hai :-
- .MOV (Quick Time Movie)
- .MP4 (Motion Picture Experts Group Part 14)
- .AVI (Audio Video Interleaved)
- .MPEG (Motion Picture Experts Group)
- .WMV (Windows Media Video)
- .FLV (Adobe Flash)
- .M4V (h.264)
- 3GPP (3rd Genration Partnership Project)
- .WEBM (HTML 5)
To aap apne video ko sahi formet me convert kar le jo YouTube Support karte hai . Video ko convert karne ke liye bahut saare software aate hai ya kuch video convrt karne vali website hai jinka use karke aap apne video ko Free me convert kar sakte hai .
aap apne video ko upload karne ke liye tiyaar kar le .YouTube par Video ko Upload karene ke liye hume Computer , Internet connection or YouTube Account Chahiye. Ager Aapke paas YouTube Account nahi hai to es post ko padhe : YouTube par Account kaise banaye
YouTube Par Video Upload Kaise Kare Step by Step :
YouTube par video upload karene ke liye steps ko follow kare.
Step 01:
YouTube par Video upload karne ke liye Sabse pahle aap YouTube ki website me jaaye . apne Internet browser me www.youtube.com Type kare or Enter button dabaye .
Step 02:
YouTube ki website open hone ke baad. Apne YouTube Account me Login karne ke liye Sign in par click kare .
Step 03:
Sing in par click karte hi aap ek naye page par chale jaayenge. Jaha par aapko Google Account yaani ki Gmail Account ka Email or fir password daalna hai or YouTube me Sign in karne hai. Ager aapke pass Google Gmail Account nahi hai to aap es post ko padhe : Google Gmail Account Kaise banate hai
Step 04:
YouTube Account me Login (Sign in) hone ke baad . Aap Upload ki button par click kare , Upload ka button aapko right side me uper mil jaayega .Video upload krne ke liye Upload button par click kare .
Step 05:
Upload ki buton par click karte hi aap YouTube Video Upload page par chale jaayege . yaha se aap video ko upload kar sakte hai.
Step 06:
Yaha se video ko upload karne ke do tarike hai .
- Pahla tarika jaha par Select file to upload likha hai vaha click kare fir ek pop up window aayega jiski madet se aap apne computer se us video file ko select kare or Upload kar de.niche Image dekhe.
- Dusra tarika yah hai ki aap apni Video file ko es page par Drag and Drop kar ke YouTube me Upload kar sakte hai . niche photo dekhe.
Step 07:
Jaise hi aap youtube par video ko upload hone ke liye select karenge vaise hi aapki video YouTube me upload hone lagegi . Aapko video uploading ki process hoti hui dekhai degi (Video Kitna percent upload huva hai vo dekhai dega) .
Thodi der intjaar kariye jab tak ki aapka video upload nahi ho jata , Upload hote samaye es page ko band na kare . Jab aapka Video YouTube me puri tareh se upload ho jayega to aapko PROCESSINGÂ DONEÂ ka massage aa jayega .
Step 08:
YouTube par Video Uploading puri hone ke baad aapke samne ek new page aayega jaha par hume us Video ka Tital , us video ke baare me () or Video tags to daalna hai taki hamara video YouTube se Search result me aaye or log use search kar sake . Chaliye dekhate hai ki es page me kya kya bharne hai .
- Process Bar yaha par video uploading ki process dekhti hai ki aapka video kitna percent Upload hua hai . YouTUbe me jab aapka Video Puri tareh se upload ho jayega tab yaha par PROCESSING DONE ka message aa jayega.
- Yaha par aapko apne video ka Titel dalna hai .
- Description yaha par aapko apne video ke baare me short me likhana hai ki aapka video kis baare me hai .
- Yaha par tags ko dalna hai . Ager maira video funny video hai to me yaha par teg me  – funny video , comedy video , fun, comedy clip …. asa kuch likunga taaki log usko serch kar sake
- Yaha se aapko apne video ka Thumbnail ko set karna hai . yaha par YouTube aapke video me se Tin image ko show karega aap enme se kisi ek par click karke video ka Thumbnail set kar sakte hai.
- Yaha se aapko apne video ki Privacy ko set karna hai . yaha par Public ko select kar le taaki har koi aapki video ko dekh sake.
- Yaha par aap koi massage add kar sakte hai or google + par vo video massage ke saht share ho jayega.
- Yaha se aap apne video ko apni YouTube ki playlist me add kar sakte hai.
- Seb kuch set or Bharne ke baad aap Publish button par click kar de .
Publish Button par click karte hi aapka video YouTube par Live ho jayega yani ki ab us video ko koi bhi dekha sakte hai .To dosto es prakar se aap YouTube par aasani se Video ko upload kar sakte hai (publish a video to YouTube).
In Post ko Bhi Padhe :
- YouTube Account ko Monetize Kaise Kare or AD laga par Kaise Paise Kamaye
- YouTube Account Verify Kaise kareÂ
- Facebook Par Kisi ko Block Ya Unblock Kaise Kare .
- Computer Par WhatsApp Kaise Chalate Hai
To Dosto aaj humne sekha ki YouTube Par Video Upload Kaise Karte Hai . aap bhi YouTube par Video ko aasani se Upload Kar sakte hai. Aapko yah post kaisi lagi comment karke jarur bataye . ager aapko koi apresani hoti hai video upload karne me ya jo bhi aapko puchna hai aap comment kar sakte hai .humaapki madet jarur karenge .
[su_divider top=”no”]
Upload Video To YouTube in Hindi , YouTube Video Upload , Upload Video on YouTube in Hindi
Thank you Sir. Acha Blog hai. Kya aap bata sakte hai ki Youtube par ads kaise lagti hai?
Ha hum aapko jarur batayenge ki YouTube Par ads ko kaise lagate hai .
YouTube par ads ko lagane ke liye aapko sabse pahle apna youtube Account Verify karna hoga is post ko padhe : http://www.kaisekamaye.com/youtube-account-verify-kaise-kare-verify-youtube-channel-hindi/
. uske baad aap YouTube par apne Video me monetization ka option on kar de or account ko adsense se jod de. jisse aapke video ke uper ads aane lagenge … es ki or jyada jaankari aapko aane vali post me de de jayegi .
– Shravan .
sir humne to video to upload kr diya but video ke likes or watch ke paise kisme aae ge plz help me
aapne video ko upload kar diya hai .. 4 , 5 video upload karne ke baad . apne youtube channel se paise kamane ke liye .. apne channel me Monetization (AD) on karna padega . thaki aap paise kama sake .
iske liye sabse pahle aapko apna YouTube Account Verify karna padega .. YouTube Account Verify karne ke liye ye post padhe : http://www.kaisekamaye.com/youtube-account-verify-kaise-kare-verify-youtube-channel-hindi/
Use baad aapko jis video se paise kamane ho usme Monetization ka option on kar de..
sath hi sath aapko Google Adsense Account ke liye bhi Apply karna padega jo youtube se aasani se ho jata hai .. is bare me mai or jyada jaankari aapko aane vali post me mil jayegi
Monetization
(AD) on kaise krte h sir plzz toda gahrai se btae ge
haa is bare me aap is post ko padh ke jaan sakte hai ki YouTUbe video me AD ko kaise lagate hai or Paise kaise kamate hai .
Is Post ko Padhe : http://www.kaisekamaye.com/youtube-video-monetize-kaise-kare-adsense-se-kaise-jode-hindi/
Sir bahut achchi jankari Di he aapne
Aapke blogs se or Bhi bahut KUCH Sikha ja sakta he.
Thanks
Thanks 🙂
sir aapne Jo channel verify karne ka tarika bataya tha wese mene ek mahina pahale use verify kar liya tha lekin Ab jab me http://WWW.YouTube.com per search karta hu toh waisa page open nahi hota hai likha hua aata hai ‘ there was an signing issue you into YouTube. trouble shoot here’
sir kya hai ye koi problem toh nahi hui
sir please answer me
Sir maine apna video upload kya To serch karta hun To Nani aati ..
Thoda time lagta hai .. youtube search me aane ko (index hone me) . jo popular chennal hai unke video jaldi aa jate hai maine aisa dekha hai . but aap manually apne video ko index ke liye sbmit kar sakte hai jisse vo jaldi search me aaye .
sir mai apna video banakar kaise paisa kamaye ?
Video bana kar paise kamane ke bahutse tarike hai . hamne Youtube se Video bana kar paise kaise kamate hai uske bare me pahle hi bataya hai ye post padhe :http://www.kaisekamaye.com/youtube-se-paise-kaise-kamaye/