Diwali Kaise Manaye Eco Friendly in Hindi
Aaj hum janege ki Diwali Kaise Manaye Eco Friendly in Hindi , diwali kaise manate hai , diwali kyo manate hai uski puri jaankari iss post me hum janege . Aap sab jante hai ki Diwali india ka sabse bada parv hai . Diwali ka intajaar har koi badi basabri se karta hai , yah desh ka sabse bada or pasandida parv hai , Diwali ko har koi manata hai isme jaati – paat ke bhed bhaav ko bhul kar sab bade hi ullas se manate hai .
Diwali rosni ka parv hai , Diwali Daseahra ke 20 din ke baad manaya jata hau . Diwali ki kushi sab me dekhte hi banti hai vo chaye bacha ho ya budha sab se ek aag hi utsaah rahta hai sab gharo ki saaf safai karte hai , sajate hai acche pakvaan banate hai , Raat ko diye jalaye jaate hai sara gaav , sahar pura bharat rohanmay ho jata hai . To chaliye dosto Diwali ke bare me thoda or jante hai or sahi dhange se Diwali Kaise Manaye ye bhi Jante hai .
Diwali Kaise Manaye Eco Friendly in Hindi
Diwali Kyu Manate hai – Diwali mamane ka Karen (Diwali History in Hindi)
Bhagvaan Ram ne Ravan ko maar Burai par acchai ki vijay ki thi or Bhagvaan Ram , Sita , Laxman ke ayadhya lotne or vanvas samapt hone ki khusi me ayodhya vasiyo ne amavasya ki raat ko diye jalakar khusi manayi thi tab se yah parv har saal mnaya jata hai .
Kuch jagah ye bhi mana jata hai ki issi din Krishn Bhagvaan me narkasur ka vadh kiya tha or tab se ye parv unki vijay ki khusi me manaya jata hai par yaha par bhi vahi baat hai Burai par Acchai ki vijay . To is tareh ki kai manytaye hai , Par isse prakaas parv kahte hai . Burai par acchai or andhkaar par prakas ki vijay ka parv .
Diwali Ka Mahatva (Significance of Diwali in Hindi)
Diwali parv ka bada mahatv hai yah parv purane samaye se manaya jata hai , yah hamari sanskriti or aderso ka parv hai . Yah par hume Burai par acchai or andher par rosani ki vijay ka sandesh deta hai . Is parv ko har koi manata hai .
Diwali hume diye jaisi jindagi jina sikhati hai hamesa dusro ko liye jalna , dusro ko pras dena , khusi dena . Aap sab log jaante hi hai ki diwali par dipak jalate hai or dhan ki devi maa Laxmi ki puja karta hai . To chaliye Diwali ke bare me or bhi baate jante hai or ye bhi janenge ki Diwali ko sahi tarike se kaise manaye .
Diwali Kaise Manaye – Diwali Manane Ka Tarika
Ghar Ki Saaf Safai Kare
Diwali manane ke liye ghar ki saaf safai bahut jaruri hai , Kuki safai me hi devta vaas karte hai diwali aa laxmi ka parv hai . To gahar ki saaf safai kare , gharo se gande or bina kaam ki chijo ko baahar kare or kudedaan me daale . Nai or saaf chijo ko hi ghar me rakhe . Saaf kapde pahne , baahar ki safai ke saath sath apne man or sarir ki bhi safai kare .
Ghar Ki Sajawat Kare
Diwali par sabhi apne gharo ki safai karte hai or safai ke baad gahr ko sajaya jata hai , gahr ko sajane ke liye aap phul mala , kagaj se bani jhalre ya aam ke patte ki mala , Gahr ko sajane ke liye rangoli bhi kar sakte hai ya kuch or jo ki Eco Friendly ho use kar sakte hai
Plastik se bani hui chijo ka use na kare kuki Plastik paryavaran ko nuksaan pahuchata hai , plastik galta nahi hai , mitti me milta nahi hai to kosis yahi kare ki Eco Friendly saman hi ghar ko sajane me use kare .
Devi Laxmi Ma Ki Puja Kare (Diwali Puja)
Diwali par ma Laxmi ki puja ka kaafi mahatv hai . Aisa kaha jata hai ki amavasya ki raat ma laxmi dharti par aati hai or logo ko aasirvaad deti hai . To diwali ko ma Laxmi ki puja karni chahiye , Diwali par ma Laxmi Puja ke saath Ganesh ji ki bhi puja ki jaati hai kaha jata hai ki bina Ganesh bhagvaan ki puja kiye koi puja puri nahi hoti .
Diwali Laxmi Puja vidhi
Laxmi ji ki puja karne ke liye unki photo ya murti le or saaf se jageh par acche se saja kar use rakhe or Ganesh ji ki bhi photo ya murti rakhe.
Laxmi Puja karne ke liye ghar ke sab log saath me baith , hath me pani le kar pavitri karan kare , mantro ke sath ma Laxmi or Ganesh bhagvaan ka avahan or pujan kare, Dipak jalaye , Aarti kare , Santi paath kare or last prasaad baate . Fir ghar me or charo taref dipak jalaye , or bhavna kare ki Maa Laxmi ki daya aappe bani rahe .
Deepak – Diye Jayaye (Deepdan Kare)
Diwali roshni ka parv hai (festival of light) Diwali ke din dipak jalane ka bada mahatva hai . Mana jata hai ki is din ghar , bajar , gosala , mandir me dipak jalane se ma laxmi khus hoti hai . Kaha jata hai ki is din agar koi pure man se laxmi maa ki puja karta hai to laxmi ji ki us par kripa hoti hai or uske ghar me khushali aati hai .
Par aaj ke is aadhunik yug me log dipak ki jageh lights (small bulb) jalate hai jo ki sahi nahi hai , Dipak jalane ke alag mahaty hai yaad rahe aap Dipaawali mana rahe hai balbawali nahi to bulb ko na jalaye . isse desh ko bhi kafi nukshaan hota hai . Dipak banakar rojgaar karne vaale bhukhe sote hai ot light banane vala chin (चीन) , desh ka sara paisa desh ke baahar le jata hai .
Desh ke Jawano Ke Liye Diye Jalaye
Apne desh ke javano ke liye diwali pe dipak jarur jalaye , Kuki inhi desh ke bahadur javano ki badolat hum apne gharo me surakchit hai or bina kisi dar ke diwali mana rahe hai to diwali pe desh ke javano ke liye dipak jarur jalaye or unke liye prarthana kare.
Patake Jalaye Ya Na Jalaye (Eco Friendly)
Diwali par lagbhg sabhi log patakhe jalate hai , Par in patakho se hamare parvavaran ko kaafi nuksaan pahuchta hai . Patakhe jalane se kaafi dhuva nikalta hai jo ki kaafi khaternaak hota hai . patakho se shor bhi bahut hota hai .
Par agar aap chahe to bajaar me aise patakhe bhi hai jo kam aavaj karte hai or jyada dhuva bhi nahi nikalta hai . Jaise fuljhadi isme aavaj bhi mahi nikalti or pradusan bhi kam hota hai , Kahne ka mtalab ye hai ki aap apne liye aise patakhe kharide jisi aapko or paryavaran ko koi nuksaan na ho or apne friends or pahchaan ke logo ko bhi yahi salah de.
Mile Jule Khuviya Bate (Diwali Gift)
Diwali saal ka sabse bada tyohar hai to is diwali par aap sabse mile – jule , Friends ko wise kare , Gifts de, aachi – acchi baate kare , ghar me sab ek saath baithe – baate kare . Agar kisi ko kuch gift dena hai to Eco Friendly gift de .
Diwali Ke baad Safai Kare
diwali ke baad safai , Friends hum log diwali me patakhe jalate hai , bacche patakhe jalate hai to patako ka kachara vahi rah jaata hai or agle din jab hum apne ghar ke aas pass gali – muhallo me dekhte hai to kaafi kachra pada rahta hai or us khachre ko ham undekha karte rahte hai or intjaar karte hai ki koi us kachre ko saaf kare ya sakaari karmchaari aa ke saafe kare
Jo kachra hamne kiya vo koi or saaf ku kare , Ghar ke aas – pass safaye hogi to issme hamara hi faayda hai , roog nahi felenge , dekhne me bhi accha lagega kai karan hai . Ye harara desh hai ise saaf karne ki jimedaari hamari hai , aapsi jhagdo or jaati – paati se upar uthkar hume desh ke baare me bhi sochna chahiye . To Diwali ke pahle or Diwali ke Baad Safai Jarur kare .
Friends to is tareh se humne jana ki Diwali Kaise Manaye Eco Friendly in Hindi . Friends jitna ho sake diwali ko khusiyo se bahar le, Is baar ki diwali pichi diwali se acchi manane ki koshis kare . Jindagi ka har pal kimti hai par jo baaki din busy rahte hai or unhe keval diwali ka din hi enjoy karne ko mila hai to khul kar enjoy kare , Friend , Family ke saath aacha time bitaye par dyaan rakhe ki aapki diwali safe (surakchit) tarike se manaye . Taaki aapko or Environment ko koi nuksaan na ho .
Aapse hath jod ke ek baat bolna chahta hu ki hamare desh ke javano ke naam kam se kam ek diya jarur jalaye , kuki jab hum diwali manate hai tab ve apne parivaar se dur desh ke border par hamari surakha kar rahe hote hai . Hum par unka ye bahut bada ahsaan hai jo hum kabhi nahi utaar sakte , To ek Diya Desh ke Javano ke naam .
Saaf suthari or Surakchit diwali manana hamari jimedari hai , Uper batayi gayi har baat ko dyaan se padhe or Sahi tarike se diwali manaye . Diwali saal me ek baar hi aati hai to full enjoy kare . Happy Diwali – Safe Diwali 🙂 .
[su_divider top=”no”]
Diwali Kaise Manaye Eco Friendly in Hindi , Diwali Kaise Manaye , Diwali Kaise Manate Hai , Pradushan Mukt Diwali , Deepawali Kaise Manaye , Deepawali in Hindi
Bhaut hi badhiya info diya hai diwali ke bare me . happy diwali..
Thanks For Comment Rakesh ! Happy Diwali.