Zip File Kya Hai Kaise Banaye or Unzip Kaise Kare
Aaj hum log Zip file ke bare me janege Zip File Kya Hai Kaise Banaye or Unzip Kaise Kare Iski puri jankari aaj hum lenge. hum sab internet use karte hai or dosto aapne internet se kai sari file download bhi karte rahte honge , Jaise Songs , Software par aapne kabhi dyan diya ki sabhi file hume Zip Format me milti hai to aakhir ye Zip format hai kya or iska use kaha hota hai chliye aaj jaan lete hai .
Zip File bahut sare kamo me use ki jaati hai jaise kisi file ko compress karne me , kisi File ko password laga ke surakchit rakhne me or bahut se karan hai jinki vajeh se log Zip Files ka use karte hai . Zip File banana kaafi aasan hai bas kuch hi click me aap bhi zip file bana lenge or Zip File ka fayda le payenge .
Zip File Kya Hai Kaise Banaye or Unzip Kaise Kare
Zip File Kya Hai
Zip file (.zip) ek single file hoti hai kai bar Zip ko “archive” bhi kahte hai . Zip ke andar ek ya kai sari compressed file rahti hai . Zip file bana ke hum file ko Compress kar ke send kar sakte hai or sahi se rahk sakte hai . isko aise samajiye jaise hum apne computer me folder banate hai or folder ko hum kahi bhi rakhe uske under ki files uske saath hi rahti hai viase hi Zip file me hum kai sare folder , file ko Compress kar ke rakhte hai .
Agar aapke pass ek folder hai or usme 10 alag alag file hai to aap us folder ko isi ko email se send nahi kar sakte kuki folder email me nahi jata , aapko 10 files ko alag alag email karna hoga . Aise me Zip file kaam aati hai aap Folder ko Zip kare or internet par kisi ko bhi send kar de , Size bhi kam ho jayega or use karne me bhi easy hai .
Zip Format bahut jyad popular compression format hai . Zip File ki extension .zip hoti hai . To ek line me kahe to Zip ek file container hai jis pe kai sari compressed file rahti hai , Zip File ko use karne ke liye usko Unzip karna padta hai .
Zip File Ko Kyu Use Karte Hai – Fayde
- Kisi bhi file ko Zip karne par uska file size kam ho jata hai .
- Zip file ka kam size hone ki vajah se internet par file ko send karna or receive karna fast ho jata hai , time saving rahta hai .
- Zip File ko password bhi laga sakte hai .
- Internet par kai sari file ko Zip karke ek bar me send kar sakte hai .
Zip File Kaise Banaye (Create Zip File)
Zip file banane ke liye kai sare software aate hai par aapko koi Software Download or install karne ki jarurat nahi hai . Window me ye pahle se hi rahta hai . To chaliye friends ab hum Zip file banana sikhte hai .
Me aapko do easy tarike batata hu Zip file banane ke . ek ek karke dono ko dekhte hai .
Zip File Bnane ka 1st Tarika :
Step 01:
Jin Folder ya file ko Zip banana ho unko select kare .
Step 02:
Sab file ko select karne ke baad , Select rakte huve right click kare or Send >> Compressed (Zipped) Folder par click kare . niche image dekhe .
Step 03:
Ab aapki Zip file ban chuki hai .
Zip File Bnane ka 2nd Tarika :
Step 01:
Ek Zip file banye . Zip file banane ke liye desktop ya kahi par bhi right click kare New >> Compressed (zipped) folder par click kare .
click karte hi aapka zip folder ban jayega .
Step 02:
Zip file me files ko add karne ke liye files ko zip folder par Drag and Drop kare .
Par jayada tar log pahla tarika hi use karte hai .
Zip File Ko Open Kaise Kare – UnZip Kaise Kare
Zip File ko kholne ko Unzip karna kahte hai kuch log isko Extract karna bhi kahte hai . Zip file ko unzip karne ke liye nice diye gaye steps ko follow kare
Step 01:
Jis Zip file ko Unzip karna ho us par right click kare Extract All (Extract Files.. ) par click kare .
Step 02:
Ab aapke samne ek window open hogi jisme file ko extract karne ki location pucha jayega , yaha par location set kare (agar location change nahi karte hai to jaha par Zip file hai vahi location paae file unzip hogi) or Extract ki button par click kare de .
Is tareh se aap Zip file ko Unzip kar sakte hai .
Android Mobile Me Zip – UnZip Kaise Kare
Android mobile me Zip file banae or Zip File ko Unzip karne ke liye aako kuch App apne mobile me install karni padegii.
Sabse pahle aap Google Play store me jaye or vaha par Win rar ya Zip search kare . App ko install kare or ab aap Mobile me bhi Zip file bana sakta hai or mobile me hi kisi bhi Zip file ko Unzip kar sakte hai .
Dosto aapko ye information Zip File Kya Hai Kaise Banaye or Unzip Kaise Kare kaise lagi comment kar ke jarur bataye .
[su_divider top=”no”]
Zip File Kya Hai Kaise Banaye or Unzip Kaise Kare , Zip File Kaise Banaye , Zip File ko Unzip Kaise Kare
Thanks for this knowledge. Please make some more.
Thanks For Comment .
thax for five me some information
Thanks For Comment . Sunny
zip use kaise kare use karne me problem ho raha hai maidam thora jankari digiye
post ko dubara dyan se padhe isme yahi bataya hai .