YouTube Channel Video ko Facebook Page se Kaise Connect Kare
Aaj hum janege ki YouTube Channel Video ko Facebook Page se Kaise Connect Kare , Kaise Jode . Agar aap online website ya kuch karna chahte hai to aap Facebook par page bana lete hai taaki aapke users aase jude rahe , Fir kuch log youtube par channel bhi bana lete hai or apne youtube ka videos ko Facebook ke page par dalte rahte hai , Par ye kaam unko manual karna padka hai . maunnual matlab ki youtube video ka link copy karte hai fir facebook me dalte hai . Har YouTube video ke liye unhe aisa karana padta hai jisme hamara kafi time chala jata hai .
To aaj hum ek bahut hi kaam ki baat janege jisko karne se hamara YouTube Chennal Facebook Page se Jud Jayega or Hamame sare video automatic Facebook Page par add ho jayenge saath hi hum Facebook Page par ek YouTube ka Tab bhi add karna shikhenge jisse Koi bhi hamare YouTube videos ko Facebook par hi dekh sakta hai . Chaliye sikhte hai ki YouTube Channel Video ko Facebook Page se Kaise Connect Kare , Facebook Par YouTube Tab Button Kaise Add Kare .
YouTube Channel Video ko Facebook Page se Kaise Connect Kare
YouTube Video ko Facebook page se jodne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare . Facebook Page se YouTube video ko jodne ke kaise fayde ha isse aapke youtube videos ke views ke saath sath YouTube Subscriber bhi budenge .
Step 01:
Sabse pahle aap apne YouTube Account me login kare jiske video ko Fcebook page se connect karne hai .
Step 02:
YouTube me login hone ke baad , Apne chennal me jaaye . Apne chennal me jaane ke liye YouTube ke left side me My Chennal par click kare . niche image dekhe .
Step 03:
Ab aapke Chennal ka page open ho jayega . Hame yaha se apni channal id Copy karni hai , Channal ID copy karne ke liye page ka url dekhe jo isse tareh se hoga : https://www.youtube.com/channel/Uabcdefghasdfg .
Hume url me se Channel/ ke baad ka likha huva copy karna hai kuki vahi hamari YouTube ki Chennal ID hai . niche image dekhe.
Step 04:
YouTube Channel ID Copy karne ke baad ab aap apne Facebook Account me login kare .
Step 05:
Facebook Account me login hone ke baad aap Facebook search box me youtube tab  likh ke search kare . or Fir resul me se YouTube Tab (page app) par click kare . niche image dekhe.
Step 06:
YouTube Tab par click karte hi aapke samne youtube tab ka page open hoga . Yaha par Use App ki button par click kare .
Step 07:
Ab ek new page open hoga yaha par apne facebook ka page select kare, jis me aapko YouTube video Tab ko add karna hai . Facebook Page ko select karne ke baad , Add Page Tab ki button par click kar de.
Step 08:
Ab aap automatic apne page par chale jayenge or YouTube ka Tab aapke Facebook Page par aajayega . Par yaha par kuch pahle se hi youtube video aapko dekhnge ku ki hamne abhi tak apne YouTube Account ko connect nahi kiya hai .
Apne YouTube account ke video ko display karne ke liye setting me Channal ID or Playlist ID me Apne YouTube Channel ki ID dale jo hamne abhi thodi dar pahle YouTube se copy ki thi . YouTube Channal Id Dalne ke baad Save Setting ki button par click kare de . niche image dekhe .
Ab yaha par aapke YouTube video display hone lagenge . To Friends iss tareh se hum apne YouTube channal ko Facebook Page se Jode sakte hai or Facebook Page Par YouTube Tab ki button ko add kar sakte hai .
Ye information kaisi lagi comment kar ke jarur bataye . or agar kuch puchna ho to comment kar ke jarur puche . Niche Video Tutorial Dekhna na Bhule .
Hindi Video Tutorial : How To Add TouTube Video To Facebook Page | Facebook Page Ko YouTube Chennal se Kaise Jode
Is hindi video me aap jaanege ki YouTube Channel Video ko Facebook Page se Kaise Connect Karte Hai . Is tareh ke Hindi video tutorial dekhne ke liye yaha click kare : Hindi Video
https://www.youtube.com/watch?v=EBRAAVultTE
Agar aapke ye video pasand aaya ho to Hindi channel ko YouTube par subscribe jarur kare , Subscribe karne ke liye yaha par click kare : Subscribe
agar aap yaha par apna video chahte hai to contact us. (we promote your link)
[su_divider top=”no”]
YouTube Channel Video ko Facebook Page se Kaise Connect Kare , YouTube Video ko Facebook Page par Kaise Dale , Facaebook Page ko YouTube Chennal se Kaise Jode .
Mera Facebook me YouTube channel ad karne me galti ho gayee .jiske karan nhi Sikh raha hai.plze bataye..
Ye Video dekhe or samjhe : https://www.youtube.com/watch?v=EBRAAVultTE
Nice (shahzaibtricks.info)
Thanks For Comment ..
Bhai jab me use app par click kerta hu to
This dialog is not available on device ye beta reha hai please reppppllllyyyy me help
Computer se sare steps ko kare . mobile se nahi hoga .
Thanks for Comment .
hiii
bro laptop se nahi ho raha hai
hiii bro ,
sabse pahle facebook me login kare fir apne page me jaaye uske baad sare steps kare ..
thanks
Thanks for this article par ab facebook ko monetization kaise kare uski bhi detail share kare please jo video youtube mai dale hai kya usse facebook mai dalne mai koi problem to nahi
thanks sir is tips se apne naye youtube channal ko naye page se add kar paaya
Thanks For Comment!