Android Kya Hai What is Android in Hindi
Aaj ka topic hai Android Kya Hai What is Android in Hindi Friends bahut sare log hai jo Android mobile use karte hai par unhe Android ke bare me nahi pata hai . Aaj hum Android ke bare me janege ki Android kya hai , Kisne banaye , History or bahut saari kaam ki bate .
Friends aapne kai baar apne mobile phone me Ek hare rang ka robot dekha hoga , to vo kya hai . Aapne ye kai dukano or kai jagay dekha hoga , Mobile par ye bana rahta hai to aakhir ye hare rang ka robot hai kya . Friends ye Android ka symbol hai .
Android Kya Hai What is Android in Hindi
Android ko bane lagbag 10 saal ho gaye hai . Or ye bahut hi popular ho chuka hai har koi aaj yahi puchta hai , Best Android phone kon sa hai , Best Android App Kya , Android – Android , Kahne ka matlab android bahut popular hai to chaliye aaj hum Android ko samajhte hai or jante hai .
Android Kya Hai ?
Android , Mobile operating system ka naam hai . Is opreting system ko America ki Company Google ne banaya hai . Jaise hamare computer me windows operating system dala rahta hai ussi tareh ab jyada tar mobiles me Android operating system dala rahta hai .
Android lagbhag har mobile or tablate par chal sakta hai , Apple ke iphone par nahi . Android Linux based software hai or yah Free or Open Source software hai . Iska ye matlab huva ki koi bhi dusri company Android Software ko le sakte hai or apne Mobile device me use kar sakti hai .
Android operating system duniya ka samse popular mobile operating system hai ku ki ye google valo hai hai or isse google ke kafi sare app pahle se hi install ho ke aate hai jaise youtube , Gmail , google ap etc . To hum ye bhi kah sakte hai ki ye isliye bhi popular hai kuki google ki servies isme milti hai . Andorid system ko chalane ke liye google ID yani ki Gmail account ka hona jaruri hai .
Android ki vajah se hi hum Touch Screen ka use kar ke mobile ko aasani se operate kar sakte hai . Android ki popularity kafi taji se badh rahi hai , iska andaja aap isse hi laga sakte hai ki lagbhag 17 lakh roj android new user ho jate hai yani ki roj 17 lakh new Android activation ho jate hai .
Android ke alava Mobile ke or bhi operating system hai jise Apple ka IOS and others . Lakin 100 me se 72% log Android use karte hai . 20% IOS or 8% other operating system .
Android Versions :
Google Android par lagatar kaam karta rahta hai ki usse kaise behter banaya jaay . Google Android ke new version ko har 6 mahine me nikalte rahte hai par abhi kuch samay se ve ab har sal new version tak pahuch gaye hai . Google Android ke version ke naam ko kisi मिठाई और डेसर्ट par rakhte hai or vo alphabetical order me apne new version ka name rakhte hai .
Android ka sabse pahle Version ka name Alpha hai jo ki A latter se start hota hai or ab A, B, C, … kar ke N tak pahuch gaye hai . Latest Android Nougat hai jo ki N latter se start hota hai . To google apne Android version ka naam alphabetical order me rakh ke nikalte hai .
Niche ab tak ke sabhi Android versions ki list di hui hai:
- Android 1.0 Alpha
- Android 1.1 Beta
- Android 1.5 Cupcake
- Android 1.6 Donut
- Android 2.1 Eclair
- Android 2.2 Froyo
- Android 2.3 Gingerbread
- Android 3.2 Honeycomb
- Android 4.0 Ice Cream Sandwich
- Android 4.1 Jelly Bean
- Android 4.2 Jelly Bean
- Android 4.3 Jelly Bean
- Android 4.4 KitKat
- Android 5.0 Lollipop
- Android 5.1 Lollipop
- Android 6.0 Marshmallow
- Android 7.0 Nougat
- Android 7.1 Nougat
bahut badiya janakari diya hai aapne, muje yeh aapki post bahut pasand aayi (hindimejane.com)
Very Nice article thank you share this article .