Dropbox Kya Hai or Kaise Use Kare in Hindi
Aaj hum janege ki Dropbox Kya Hai or Kaise Use Kare in Hindi . Friends aapne Dropbox ka name to suna hi hoga agar nahi suna hai to bhi koi bat nahi , Hum aapko Dropbox ki puri jankari denge . Dropbox ki jankari hona bahut jaruri hai to chaliye Dropbox ke bare me vistaar se jaante hai .
Dropbox Kya Hai or Kaise Use Kare in Hindi
Friends kai bar hume apna data kisi ko share karan hota hai ya apni photo , video , impotent documents ko sabhal kar rakhna ho to hum dropbox ka use kar sakte hai . Dropbox me hum koi bhi data rakh sakte hai or use file ke liye ke dvara use dusro se share bhi kar sakte hai . Yah kaafi surakchi hai , Yadi humne dropbox me kuch data dala huva hai to hum usse kahhi se bhi internet ke jariye , computer ya Android mobile ka use kar ke dekh sakte hai, prapt kar sakte hai .
Dropbox Kya Hai ?
Dropbox ka use karne se pahle hum ye ache se jaan lete hai ki Dropbox hai kya . Dropbox ek personal cloud storage service hai jisko hum dusre shabdo me online backup service bhi kah sakte hai . Dropbox file host servies ke liye kafi famous hai yah ek american company hai . Dropbox ka use online file ko store karne or share karne me hota hai .
Dropbox ki application windows , Macintosh and Linux oprating system ke liye uplabdh hai , Mobile device ke liye bhi Dropbox ki App uplabdh hai . Dropbox ko agar aap apne computer me intall karte hai ko Dropbox ka ek special folder ban jata hai jo aapke dropbox account se connect rahta hai . Dropbox me hume 2 GB Free storage milta hai . Dropbox ke user ka data amazon s3 me save hota hai jo ki Secure Sockets Layer (SSL) or 256-bit encryption hai yani ki iska hack hone ka koi saval hi nahi .
Ab hum dropbox ke bare me kafi jyada jaan chuke hai , or jyada bataunga to aap bor ho jayenge . To chaliye jante hai ki Dropbox par accont kasie banate hai . Account hoga tabhi hum dropbox ko use kar payenge .
Dropbox Par Account ID Kaise Banaye
Jaisa ki aine uper bataya ki dropbox ko hum computer or Mobile dono par use kar sakte hai to dropbox par account hum do tariko se bana sakte hai . Pahla Dropbox ki website ka use kar ke or Dusra Dropbox ki mobile App ko install kar ke mobile se . To chaliye in dono tariko ko dekhte hai ki kaise dropbox ka account banate hai .
Computer se Dropbox Account Kaise Banaye
Sabse pahle aap apne browser me Dropbox ki website ko open kare . open karne ke liye Address bar me type kare www.dropbox.com or Enter dabaye or site par jaye .
Site par jane ke baad . Sign Up ke diye gaye from ko bhare ya fir aap Dropbox par gmail account se bhi login kar sakte hai .
- Apna name dale .
- Email Dale .
- Password dale jo Dropbox Account me rakhna hai .vir niche I agree to Dropbox terms ke samne bane box par tik kar de.
- Sign up for free ki button par click kar de .
- Agar app direct Google account se account banana chahte hai to Sign up free with Google par click kar de .
To iss tarah se aap Dropbox par account bana sakte hai .
Ya fir aap Dropbox ka software computer me download kar le or install kar le .
Dropbox software install karne ke liye , Dropbox site me uper right side par Download the app click kare .
Click karte hi aap new page par chale jayenge or dwonload karne ke liye aapki screen apar ek pop up aa jayega .
Save File par click kar ke software download kar le .
Mobile se Dropbox Account Kaise Banaye
Google Play store me jaye or Google play store me Dropbox ko search kare .
or fir dropbox mobile App ko install kar le .
Install hone ke baad aap Dropbox me google account yani ki gmail use kar ke sign in kar sakte hai or use kar sakte hai .
Dropbox Kaise Use Kare
Dropbox ko computer me use karne ke liye aap Dropbox ka software apne computer me install kar lijiye . maine aapko upar bataya hai ki dropbox software ko kaise download karte hai .
Dropbox me aap email account se Sign up kare . aapki batai bayi email par ek mail aayega dropbox se use mail se ek link hoga us par click kar ke apna email confirm kare .
Dropbox ko computer me install karna ke baad aapke computer me apne aap Dropbox ka ek folder ban jayega . Us folder me aap jo bhi dalenge vo automatic aapke dropbox account me save ho gayega (Internet connection hona chahiye)
By defualt Dropbox ka folder yaha par banta hai : C:\Users\Administrator\Dropbox
To me apne is dropbox me kai sare folder ko dalta hu . Jaise hi aap is folder me koi bhi data dalenge vo apne aap apke Dropbox Account me download hone lagega . Dwonload hone ke baad Unke uper Green color ka ka tik ka nisaan aa jayega . niche image dekhe .
Dropbox me Data upload karne ke baad ab aap isko kisi ko bhi share kar sakte hai . Share karne ke liye jisko share karna hia us par right click kare or fir Share ke option choose kare .
Share ke option par click karne ke baad aapke samne ek popup aayega .
- Jiske sath share karna hai uska Email dale .
- yaha se aap ye setting kar sakte hai ki jiske sath aap share kar rahe hai vo keval dekh sakta hai ya usko edit bhi kar sakta hai , Aap yaha se control de sakte hai . upar image me point 2 dekhe.
Ya Fir aap Usko share karne ke liye yaha se link bhi create kar sakte hai . link banane ke liye Create link lar click kare . niche image dekhe .
aap link bana ke kisi ke bhi sath share kar sakte hai .
Friends Is tarah se hum Dropbox use kar sakte hai . Aaj humne jana ki Dropbox kya hai , Dropbox Account Kaise Banaye agar aapko ye information pasand aaye to isse apne dosto me share jarur kare .
Aapko ye post Dropbox Kya Hai or Kaise Use Kare in Hindi Kaisi lagi hame comment kar ke jarur bataye .agar isse sambandhit kuch puchna ho to niche comment kar ke aap puch sakte hai .
[su_divider top=”no”]
Dropbox Kya Hai or Kaise Use Kare in Hindi , Dropbox Kya Hai , Dropbox Account Kaise Banaye , Dropbox Kaise Use Kare , Dropbox Kaise Use Karte Hai , Dropbox Kaise Chalaye , Dropbox Kaise Istemaal Kare .
Nice and informative article…I learned a lot by reading your blog…..Keep up the good work… (kbdindia.com)
Hop you really learn something from this website and not just collection back-links . thanks For Comment .