IP Address Kya Hota Hai Apna IP Address Kaise Pata Kare in Hindi
Aaj hum IP ke bare me janege ki IP Address Kya Hota Hai Apna IP Address Kaise Pata Kare in Hindi . Aaj hum sab computer or internet ka use karte hai par bahut sare log aise bhi hai jo saalo se internet or computer use kar rahe hai lakin unhe IP ke bare me kuch pata nahi hota .
IP Address Kya Hota Hai Apna IP Address Kaise Pata Kare in Hindi
Agar aapko bhi IP ke bare me jyada kuch pata nahi hai to koi baat nahi aaj hum aapko IP Address ke bare me saari jaankari denge . Is Post me pahle hum IP ke bare me janege or fir hum aapko batayenge ki apna IP Adress Kaise Pata Karte Hai . To chaliye IP Adress Kya Hota Hai ye jante hai .
IP Address Kya Hota Hai
IP Address ka full name Internet Protocol Addresss hai . IP Address ek tareh se hamari ID hoti hai . har computer user ka IP Address alag alag hota hai . Jaise hum sab mobile rakhte hai or sabka mobile number alag alag hota hai .
Har internet user ka IP alag hota hai . Har website ka IP alag hota hai to ek tareh se hum ye kah sakte hai ki IP Address hamari on line pahchan hoti hai .
IP Address ke char bhag hote hai or har hisse me 0 se 255 ke number hote hai . Or in sab e biche me . laga hota hai .
Udahran ke liye Jaise ye ek IP Address hai : 216.39.143.100
IP Address do tareh ke hote hai .
- Static IP Address : ye ip change nahi hote .
- Dynamic IP Address : ye IP change hote rahte hai .
To ye kuch information thi IP ke bare me . Ab hum apna IP pata lagate Hai
Apna IP Address Kaise Pata Kare
IP Address pata karne ke kai sare tarike hai par me aapko 3 tarike bataunga jo ki bahut aasan hai .
- Computer par apne ip address pata karna .
- Google ka use kar ke apna IP Address pata karna .
- IP batane vali website ko use kar ke apna IP Address pata karna .
To chaliye ek ek kar ke in tino tariko ko dekhte hai or sikhte hai ki apna IP Address Kaise Pata Karte Hai
Computer par Apna IP Address Kaise Pata Kare
computer ya laptop me bina internet ke aap apna IP address pata kar sakte hai . Me aapko Window me ye tarika bata raha hu , Apna IP pata laga na bahut aasan he aap niche diye gaye steps ko follow kare or aap apne IP ko pata laga lenge .
Step 01:
Sabse pahle aap start button par click kare or fir search me run type kare or enter button dabaye ya fir apne Keyboard me Window + R press kare . niche image dekhe .
Step 02:
Ab aapke samne Run ka window open hoga .
- yaha par cmd likhe .
- cmd likhne ke baad OK ki button par click kar de .
Step 03:
Ab apke samne cmd command ki window open ho jayegi yaha par aap ipconfig likhe or keyboard me Enter button dabaye .
Enter button dabate hi aapke samne aapka IP address aa jayega . niche image dekhe .
Iss tareh se aap apna IP ko dekhe sakte hai .
Google se Apna IP Address Kaise Pata Kare
Google ka use kar ke bhi aap apna IP address pata laga sakte hai . gooole se ip address pata lagana ke liye sabse pahle aap apne browser me google ko open kare or fir google ke search box me aap what is my ip type kar or search kare . jaise hi aap search karenge aapka IP vaha par aa jayega . niche image dekhe .
google se bhi ab hum apna ip address pata laga sakte hai . iske alava or bhi bahut sari websites hai jin se bhi aap apna IP address pata laga sakte hai or ek impotent baat ye hai ki aap in website ko mobile me bhi open kar ke apne mobile ka IP adrress pata laga sakte hai .
chaliye me aapko ek website ke bare me bhi bata deta hu jis ki help se aap ip address pata laga sakte hai .
Website se Apna IP Address Kaise Pata Kare
Bahut sari websites hai jo ip batati hai par me apko www.whatismyip.com ke bare me bata raha hu .
Is website se apna IP Address pata lagane ke liye aap is website par jaye . apne internet browser me www.whatismyip.com type kare or Enter dabaye .
Jaise hi aap is website par jayenge aap yah par apna IP Address dekh sakte hai . yaha par kuch karne i jarurat nahi hia apne aap apko yaha par apka ip address dikhe jayega .
To Friends ab aap jaan hi gaye honge ki IP Address kya hota hai or apne IP Address Kaise dekhte hai .
Aapko ye information IP Address Kya Hota Hai Apna IP Address Kaise Pata Kare in Hindi kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye . Agar aapko ye post pasand aai ho to isse apne friends me share jarur kare , jisse unko bhi is ke bare me pata chale .
Video Tutorial : How To Find IP Address in Hindi | IP Kya Hai Apna IP Kaise Pata Kare
Is hindi video se app sikhenge ki IP Address Kya Hota Hai Or Apna IP Address Kaise Pata Kare (How To Find IP Address in Hindi). Is tareh ke Hindi video tutorial dekhne ke liye yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=P2Q4W08qDY0″]
Agar aapke ye video pasand aaya ho to Hindi channel ko YouTube par subscribe jarur kare , Subscribe karne ke liye yaha par click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact us. (Advertise with us with low Cost –we promote your link)
[su_divider]
IP Address Kya Hota Hai Apna IP Address Kaise Pata Kare in Hindi , IP Address Kya Hai , IP Address Kya Hota Hai , Apna IP Address Kaise Pata Kare
Online Voter ID Card Kaise Download Kare .
Thanks for sharing this info.Sir aap bahut hi badhiya knowledge diye hai.
sir mujhe aapki help ki bahut zarurat hai sir mere blog par traffic bahut kam aarha hai sir
traffic kaise increase karen please help me
Thanks For Comment Vishvjit ..