HTML Kya Hai HTML Kaise Sikhe in Hindi
Friends aaj HTML ke bare me baat karenge HTML Kya Hai HTML Kaise Sikhe in Hindi . Bahut sare log hai jo internet me paise kamana chahte hai or ve internet par search karte hai or khojte hai ki paise kaise kamaye . kuch log blogging karna chahte hai to kuch YouTube ya dusre tariko se paise kamane ki koshis karte hai .
Jo blogging karna chahte hai unhe HTML ka thoda bhut gyaan hona chahiye kuki blogging karne ke liye bhi website banani padti hai or jo log apne ghar par rah kar kuch kaam karna chahte hai jaise website banane ka ya online kuch to bhi HTML ke bare me pata hona jaruri ho jata hai . Is post me hum aapko HTML ke bare me kuch important bate batayenge .
HTML Kya Hai HTML Kaise Sikhe in Hindi
Agar aap HTML shikhna chahte hai to sabse pahle aap ko HTML ki basic jaankari honi chahiye jaise HTML Kya Hai , thoda bhut history ke bare me or kaha use hota hai . To aap chinta na kare aaj hum ye sabhi jaankari aake liye le ke aaye hai or last me aapko kuch aisi website ke bare me bhi bataunga jaha se aap HTML ko aaram se shikh sakte hai . To suru karte hai or jante hai ki HTML kya hai .
HTML Kya Hai
HTML ka full name Hyper Text Markup Language hai isse short rup me HTML kahte hai . HTML ek computer bhasha hai jiska use website banane me kiya jata hai . HTML dusri bhasha jaise C, C++ ya Java , Python aadi bhasha se bahut hi saral hai or HTML ko badi aasani se sikha ja sakta hai .
Hyper Text Markup Language detail me .
Hyper Text : website me text hote hai par Hyper Text apne saath links kojode rakhta hai , jab use par mouse ya press kiya jata hai to vo kaam karta hai , iss typr ke text ko Hyper Text ya Hyperlink kahte hai .
Markup : web page banane ke HTML tags ka use hota hai in tags ke bich me text hota hai or ye text ko kis tareh prabhavit kare usee markup kahte hai . jaise yaha par ye Kaise Kamaye likha hai par me Markup ka use kar ke isse bold kar sakta hu iss tareh Kaise Kamaye
Language : HTML web page banane me use hone vali Language hai oe isske pane code hote hai .
HTML me web page ka pura structure banaya jaya hai , isme HTMLTags ka usekiya jata hai , HTML tags kai sare hote hai jaise heahind H1 , H2 , H3 etc. paragraph tag , table , body , footer tags etc.
HTML Web Page Udahran
<!DOCTYPE html>
<html>
<head>
<title></title>
</head>
<body>
<h1>heading</h1>
<p>paragraph</p>
</body>
</html>>
ye ek simpale HTML page ka udahran hai . Is type se HTML page ka basic rup hota hai .
HTML Ke Versions
- HTML : 1991
- HTML 2.0 : 1995
- HTML 3.2 : 1997
- HTML 4.01 : 1999
- XHTML : 2000
- HTML5 : 2014
HTML Kaise Sikhe
HTML sikhna koi muskil kaam nahi hai agar aap sahi me HTML sikhna chahte hai
HTML Ko Kaise Edit Kare , Kon Sa Editor Use Hota Hai
HTML ko edit karne ke liye aap chahe to simple windows Notepad ka bhi use kar sakte hai or HTML sikhe sakte hai . HTML edit karne ke liye Me kuch editor ka use karta hu jo mujhe kaffi acche lagte hai , pahla hai Sublime Text (https://www.sublimetext.com/) or dusra hai Brackets ( http://brackets.io/ ) in Editor ko bhi aap use kar sakte hai .
Ye kuch website me aapko bata raha hu jaha se maine HTML ko sikha hai . aap bhi yaha se aaram se HTML sikh sakte hai . in websites me bahut hi saral tarike se Exampales ke sath tutorial diye huve hai . Aap Jarur in website par jaye or HTML or web design karne ke Tutorial padh kare HTML Sikhe . niche in website ke name diye gaye hai .
- http://www.w3schools.com
- https://www.tutorialspoint.com
Friends Ab aap HTML ke bare me kafi kuch jaan gaye honge . aapko ye information HTML Kya Hai HTML Kaise Sikhe in Hindi kaisi lagi comment kar ke jarur bataye .
Agar ye jaankari aapko pasand aai ho to apne dosto me share jarur kare or isse sambandhit aapke man me koi savaal ho to comment kar ke jarur puche .
[su_divider]
HTML Kya Hai HTML Kaise Sikhe in Hindi , HTML Kya Hai , HTML Kaise Sikhe , HTML Kya Hota Hai , HTML in Hindi , HTML Kaise Kaam Karta Hai , HTML Kaha Kam Aata Hai
bahut hi badhiya jankari diye hai sir (biharmath.com)
Thanks For Comment ..
Dosre parson ke MO. Se unblock kese kre uska MO. Bina chuye hame ye Janna h or usne pahle wala wtsaap no. Band kr diya h to kese Pata lagaye ki usne dusre no. Se watsaap on kiya h ya chala raha h
bahut achi jankari di aapne (gyanians.in)
Thanks For Comment Yash Chauhan !
Bahut hi achhi Jankari di hai…. (feemegyan.com)
Thanks For Comment Rizwan !!
Great post. Sir
आपने एक complete पोस्ट लिखी है, जो html सिख रहे सभी यूज़र्स के लिए बहुत फायदेमंद है।
Thanks .
कृपया ऐसी जानकारी शेयर करते रहे।
Thanks For Comment Nirmal !!!