Android Mobile Phone me Fingerprint Lock Kaise Lagaye
Android Mobile Phone me Fingerprint Lock Kaise Lagaye in Hindi . Dosto aaj ki post me aap janege ki kaise aap apne android mobile me Fingerprint lock ko laga sakte hai . Agar aapke mobile me fingerprint scanner ya sensor nahi hai to bhi aap badi hi aasani se apne androi mobile me fingerprint lock ko laga sakte hai or use kar sakte hai .
Dosto bahut sare log apne mobile me fingerprint lock ko lagana chahte hai or apne mobile ki security ko badhana chahte hai ya ve fingerprint lock ko use kar ke dekhna chahte hai , kuki password lock ko kai bar koi bhi open kar sakte hai agar usko passsword pata chal jata hai to par fingerprint lock me aapke alava aapke mobile ko kai bhi unlock nahi kar sakta kuki isme aapke fingerprint ki jarurat padti hai .
Hum mobile me fingerprint lock ko badi hi aasani se laga sakte hai , Hum ek mobile App ki madat se kisi bhi android mobile me fingerprint lock laga sakte hai bus usme camera hona chahiye . To chaliye dosto aaj hum jante hai ki android mobile me fingerprint lock kaise lagate hai .
Android Mobile Phone me Fingerprint Lock Kaise Lagaye in Hindi
Sabse pahle aap apne mobile me Google Play store ko open kare or fir google play store me ice unlock likhe kar search kare . Jaise hi aap ice unlock likhe kar search karenge aapke samne ek mobile app ayegi jiska name hoga – ICE Unlock Fingerprint Scanner niche image dekhe .
Is par click kare . click karte hi aap is mobile app ke page par chale jayenge . Is app ko apne mobile me install karne ke liye INSTALL ki button par click kar de .
ICE Unlock Fingerprint Scanner App ko mobile me install karne ke baad open kare . Open hone ke baad aapko ek Create PIN ka popup aayega . yaha par aap Continue ki button par click kare .
Continue ki button par click karte hi aapke samne pin ko create karne ki window aaywgi yaha par aapko jo PIN set karna hai usko daale or fir vapes se daal kar confirm kare . ye pin hum is liye set kar rahe hai taaki agar aap fingerprint se apne mobile ko unlock nahi karna chahte to is PIN ko daal Kar aasani se unlock kar sakte hai .
ya agar hamare hath ki ungli me chot lag jati hai to hum is PIN ka use kar ke aaram se apne phone ko unlock kar sakte hai .
PIN ko set karne ke baad hamare samne NIche di gai image jaisi screen ayegi .
- yaha par tik kar or License ko accept kare .
- Let’s Go par click kar de .
Ab aapki screen par do hath bane huve aayenge LEFT or RIGHT . isme se aap us ungli ko select kare jisko aap fingerprint lock ke liye use karna chahte hai.
jaise hi aap kaise ungli ko selete karenge aapke samne niche di gai image jaisi screen ayegi yaha par aapko apni ungli ko scan karana hai jis ungli ko aapne fingerprint ke liye select kiya tha .
aapke mobile ka camera chalu ho jayega aapko apne camera ke samne apni ungli ko lana hai , jaise hi aap camera ke samne ungli layenge aapko aapki ungli screen par dekhegi . apni ungli ko barabar se ungli jaise nisaan me fit kar ke lana hai or fir vo usko photo le kar sacan karega . aisa aapko 7 bar karna hai .
7 bar scan hone ke baad aapke samne niche di hui image jaisi screen aayegi . agar aapne sahi se ungli ki photo ko scan karvaya hoga to yaha par Match confirmed likha hoga . ab yaha par Use this Fingerprint par click kar de .
To dosto ab aapke mobile me finger print lock activate ho jayega , ab aapke mobile ko unlock karne ke liye aapko apni finger ko camare ke samne lana padega or mobile usko scan karne ke baad agar sahi ungli hai tabhi nlock hoga .
agar Finger ka use kar ke unlock karne me problem aati hai to aap PIN dvara bhi unlock kar sakte hai jo pin hamne pahle set kiya tha us ka use kar ke . To dosto is tareh se hum abdi hi aasani ke sath apne android mobile me Fingerprint lock ko laga sakte hai .
Video Tutorial :
Hindi ke is video tutorial me aap sikhenge ki kisi bhi Android Mobile Phone me Fingerprint Lock Kaise Lagaye in Hindi , Fingerprint lock activate kaise kare ( How to Activate Fingerprint Lock on Any Android Mobile ) .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=0xFK5E_KRNc”]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Android Mobile Phone me Fingerprint Lock Kaise Lagaye, Android Mobile me Fingerprint Lock Kaise Enable Kare , How to Get Finger Print Lock in Any Android in Hindi, How to Activate Fingerprint Lock on Any Android Mobile in Hindi
Sir Lumia 535 me finger print lock kese lagayenge
Is Post ko dubara se padhe ya fir is video ko dekhe : https://www.youtube.com/watch?v=0xFK5E_KRNc
Sir ccit mobile me lock kis tarah lagai
Helpful jankari share ki hai. Jiska bhi mbl me finger lock nai ha woh is app ki madad se finger lock laga sakta hai.
Thanks For Comment MD Badiruddin !!!