YouTube Se Paise Kaise Kamaye Sawal Jawab Episode 01
YouTube Se Paise Kaise Kamaye Sawal Jawab Episode 01 . Friends aaj ki post un logo ke liye bahut jaruri hai jo youtube se Paise Kamana Chahte hai kuki aap ki is post me aapko apke savalo ke javab milne vale hai . Friends bahut sare log YouTube se Paise Kamana chahte hai to unke man me bahut sare saval aate hai or ve uska solustion janna chahte hai .
Friends aaj is post aapko vo sabhi javab milne vale hai . Hamri website kaisekamaye.com me bahut se logo ne niche diye gaye savalo ko pucha hai jinka javab hum isme dene vale hai to ye javab un ke liye bahut hi helpful sabit ho sakte hai jo YouTube se paise kamana chahte hai . To chaliye jyada baat na karte huve aaj ka ye YouTube Se Paise Kaise Kamaye Sawal Jawab Episode 01 suru karte hai .
YouTube Se Paise Kaise Kamaye Sawal Jawab Episode 01
Jo bhi Youtube se Paise kamana chahte hai vo hamari is post ko jarur padhe : YouTube Se Paise Kaise Kamaye
YouTube Account Banane Sambandhi Sawal
pahle hum baat karte hai ki YouTube Account Kaise Banate Hai or fir hum isme un savalo ko bhi dekhenge jo ki bahut sare logo ne puche hai . Ye kuch saval hai jo ki bahut sare logo ne comment kar ke pucha hai .
Sawal : Hi mera naam salmaan ansari hai . Mai bhi paise kamana chahta hun : Salman Ansari
Jawab : YouTube se Paise Kamana chahte hai to aap YouTube se paise kama sakte hai . Iske liye aapko YouTube me channel banana padega or videos bana kar vaha upload karna padega , aapke video par Ads aaye iske liye aapko Monetization ke liye apply karna padega or fir jab google adsense se aapko monetization ke liye approve kar diya jayega to aapke video par Ads aane lagege or aap paise kamane lagege .
YouTube Adsense se Paise lene ke liye aapki age 18 sal se jyada honi chahiye agar nahi hai to aap apne ma – baap , bade bhai ya kisi dusre ka (jo aapka khas ho or bharose ke layak ho) bank account google adsense se attache karna padega , google adsense jis ke name se banayenge ussi ko paise lelenge usi ka bank account usse jodna padta hai . YouTube se Paise Kamana chahte hai To is Post ko jaure padhe : YouTube Se Paise Kaise Kamaye
Sawal : YouTube Par Account Kaise Banate Hai kuch sawal.
- YouTube per account kase banate hai!: azeemrao
- Sir YouTube me channel kaise banate hai. meri help karo sir : Sohan
- Sir mujhe hindi me bataye ki youtube par ac kaise banata hai. puri jankari ke sadh : Ravi Ghauhan
Jawab : YouTube website , Google valo ki hai to YouTube me login karne ke liye aapko google account yani ki Gmail account ki jaurat padegi . YouTube me Sign in hone ke baad aap YouTube channel ko aaram se bana sakte hai . Adhik Jankari ke liye is Post ko padhe : YouTube me Account Kaise Banate Hai .
Sawal : Bhai YouTube account babane me kuch money bhi lagti hai kai: Naveen
Jawab : YouTube Account banane ke liye koi paise nahi lagte hai , YouTube Account Banana ekdam Free Hai .
Sawal : YouTube Par Mobile Smart phone se Account Kaise Banaye
- Kya smartphone se bhi youtube account banaye ja sakta hai agar ha to plz zaroor batayein : Mukesh Panwar
- Hi sir I’m salman saudagar aur me YouTube account banana chahta hu mobile se to kya aap kuch help kro plz , mujhse nhi banta plz : Salman Saudagar
Jawab : YouTube Account ko aap Apne Mobile Phone me bhi aaram se bana sakte hai . iske liye aap apne mobile me google play store se YouTube ki App ko download kar ke install kar le , jyada tar mobile me youtube ki app kahle se hi rahti hai .
YouTube App ko open kare or fir uske apne gmail account se login kare . par agar aap sahi me YouTube se paise kamana chahte hai to aap computer se hi youtube par kaam kare vo jyada accha rahega . par aaj kal kafi log moble se bhi youtube channel chalate hai .
Sawal : YouTube Account Ban Gaya ab aage Kya Kare .
- Sir you tube par account to bna liya ab age kya karna hai : Suraj Singh
- Sir YouTube par account bana liya aur 4 video upload ho gaye hai ab kya kare .. : T Sikander Chanyal
Jawab : YouTube Account banane ke baad aap apne YouTube channel me kuch apne banaye huve videos ko upload kare or fir uske bad aap apne video me monetization ka option on kare or apne youtube account ko google adsense ke apply kare or jode , taaki apke videos par Ads aaye or aap apne video se paise kama sake .
Sawal : YouTube par vidio upload kane ka link : Ramesh
Jawab : Pahle aap apne YouTube Account me Login Kare. Fir is Link Par Jaye : https://www.youtube.com/upload
Sawal : YouTube Se Paise Kaise Milte Hai , Paise Kon Deta Hai
- Paise Kaise milte hai YouTube se : Dharmender
- Sir YouTube pr paise kon or kaise dete hai : Nitesh Bhawariya
Jawab : YouTube google valo ka hai . youtube par video daal kar paise kamaye ja sakte hai . hame google adsense ko join karna padta hai or apne account me enable karna padta hai . is k bare me adhik jaankari k liye aap is post ko padhe , YouTube se paise kaise kamate hai .
Sawal : Adsence account abhi aproval nahi hua hai toh Ads vedio per nahi ayega ? : Ayush
Jawab : Agar aapka Adsense account approve nahi huva hai to aapke video par Ads aap sakte hai par unse kamaye huve paise aapko nahi milenge . To adsense approve karna bahut hi jaruri hai .
Sawal : SIR, YouTube ac ko google adsense ac se kaise jodte hai.? : Dinesh
Jawab : YouTube Account ko google adsense se jodne ke bare me adhik jankari ke liye aap is Post ko Padhe : YouTube Account Ko Google Adsense Se Kaise Jode .
Sawal : Sir mere sbi branch me swift bic code nahi he me kya karu sir please help : Rohit
Jawab : Har bank or branch ka swift code rahta hai . aapke SBI ka bhi swift code hoga bank se pata kar sakte hai .Google par search kare ya fir yaha se pata kare : SWFIT Codes of SBI
agar aapko tab bhi swift code nahi milta hai to aap apne bank jaye or unse baat kare vo aapki jarur madat karenge .
Sawal : YouTube Me Monetization Ka option kaise On Karte Hai , Video par Ad Kaise Ayegi , Ads Kon Lagata Hai
- Sir monetization ka option kaise on karte hi : Amit Soni
- Sir har videos ko monetize krna padhega aur ads hame khud lagne padhege ? : Akash Pal
Jawab : YouTube me monetization ko On karne ka option aapko yaha par dekhega , pahle apne youtube account me login kare fir aap is link par jaye : https://www.youtube.com/features
YouTube Monetization ko On karne ke bare me jyada janne ke liye Is post ko padhe sari jaankari aapko yaha milegi : YouTube me Monetization Kaise On Kare .
YouTube me video ko monetize ka option On karne ke baad , aapko Google adsense se apne YouTube account ko jode , aapko ads nahi dalna hai google is ko dalta hai bus aapko apne video me monetization ka option on karna hai .
Sawal : Sir mein sabhi social sites par apni video ka link share kar sakta hu views jyada karne ke liye. Jaise ki whatsapp,facebook,twiter isme koi problem to nahi ayegi. : Ramesh
Jawab : agar aap apne YouTube video ke link ko Social sites (Facebook, Twitter, Google+ …) ya WhatsApp ya kahi bhi share kare isse koi problem nahi hogi . Bus kisi galat site par link share na kare ( gandi site ya spam related sites par share na kare .)
Sawal : Sir kisi ka video ager apne acc se upload kr diya tooo kya hoga ? isse hmare acc blc me koi problam aati hai kya ? : deep
Jawab : Agar kisi ka video apne account se dalenge to ye sahi nahi hai. Aap pane video hi daale .Kisi or ke video ko dalenge to jiska video hai vo YouTube me sikayat kar sakta hai or isse aapka account bhi band kiya ja sakta.aap kisi or ke vidoe se paise kamate hai to vo paise bhi aapko nahi milenge . YouTube in sab maamlo ko sakhti se leta hai .Aap khud hi shocho aapka banaya video agar koi , bina bataye chori kar ke apne channel par dalega to aapko kaisa lagega . aisa bilkul na kare .
Sawal : Sir mere youtube acount se 2 din ke 26 dollar ho gaya he sir mujhe 2 din ke paise milenge ya nahi : rohit
Jawab : YouTube Video ki kamayi se , aapke Google AdSense account me 100 $ hone chahiye tabhi aap paise le sakte hai.
Sawal : Kya Kisi Video Ya Movie Ko Edit Kar Ke YouTube Par Daal Sakte Hai ?
- Sir, kya kishi movie ko hum edit kar ke use upload kar sakta hai.: Ganpat Sinha
- Sir, jaise ki hum movie name search karte hi us movie ke best dialog , best comedy, alag – alag channel show karta hai to kya him bhi Yesa kar sakte hai .please jawab de . thank you : Ganpat Sinha
Jawab : Agar Copyright video dalenge to ads apke video par nahi aayenge .kai dusre tarike hai jin se aap Copyright video ko apne channel par daal sakte hai , Jaise agar aap koi video ya movie ka review banate hai , or bhi tricks hai jaise video ko full screen na lagana matlab agar aapke video ka size 1024×640 hai to aap usme koi dusre video ko chota kar ke side me play kar diya .. vagera vagera ..lakin aap mairi baat mane to kisi dusre ka video na dale varna use par ads nahi ayenge or aa bhi gaye par jab YouTube ko pata chalega to aapke paise or account dono chale jayenge .Adhik jankari ke liye aap YouTube copyright policy pdhe . Copyright policy
Ye video dekhe .. is type ke reaction video or review video bana sakte hai . original video ko chota kar ke use kiya gaya hai . niche link par click kar ke .video dekhe is type ke video bana sakte hai .
Link par click kare :
Sawal : Mera video agar copyright hua to ye notifocation mere email pe aajayegi. ? : Himanshu Raj
Jawab : kai bar email nahi aata hai . YouTube me hi monetization ka option video pe enable nahi hota hai . Kai bar copyright ka email tab aata hai jab koi dusra youtube user us par Copyright ka clam karta hai .
Friends umid hai ki aapke savalo ke javab aapko mil gaye honge . agar apke man me iske alava koi sawal ho to aap niche comment kar ke jarur puche hum aapki help jarur karenge .
aapko ye jaankari kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye or is post ko apne friends me share jarur kare taki unko bhi is bare me pata chale .
[su_divider]
YouTube Se Paise Kaise Kamaye , YouTube se Paise Kaise Kamate Hai , YouTube Se Paise Kaise Kamaye Sawal Jawab Episode 01 , YouTube Se Paise Kamane Ka Tarika .
Hii… Sir
Mujhe Aap Video Upload Ke Bare Ke Kuch Jaankari De Dijiye..
Sir Video Ko Edit Or Cc Kaise Krna Hai Or Video Ko Comppress Kaise Kro Or Video Ko Sahi Format Me Convert Krne Or Video Me Channel Logo create Ka Bare Me Jankari De Dijiye…Mtlb kii Ek Video Ko Sahi Se Kaise Bnaye In Sb Ke Bare Me Bta dijiye Plzz Sir
video Ko Sahi Se Banane Ke Liye Kaun Kaun se Apps Ki Jaroort Hogi Unki Bistrit Jaankari De Dejiye Sir
mera Email :- Armanrapper—@gmaildotcom
Apki post bahut achchhi hai.
sir yadi hamara bank account nahi hal aur hamari.mother ka bank account hai to kya unka bank account Google adsense account par approve kar sakte hai. air channal hamre nam se bana ho to . Google adsense account kaise banats hai aur kya bina website k Google adsense account nahi banega
blogger ki website ho to usse Google adsense account ban jayega . kya blogger ki website se paise kamaye jate hai .
namskar sir mera blog se related youtube par channel h jis par daily subscription badh rahe h kya me jan sakta hu ki isme hm kitne subscription bnane chahiye jisse viral video ke chance badhe.
abhi bahut kam subscriber hai . thoda intajaar kare . 3000 se 4000 subscriber hone de . intresting video banaye .
sir g m apne subscriber ko kase dekhu ki kis kis n subscribe kiya h mera chanel ko
Computer me youtube.com ko open kare or fir apne YouTube Account me login kare . Apne account me Sign in karne ke baad is like par jaye : https://www.youtube.com/subscribers
Sir kya mai kisi Bollywood video song ko trim or edit kr ke you tube channel PR upload kr sakhta hu….? Eshy video pr copyright aa sakhta hai kya..?
Plzz ans. Me.
Dekho Bollywood video song ko trim or edit kar ke bahut sare log dalte hai . copyright aa jayega … Try kar ke dekh lo .. Upload hote time hi aa jata hai . Aap aisa na kare , apne khud ke video banaye , new ideas aap youtube par hi dusro ke videos ko dekh ke le sakte ho .. bahut log songs Bollywood video daal kar , Monetize karte hai but YouTube ko pata chala ya kisi ne complain kar di to problem ho jayegi .
Hi नमस्कार sir मेरा एक प्रश्न है मै ये जानना चाहता हु की schema SEO क्या होता है और कैसे करते है ,क्या schema SEO के द्वारा अपनी website को google के first page पे कितने दिनों में लाया जा सकता है.sir schema SEO करना चाहिए की नही क्या schema SEO के द्वारा हम किसी website को google के search engine में टॉप पे ला सकते है ? (excellinkfin.com)
ye karna accha hota hai benifit hi milega . but aapki website kon si hai ?