Kachua aur Khargosh Ki Kahani Moral Story in Hindi
Kachua aur Khargosh Ki Kahani Moral Story in Hindi (Rabbit and Tortoise Moral Story in Hindi) Friends aaj hum ek motivational post likhne vale hai kuki aaj kal har kisi ko motivate hone ki jarurat hai, kuch accha sikhne ki jarurat hai . To friends ye hamari website ki sabse pahli motivational story kahe ya moral story vo hai or hum kosis karenge ki bich bich me is tareh ki or bhi motivational post hum aapke liye le ke aate rahe .
Aaj ki post me hum Kachua aur Khargosh Ki Kahani ke bare me janege . Vaise to ye kahani lagbhag har kisi ne suni hogi , Par maire hisaab se is kahani ko pura nahi suna hoga kuki is kahani me aage bhi kafi kuch hota hai jo jyadatar logo ko nahi pata hai or aap yakin maniye ki aapko isse bahut kuch sikhne ko milega . To chaliye is kahani ko start karte hai Kachua aur Khargosh Ki Moral Story in Hindi
Kachua aur Khargosh Ki Kahani Moral Story in Hindi
Ek jangal me ek ghamandi khargosh rahta tha , Jo apni tej chal par bahut etraata tha Or har kisi ko race (doud) karne ke liye kahta rahta tha . Usne bahut se janvaro ke saath race kari or sab me vo jeet chuka tha , isse uska ghamand or jyada badha gaya tha . Jangal me jo milta sabko race ke liye kahta rahta, baaki janver bhi uski tej chaal ka loha manne lage .
Dhire dhire usko ghamande kuch jyada bhi badh gaya ek bar ki baat hai jangel me sabhi janver ek sabha me baithe the or kuch baate chal rahi thi tabhi achanak khargosh aaya pr sabhi janvaro ko race ke liye chunoti dene laga , kahne laga ki pure jangal me mujhse tej koi ni bahgta . jangal ka sabse tej janver me hi hu , ager kisi me himmat hai to mujhse race kar kare .
Jangal ke sabhi janvar chup ho gaye , sannata sa cha gaya thabhi piche se ek kachuve ki aavaj aayi ki me tumse race karunga . Jaise hi usne ye kaha sabhi janver hasne lage or kahne lage tume is khargos ko kaise hara paoge tume to bahut dhir dhir chalte ho isse race kaise jitoge . Par Kachuve ne kaha me race jit ke dikhaunga or usne khargosh ka challenge accept kar liya .
Ab kya dono algle din race ke liye ekathhe huve , dono me race start hui khargosh teji se bhaga or kachuve ko piche chodta huva bahut aage nikal gaya . Fir ussne piche mud ke dekha to usse kachuva kahi dikhai nahi diya usne socha kachuva to bahut hi dhire dhire chalta hia usko yaha tak aane me kaafi time lag jayega ku na thodi der aaram kar lu . khargosh ek pand ke niche so gaya , fir thode time ke baad uski need khuli usne dekha ki abhi bhi kachuva usko dikhai nahi de raha hai .
Usne socha chalo ab me finish line ki taref chalta hu , Par jaise hi usne finish line ki taref dekha uske pairo te niche se jamin hi khisak gai kuki kachuva finish line me pahuchne hi vala tha . vo teji se bhaga lekin vaha tak pahuchna namumkin tha kuki bahut der ho chuki thi or kachua race jit chuka tha .
Moral of the Story : (Slow and Steady wins the race .) Dhire Dhire Mager lagatar chalne vala race jintta hai .
Itni kahani to aap sab ne bhi suni hogi par kya aapko iske aage ki story pata hai ? sayad nahi to chaliye me aapko batata hu ki iske aage kya huva . Jaisa ki hum uper story me khargosh haar gaya par is haar ke baad usne kafi socha ki uski is haar ka karan kya hai . Usne paya ki uski haar uske overconfidence or lapervahi ke karan hui hai varna kachuva usko kaise hara sakta hai .
Apni haar se sikh lene ke baad vo vapes kachuve ke aap gaya or usse vapes se race ke liye bola . kachuve ne race ke liye ha kar di fir kya agle din vapes dono race ke maidan me pahuch , race start hui or is baar khargosh bina ruke finish line tak bhagta raha or kachuve ko bade anter se hara diya .
Moral of the Story : (Fast and Consistent will always beat the slow and steady) Tej or lagatar chalne vala dhire or lagataar chalne vaale ko hara deta hai .
Lakin abhi story baaki hai friend ! iske bad kachuve ne kaafi socha ki vo ku hara or usne soncha ki jis tareh se race ho ri hai us tareh se to vo kabhi bhi nahi jeet payega. To usne kuch socha or fir khargosh ke pass gaya or usse vapes se race karne ko bola , Khargosh apni jeet se kaafi utsahit tha usne turant haa kar diya .
Agale din dono fir race ke maidaan me pahuche lakij race start hone se pahle kachue ne kaha ki race is jageh nahi jaha vo kahega us raste par hogi , Khargs ne bola thik hai , mujhe to jitna hi hai . Ab new raste par race start hui khargosh teji se bhaga or kachuve ko piche chodta huva aage nikal gaya , par aage ja kar usne dekha ki vaha par kafi badi nadi hai jisko par karna use bus ki baat nhi hai , vo vahi bith gaya . Todi der ke baad kachuva dhire dhire vaha aaya , nadi ko par kiya or fir finishing line tak pahuch gaya or race jeet gaya .
Moral of the Story : (first identify your core competency and then change the playing field to suit your core competency) apni takat or samarth ko pahchane or ussi hisab se apne karychatr ko chune aap jarur successful honge .
Iske baad dono ache friend ban gaye , Dono ek dusre ki kamiyo or khubiyo ko aachi tareh se jaan chuke the . Dono ne ek baar fir se race karne ki thaani , lakin ek baar ek dusre ko harane ke liye nahi balki ek dusre ki madat karne ke liye .
Dono race ke maidan me pahuche or fir race start hui , khargosh ne kachuve ko apni pith par bithaya or teji se bhaga or jab nadi aayi to kachuve ne khargosh ko apni pith par bitha ke nadi paar karvai . Is tareh se dono ne ek team ke rup me kaam kiya, ek dure ki madat ki or race ko puri ki .
Moral of the Story : TeamWork is mainly about situational leadership, letting the person with the relevant core competency for a situation take leadership . )
To Friends aapko ye story Kachua aur Khargosh Ki Kahani Moral Story in Hindi kaisi lagi comment kar ke jarur bataye . Agar aapke pass is tareh ki koi achhi story ya motivastional story hai or aap chahte hai ki vo story aap logo se share kare to aap hamse contact kare aapki story aapke name ke sath yaha par post kar di jayegi .
Agar aapko ye story pasand aayi ho to is apne friends or family me share karna na bhule . is tareh ki or update pane ke liye aap hamare Facebook page se jud sakte hai . Isi tareh aap hume apna sahyoog dete rahe , Thanks .
[su_divider]
Kachua aur Khargosh Ki Kahani Moral Story in Hindi , Rabbit and Tortoise Moral Story in Hindi , Kachua aur Khargosh Ki Kahani , Hindi Story , Moral Story in Hindi , Motivational Story in Hindi , Hindi Kahani