Twitter Account Delete Or Deactivate Kaise Kare in Hindi
Twitter Account Delete Or Deactivate Kaise Kare in Hindi , Friends aap sab ke Facebbok or Twitter par account account honge , par maine jyada ter logo ko dekha hai jo twitter account to bana lete hai par uska use jyada nahi karte . or Twitter account ke hone ke karan unke email par ya phone me notification aate rahte hai . jinse aap paresaan ho kar aap Twitter account ko delete karna chahte ho .
Par aapke twitter account ko delete karne ka karan alag bhi ho sakta hai ho sakta hia. Hosakta hai aapne mutiple twitter account bana liye ho or aap fir kisi apne Twitter account ko use na karte ho . Friends kaaran koi bhi ho aaiye aaj hum jante hai ki kaise hum apne twitter account ko deactivate karte hai or delete kaise karte hai .
Twitter Account Delete Or Deactivate Kaise Kare in Hindi
Twitter account ko delete karne ke liye sabse pahle ap twitter.com par jaye . Uske baad aap twitter account me Sing in kariye .
Twitter me Sign in karne ke baad hame apne account ko delete ya deactivate karne ke liye , Twitter ke account ki settings me jana padega . Twitter ki account settings me jane ke liye niche image dekhe.
- Sabse pahle aap apni profile pic par click kare .
- Profile pic par click karne ke baad aapke samne jo option aaye usme se aap Settings and privacy par click kare . uper image me point 2 dekhe .
Jaise hi aap Settings and privacy par click karenge vaise hi aap apne twitter account ke page me chale jayenge . Yaha par aap niche ki taref scroll kare or aapko page ke niche likha huva dekhai dega Deactivate my account . Twitter account ko delete or deactvate karne ke liye aap Deactivate my account par click kar de .
Deactivate my account par click karte hi aap ek new page par chale jayenge . yaha par aapko twitter kuch point ko batayega ki agar aap twitter account deactivate karte hai to kya kya hoga .
- Ye Bhi Jane : Gmail Par Galati Se Send Email Ko Vapes Kaise Kare
- Google Play Store Ke Secret Tips and Tricks in Hindi
To jo isme sabse 1st line hai vo ye ki agar aap apna account deactivate karte hai or fir 30 days ke ander ander vapes se apne deactivate huve account ko Sign in kar ke re-activate nahi karte hai nahi to Twitter account hamesha ke liye delete ho jayega .
To ab aap twitter account ko deactivate karne ka liye Deactivate @KaiseKamaye ki button par click kar de . uper image me dekhe .
Deactivate @username button par click karenge vaise hi twitter par ek popup aayega jis me aapse aapke account ka password pucha jayega . To dubara se apna password dale or Fie Deactivate account par click kar de . Niche image me dekhe .
Deactivate account ki button par click karte hi aapka twitter acount Deactivate ho jayega or 30 days ke ander aapne twitter account me log in kar ke re-activate nahi kiya to aapka Twitter Account hamesha ke liye delete kar diya jayega . To friends is tarah se aap apne Twitter account ko delete kar sakte hai .
Apko hamari ye post Twitter Account Delete Or Deactivate Kaise Kare in Hindi kaisi lagi hame comment kar ke jarur jarur bataye . Agar aapko information pasand aayi ho to isko social media me apne friends or family ke sath share jarur kare . Thanks .
Ye Bhi Jane :-
- Facebook Page Me Auto Reply Message Kaise Set Kare in Hindi
- Twitter Me Kisi Ko Block Kaise Kare in Hindi
- Apne Name Ki Ringtone Kaise Banaye
[su_divider]
Twitter Account Delete Or Deactivate Kaise Kare in Hindi, Twitter Account Delete Kaise Kare, Twitter Account Deactivate Kaise Kare, Twitter Account Delete Kaise Karte Hai, How To Delete Twitter Account in Hindi
kaam ki jaankari share ki hai aapne.
Thanks For Comment !