Google Chrome Browser Me Default Download Folder Kaise Change Kare
Hello Friends ! aaj hum Google Chrome Browser Me Default Download Folder Kaise Change Kare ye sikhenge . Friends aapko me bata du ki google chrome maira ek pasandida browser hai or ho sakta hai ki ye aapka bi ho kuki google chrome me hum kaafi sari settings ko customize kar sakte hai , Usme se Google Chrome Me Download Location ko change karne vali setting ke bare me hum aaj janne vale hai . Badi hi kaam ki information hai , Umid hai aapko acchi lagegi .
Google chrome me jab bhi hum koi file vagerh ko download karte hai to vo aapke computer me by default Download folder me save hota hai , kuki yahi hamare browser dvara set rahta hai . Par agar aap kisi file ko kisi dusri jageh, jaise apne desktop ya kisi dusri location par download karna chahte hai to aap google chrome ki settings ka use kar ke badi hi aasani ke sath kar sakte hai . kahne ka matlab aap bade aaram se Download folder ki location ko kahi par bhi set kar sakte hai , Taki aap kuch bhi download kare vo by defualt folder me na ja ke aapke dvara set kiye huve folder (Location) me Save ho . To chaliye hum jante hai ki Google Chrome Browser Me Default Download Folder Kaise Change Kare (How To Change Google Chrome Download Location in Hindi)
Google Chrome Browser Me Default Download Folder Kaise Change Kare
Sabse pahle aap Google Chrome browser ko open kare fir browser ke top right side me aapko tin dot dikhai denge , Tin dot par click kare . (Niche image dekhe )
Jaise hi aap Tin dot par click karenge aapke samne ek drop down menu jaisa open hoga isme aap Settings par click kare . (Niche image dekhe ke samjhe)
Jaise hi aap Settings ke options par click karenge aapke samne google chrome ka settings ka page open ho jayega ( chrome setting page link – chrome://settings/ ), Friends aapko yaha par page ko scroll kar ke sabse niche jana hai . Fir page ke niche aapko Advanced likha huva dekhai dega us par click kare (Niche image dekhe)
Advanced par click karte hi aapke samne google chrome ki advanced settings show hone lagegi yaha par aapko page ko niche ki taref scroll kare or Downloads section me jakar Location ke samne aapko CHANGE likha huva dikhai dega , CHANGE par click kare . (Niche image dekhe)
Jaise hi aap CHANGE par click karenge aapke samne ek popup aayega , Yaha par aap apni new download location ko select karna hai or fir OK ki button kar click karna hai .
- New download location ko select kare .
- Download location ko set karne ke baad OK ki button par click kar de (uper image me point 2 dekhe)
OK ki button par click karte hi aapke google chrome ke download folder ki new location set ho jayegi . Is tersh se aap Google Chrome Browser Me Default Download Folder ki Location ko change kar sakte hai .
Ye Bhi Jane :
- Google Search History Kaise Delete Kare
- Google Play Store Ke Secret Tips and Tricks in Hindi
- YouTube se Paise kaise kamaye
Friends Umeed hai ki ab aap aasani se Google Chrome Me Download Location ko change kar payenge . Google chrome ye jankari aapko kaisi lagi comment kar ke jarur bataye or is information ko apne dosto me share karna na bhule. Agar aapko koi problem aa rahi hai to aap niche comment kar ke puche ham aapki help jarur karenge .
badiya information hai.
Thanks For Comment Gaurav !!