Facebook Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi
Facebook Friend Ko Block Kaise Kare . Hello dosto, umid hai aap thik hi honge. Aaj sikhenge ki Facebook Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi (How to Block Someone on Facebook in Hindi) . Dosto hum sab Facebook ko use karte hai or usme apni image , video or thoughts ko friends ke sath share karte hai or apne dosto se jude rahta hai .Kuch log Facebook ka use apne business ko promote karne ke liye karte facebook page ya grop bana kar kahne ka yahi matlab hai ki Facebook ka use sab acche or kaam ki chijo me karte hai.
Par Facebook par kuch asise log bhi hai jo Facebook ka use karke kisi ko paresan ya galat use karte hai . hume in logo se savdhaan rahna chahiye . Kai baar aisa hota hai ki kuch log Facebook par aapko comment karke ya , bar bar teg karke , aapki Facebook wall par kuch post karke, aapko messages karke parsaan karte hai or aisa ladkiyo ke sath jyda tar hota hai .
To Agar aapko koi Facebook par paresaan kar raha ho to aap aasani se usko Block kar sakte hai or asani se baad me usko Unblock bhi kar sakte hai . To chaliye dekhte hai ki Facebook Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi
Ye Bhi Padhe :
- Facebook Friend List Kaise Chupaye
- Facebook Video Kaise Download Kare
- Online Free Game khele Time Pass Kare
Facebook Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi
Facebook par kisi ko block karne se pahle hum ye jaan lete hai ki . Agar hum kisi ko Facebook par Block karte hai to kya hota.
Facebook Par Kisi ko Block Karne par Kya Hota
- Hame Friend request nahi bhej sakta . Ager vah hamara pahle se friend hai to vo Unfriend ho jata hai .
- Hamari Facebook Profile ko nahi dekh sakta hai
- Hamari Time line nahi dekh sakta
- Hame Tag nahi kar sakta hai
- Hamse Chat nahi kar sakta hai
- Hame Kisi Event ya Group me invitation nahi bhaj sakta hai
aapne upar jana ki kisi ko ham block karte hai to kya hota hai . Jis Facebook Account ko aap Block karenge vah aapke account ko Facebook par nahi dek payega na hi search kar payega hum uske liye Facebook se gayab ho jayenge.
Facebook Account ko Block Kaise Kare ( Facebook ID Block Karne ka Tarika) :
FB Account ko Block Karene ke me aapko tin karike batane vala hu . ye sabhi bahut hi aasan he .
- Jisko Block karna hai Uski Facebook Profile ko Open kar ke
- Privacy Setting ke menu se Kisi ko Facebook par Block karna
- Apne Account ki Setting se kisi ko Facebook Par block Kaise Kare
Jisko Block karna hai Uski Facebook Profile ko Open kar ke Block Kaise Kare :
Step 01:
Sabse pahle ap Facebook profile me Login kare or Jisko Block karna hai uski profile open kare
Step 02:
Jisko block karna hai uski Facebook Profile ko open karne ke baad . aapko vaha par 3 dots par click karna hai or fir jo option aaayenge unme se Block ke Option par click karna hai . niche image ko dekhe .
Step 03:
Jaise hi aap Block ki button par click karenge vaise hi aapke samne ke Confirm Block ka pop up aayega . Yaha par Confirm ki Button par click kar de . niche Image dekhe.
To dosto is tareh se aap kisi ko bhi Uske Facebook profile page se Block kar sakte hai .
Ye Bhi Jane :
Privacy Setting ke menu se Kisi ko Facebook par Block Kaise Kare :
Step 01:
Sabse pahle aap Facebook Account me login kare or Fir Jab aap Facebook Account me login ho jayenge to aapko Home Screen par Facebook me Right side me uper ek icon hoga jis par lock (tala) bana huva hoga us icon par click kare.
Step 02:
ab aapke samne Privacy Setting ke menu open hoga . yaha par aapko How do I stop Someone from bothering me ? likha huva dikhai dega is par click kar de .
Step 03:
Jaise hi aap How do I stop Someone from bothering me ? par click karenge aapke samne ek box open ho jayege . Is box me aapko uska name dalna hai jisko aap Block karne cahte hai .
Name dalne ke baad aap Block ki button par click kar de .
Step 04:
Ab aapke samne ek popup aayega . jisme aapko uske name ke samne ki Block ki button par click karne hai jisko aap block karne chahte hai .
Step 05:
Fir aapke samne ek popup aayega jisme Facebook confirm karega ki aap isko blobk karne chhte hai . User ko block krne ke kiye Block ki button par click kar de .
Ab Vo Blobk ho chuka hai To ab aap jaan hi gaye hai ki Privacy Setting ke menu se Kisi ko Facebook par Block Kaise Karte hai .
Apne Account ki Setting se kisi ko Facebook Par block Kaise Kare :
Step 01:
Sbse pahle aap apne Facebook account me login kare fir . Facebook ke right side me jaha par Down Arrow bana hai us arrow par click kare or fir setting par click kare . niche image ko dekhe .
Step 02:
Facebook ki Setting ka page open hote hi aap Left side me jaha par Blocking likha hai vaha click kare
Step 03:
Ab aapke samne Manage Blocking ki setting ka page open ho jayega . yaha se aap kisi ko bhi block kar sakte hai
dosto ab aap jan hi gaye honge ki Apne Account ki Setting se kisi ko Facebook Par Kaise block karte hai .
Ye Bhi Padhe :
- Computer Par WhatsApp Kaise Chalaye
- Google Gmail ka Password Kaise Change Kare
- Facebook Profile Photo Kaise Badlte Hai
Android mobile se Facebook Par Kisi Ko Block Kaise Kare :
Step 01:
android mobile se Facebook par kisi ko block karne ke liye aapko phale jisko block karna hai uski Facebook profile ko open kare .
Step 02:
Jisko Block karna hai uski profile open hone ke baad , Right side me aapko 3 dots dikhenge, vaha par click kare . niche image dekhe.
Step 03:
3 dots par click karte hi aapke samne kai sare option aayenge , vaha par Block par click kare . niche image dekhe .
Block par click karne ke baad aapke samne confirm karne ke liye ek pop aayega vaha par vapes se Blovk par Click kar de.
Facebook Par Kisi ko Unblock kaise kare :
Step 01:
Facebook par kisi ko Unblock karne ke liye Facebook ke menu ke right side me Down arrow ke Icon par click kare Fir Settings par click kare . niche image Dekhe.
Step 02:
Fir Left side me Blocking par click kare .Yaha par Block Users ki list aapko dekhegi . Jisko Unblock karna ho uske name ke samne ke Unblock par click kar de. niche image dekhe .
Facebook Video Tutorial in Hindi : Facebook Par Kaise ko Block or Unblock Kaise Kare in Hindi
Is Video me aap janege ki kis tarah se hum Facebook par kisi ko Block or Unblock kar sakte hai . Friends agar aap YouTUbe par is tareh ke or Hindi Video dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
Video credit : www.hindimai.com
Agar aapko is tareh ke or hindi video dekhne hai To YouTube par Subscribe karne ke liye yaha Click kare : Subscribe
https://www.youtube.com/watch?v=TUR4sWqynUw
ager aap yaha par apna video chahte hai to contact us.
Ye Jarur Padhe :
[su_divider top=”no”]
Facebook Par Kisi Ko Block or Unblock Kaise Kare , How To Block or Unblock Someone On Facebook in Hindi , Block People on Facebook
bahot hi badhiya jankari he aap ki or bhi achi jankari aap dete rahe hume me aapko ak bat bata na chahuga aaj se 12 sal pahle hum blank message bhej sakta the koy bhi number par or humra number nhi hota tha vo site ab band hogay he aap hume bin mobile number message send karne vala koy trick ya site ki jankari de
ji jarur bataynge ..
Hey Nikhil,
Facebook Par Kisi Ko Block Karne Ke Bare Me Apne Kafi Detail Se Samjaya Hai, Block aur Unblock Karna ek Saral Sa Process Hai. Muje Bhi Aapki Tarah Logo Ki Help Karna Acha lagta Hai Isliye Main Bhi Aapke Jaisa Blog LogicalDost Hindi Run Karta Hu .Thanks
Thanks For Comment Pradeep Singh ! Apne blog par acche content dale jisse sabki help ho , kisi bhi website se copy na kare .