WhatsApp Chat Ka Background Wallpaper Kaise Change Kare in Hindi
Aaj hum janege WhatsApp Chat Ka Background Wallpaper Kaise Change Kare in Hindi , Friends aaj kal har koi wahtsapp ko use karta hai or apne friends or family se connect rahta hai . Hamse bahut sare logo ne comment kar ke pucha hai ki Whatsapp me Background wallpaper kaise change karte hai , kaafi log isko janna chate hai kuki har koi whatsapp ko apne dhag se use karna chata hai jaise background wallpaper change karna chahte hai , whatsapp ko customize karna chate hai .
Aaj hum Wahtsapp ke isi feature ke bare me janege , jisme aap aasani se Whatsapp chat ka bachground change kar sakte hai , Jab hum kisi se whatsapp me chat karte hai uske piche ka jo background hota hai vaha par hum apni man pasand photo ko laga sakte hai . To chaliye bina samay gavaye sikhte hai ki whatsapp wallpaper ko kaise change karte hai .
WhatsApp Chat Ka Background Wallpaper Kaise Change Kare in Hindi
Whatsapp ke default background ko change kar ke apna background photo lagane ke liye niche diye gaye simple and easy steps ko follow kare . Umid hai ki aap aasani se apne whatsapp chat ka background change kar payenge .
Step 01 : WhatsApp me Background wallpaper change karne ke liye sabse pahle aap whatsapp ko open kare , Uske baad aapko whatsapp me screen ke right side me top pe Tin dot dikhai denge un par click kare . Niche image me dekhe .
Step 02 : Jaise hi aap Tin dot par click karenge aapke samne ek menu open hoga yaha par aap Settings par click kare , kuki hame whatsapp ki setting me jana hai . Jyada jankari ke liye niche image dekhe .
Step 03 : Jaise hi aap Settings par click karenge , Aap whatsapp settings me chale jayenge . Yaha par aapko Chats likha huva dikhega us par click kare . niche image dekhe .
Step 04 : Chats par click karte hi aapke samne chats settings open ho jayengi . Yaha par aapko Wallpaper likha huva milega , Wallpaper par click kar de . niche image me dekhe .
Step 05 : Wallpaper par click karne ke baad aapke samne ek popup aayega , yaha par aapko kai sare option diye gaye honge wallpaper ko set karne ke . niche image me dekhe .
- Gallery : Yaha par click kar ke aap apne phone ki gallery se wallpaper pe set karne ke liye photo ko select kar sakte hai . uper image me point 1 dekhe .
- Solid Color : Agar aapko wallpaper pe solid color lagana hai to aap Solid Color par click kare , uper image me point 2 dekhe .
- Wallpaper Library : yaha par click kar ke aap Whatsapp wallpaper library se photo select kar sakte hai , Par agar aap aphli baar iska use karenge to ye aapko Whatsapp Wallpaper package ko download karne ke liye bolega , Aap Ok par click kar ke Whatsapp wallpaper ko dwonload kar sakte hai .
- Default : Agar aapne kabhi wallpaper pe koi photo set kiya ho or ab aap chahte hai ki ye pahle jaisa yani ki by default jaisa whatsapp me hota hai vaisa ho jaye to aap yaha par click kar de . Uper image me point 4 dekhe .
- No Wallpaper : Agar aap yaha par click karenge to whatsapp chat ka background wallpaper hat jayega , koi wallpaper nahi rahega simple white background ho jayega . Uper image me point 5 dekhe .
Maine uper aapko sare option ko bata diya hai aap apni margi ke hisab se koi bhi option select kar sakte hai . But me yaha par Gallery par click karunga kuki mujhe apne phone ki gallery se photo ko wallpaper pe set karna hai .
- Ye Bhi Jane : Computer Par WhatsApp Kaise Chalaye in Hindi
- Apne Name Ki Ringtone Kaise Banaye Or Download Kaise Kare
Step 06 : Gallery par click karte hi aapke samne aapke phone ki gallary open ho jayegi ab aap yaha se whatsapp wallpaper pe lagane ke liye apni man pasand photo ko select kare . Select karne ke liye aap photo par click kare .
Step 07 : Jaise hi aap kisi image ko select karenge aapke samne Wallpaper Preview open hoga , yaha par hame apni image ko set karna hai , set karne se matlab ye ki aap yaha par apni image ko drag kar ke adjust kar sakte hai , Zoom kar sakte hai . To aap apni image ko wallpaper par jaisa lagana chahte hai vaise adjust kar lijiye , Adjust karne ke baad aap SET par click kar dijiye . Niche image me dekhe .
SET par click karte hi aapki image whatsapp chat ke background wallpaper par set ho jayegi . To Friends is tereh se in simple steps ko follow kar ke hum badi aasani se Whatsapp Me Background Wallpaper Laga sakte hai .
Ye bhi jane :
- Whatsapp Par Location Share Kaise Kare in Hindi
- Whatsapp Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi
- WhatsApp Ko Password Lock Kaise Lagaye in Hindi
Aapko isse judi kuch important bate pata honi chahiye jaise :- Agar Aap Whatsapp ke chat me koi wallpaper lagate hai to vo fir aapko hi show hoga , kahne ka matlab jiske sath aap chat kar rahe hai usko vo wallpaper show nahi hota hai . Or dusri baat ye hai ki aap whatsapp me har chat ke liye alag alag wallpaper nahi laga sakte , Ho sakta hai future me aisi settings aa jaye par abhi aisa nahi hota hai .
Friends aapko hamari ye information WhatsApp Chat Ka Background Wallpaper Kaise Change Kare in Hindi kaisi lagi comment kar ke jarur bataye or agar is whatsapp tips se aapki help hui ho to aap is post ko apne friends ke sath jarur share kare taaki unko bhi iske bare me pata chale or unki bhi help ho . Agar kuch puchna chate ha to aap niche comment kar ke puche .