Google Play Store Me Fake Apps Ka Pata Kaise Lagaye
Aaj hum Google Play Store Me Fake App Ka Pata Kaise Lagaye iske bare me janege . Friends jab bhi koi android mobile app ko download karna chata hai to vo google play store me hi jate hai kuki google play store me laakho android aap hai , or aap sab bhi yahi se android apps ko install karte honge . Par dosto jaisa ki maine aapko bataya ki sab google play store ka hi jyada use karte hai to is baat ka fayda fake app banane vale bhi uthate hai or google play store me fake apps ko daal kar aapke personal data ko chura lete hai . Or kai baar to in app ka use karne se aapke phone me Apps malware or virus bhi aa jate hai .
Jyada ter fake apps , google play store me popular apps se milte julte banaye jate hai same name or icon ke sath jisse fake apps ko pahchanna muskil ho or log galti se is type ki apps ko apne mobile me install kar le or fir fake app banane vale iska fayda utha sake . Ab aapke man me saval aayega ki Google Play Store Me Fake App Ka Pata Kaise Lagaye ? ya Fake App Identify Kaise Kare ? Koi baat ni friends aaj me aapko yahi batane vala hu ki aap kaise google play store me fake app ko Identify kar sakte hai .
Google Play Store Me Fake App Ka Pata Kaise Lagaye
Google play store se kisi app ko install karne se pahle agar aap kuch bato ka dyaan rakhenge to aap fake app se bach sakte hai . Niche bataye gaye point par agar aap dyaan denge or insko chack karenge to aap fake or misleading apps se bach sakte hai .
- Check App Name
- Check App Publisher / Developer
- Check App description and Screenshots
- Check App Reviews and Rating
- Check Download Count
- Check App permissions Details
Chaliye is sab topic ko sahi se samjhte hai or jante hai ki inki help se aap kaise fake or bekar apps ka pata laga sakte hai (Identify Fake Android Apps). Is post ko dyan se padhte rahiye bhut kaam ki hai .
- Ye Bhi Jane : Google Play Store Ke Secret Tips and Tricks in Hindi
Check App Name
Agar aap Google Play store se koi bhi new app install karna chah rahe hai to us app ke name par vises dyaan de kuki kai bar fake apps me name popular apps se milte julte rahe ke unko google play store me daal diya data hai . Jaise ek simple example deta hu apne kai baar dekha hoga ki aap kahi simple market me jaaye to kapde me Adibas ( एडिबास ) likha hota hai , jo ki real company Adidas (एडिडास) ki duplicate hai , par jaldibaaji me agar dekhe to unki spelling same hi lagti hai . Usi tareh google play store me bhi fake app banne vale, jo popular apps hai un se milte julte name rakhte hai , Bas thodi si spelling alag kar dete hai .
Google Play store me jab bhi aap koi new app ko dekhte hai hai to uske name ke matlab or App ke purpose ko thoda samjhne ki kosis kare . Jaise ek google play store me App thi jiska name tha “Update WhatsApp Messenger” or is app ka logo bhi Whatsapp app jaisa same kar rakha tha , Ab aap iska name padhenge to ye app sahi lagega , Par agar aap thoda sonchenge or iska matlab janege to samjh me aayega ki kisi App ko update karne ke liye App ki kya jarurat hai . Par bahut se log bas App ka logo dekhte hai or usko download kar ke install kar lete hai or in fake apps ke chaker me fas jate hai . Is liye aap hamesha jis bhi app ko apne mobile me install karna chahte hai to uske name par dyaand or uske name se app ke purpose jo jane ki ye jaruri App hai ya faltu ki Fake App hai . Niche image me aap simple example dekh sakte hai ki agar aap kuch search karte hai to ek jaisi kitni apps search me aa jatih hai .
Check App Publisher or Developer
Google play store me jo mobile Apps ko publish karta hai usko App Publisher / Developer kahte hai . Jab bhi aap google play store me koi bhi mobile app ko download karna chahe to aap us App ke publisher par jarur dyaan de ki us App ka publisher kon hai . Kuki Google play store me jab bhi koi app popular ho jati hai to dusre developers usi milte julste name se Fake apps bana dete hai , same icon tak rakh dete hai , jisse koi bhi confuse ho jata hai is liye aap hamesa App publisher ki details ko jarur dekhe or unke name par click kar ke aap ye bhi dekh sakte hai ki us developer ne or apps bana rakhi hai ki nahi or Apps ke name kis type ke hai, unki ratting , reviews kis type ke hai .
Agar aap same name or same icon se confuse ho ke Fake app or real app me difference nahi kar pa re to, App ke publisher ko aap google pe search bhi kar sakte hai ki App ke name se website hai ki ni ya developer ke name se website hai ki nahi , agar aapko koi information nahi milti hai , ya ajib se name ya atpati si information milti hai to ho sakta hai ki vo app fake App ho .
Check App’s Description and Screenshot
Google Play Store me Kai baar App ka name or icon ye sab baaki dusri apps jaisa hi lagta hai or sab sahi lagta hai . Par kisi bhi app ko apne mobile me install karne se pahle aap us mobile app me description ko jarur padhe jo publisher dalta hai or mobile app ke jo screenshot diye hote hai unko jarur dekhe . Mobile ke Description ko padhne ke liye aap Read More par click kare or Attracted Screenshots par click kar ke dekhe . Niche image me dekhe or samjhe .
Jo Mobile apps sahi hoti hai vo apne app ke description me app ke bare me sahi se batate hai or app ke sabhi feature ko sahi se samjhate hai . Screenshot ki baat kare to jo sahi app hoti hai unke screenshot high quality me hote hai or screenshot se aapko app ka look or UI (user interface) sab ache se bataya gaya hota hai . Agar aapko koi aisi application milti hai , jiska description me sahi se information nahi hai ya screenshot ajib se hai to ho sakta hai vo application fake ho ya sahi na ho .
Check App Reviews and Rating
Google play store me apgar aapko koi app pasand aati hai , or aap usko apne mobile me install karna chahte hai to aap uske reviews ko jarur dekhe , Kuki google play store ko bahut sare users use karte hai or ho sakta hai ki aap jis app ko download karna chate hai usko pahle se hi bahut sare logo ne use kiya ho or use karne ke baad apne reviews or rating diye ho , is liye app install karne se pahle Reviews section me jaakar reviews or rating check kare .
Agar koi app sahi nahi hoti hai ya jo app sahi se kaam ni karti , Fake App hai to log unke bare me comment kar ke reviews ko share karte hai or apne experience ko batate hai . Aap in reviews ko padhe isse bhi aapko us app ke bare me pata chal jayega . Par aaj kal kuch app developer apni app ke bare me acche Fake reviews kara dete hai , is liye aap jo negative reviews ho unko bhi padhe , ki log is app ke bare me kya kah re hai . App ke reviews padhne se aapko fake app or bakar app ko pahchnne me jarur help milegi , is liye aap hamesha kisi bhi app ko install karne se pahle app reviews padh le .
Check Download Count
Google play store me jab bhi aap kisi popular app ko dekhte hai to unke download count kaafi jyada rahte hai . jyada download count se ye pata chate hai ki app popular hai or log App me bharosa karte hai or use karte hai . Jo Fake Apps hoti hai vo jyada tak new hoti hai or unke download count bhi kaafi kam rahte hai . Is liye aap jab bhi kisi app ke download count kam pate hai to us app k reviews dekhe or jyada starak rahe . Kisi app ke download count dekhne ke liye aap Read more par click kar ke sabse niche dekhe sakte hai . niche image me dekhe .
Check App Permissions Requested
Maine bhut sare logo ko dekha hai jo google play store me jate hai or kisi bhi app ko install karte hai or fir us app ko koi bhi permissions chahiye hoti hai , bas vo accept accept or accept hi karte jate hai , bina dekhe ki hum is app ko apni kon si personal details ko dekhne ki permission de rahe hai . Fake apps ko iska fayda mil jata hai vo aapki sari details ko chori kar lete hai or advertising me use karte hai.
Jab bhi aap google play store me kisi app ko install karne ki sonche to us app ki required permission ko jarur dekhe kuki jyada tar fake apps ka bas yahi target rahte hai ki vo aapki personal details ko kaise chura paye , jaise agar aap koi music vali app ko download kar re hai or us app ki required permission camera hai ya aapke contacts details hai to aap khud hi sonche ki music aap ko aapke contact details se kya matlab ya camera , media details se . Is liye aap kisi bhi app ko install karne se pahle aap app permissions details ko jarur check kar le.
Google Play Store Me Fake App mile To Kya Kare ?
Friends ab saval ye hai ki agar aapko kabhi google play store me koi fake app ya misleading app miti hai kya karenge , Friends iske liye google play store me aap report kar sakte hai jo ki bahut hi simple hai . Bas aapko us app ke page ko niche scroll karna hai vaha pe aapko Flag as inappropriate likha huva milega jis par click kar ke aap report kar sakte hai . niche image me dekhe .
Jab aap kisi app ko repost karenge to aapko appropriate reason select karna padega or fir Submit par click kar ke submit karna padega , aapki report google ke pass submit ho jayegi , google fir aapki submit ki hui repost ko reviwe karenge or us ke khilaaf necessary action lenge . Agar aapne aisi kisi app ko install kar rakha hai to is type ki apps ko turant unnstall kar de . But in future is type ki aap install karne se bache .
Ye Bhi Jane :
- Gmail Par Galati Se Send Email Ko Vapes Kaise Kare
- Whatsapp Par Location Share Kaise Kare in Hindi
- Google Play Store Ke Secret Tips and Tricks in Hindi
- Chori ya Gum Ho Gaye Android Mobile Ko Kaise Khoje or Pata Lagaye
Friends to ab aap jaan hi gaye honge ki Google play store me fake Apps ka pata kaise laga sakte hai or fake apps se kaise bacha ja sakta hai . Apko hamri ye information Google Play Store Me Fake App Ka Pata Kaise Lagaye kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye . Agar aapko or bhi kuch janna hai to aap hame niche comment kar ke bataye , agar is informtion se aapki help hui ho to aap is article ko social media or apne friends / family ke sath share kare jisse unko bhi iske bare me pata chle or unki bhi help ho sake .
bahut hi badiya post hai.
Thanks For Comment Dilip Mothariya !