YouTube Ke Take a Break Feature Ko Kaise Use Kare in Hindi
Aaj hum YouTube Ke Take a Break Feature Ko Kaise Use Kare in Hindi ke bare me janege . Friends aapne kai baar dekha hoga ki aap mobile me YouTube me videos ko dekhe re hai or dekhte hi ja re hai ghanto – ghanto lage pade rahte hai, time ka kuch pata ni chalta matlab har time YouTube . Jo ki sabke liye sahi nahi hai , jyada mobile use karna health purpose se dekhe to bhi sahi nahi hai . Is liye Google ne bahut hi badhiya Update kiya hai YouTube me or “Take a Break” feature ko lake aaye hai . Is feature se unko jarur help milegi jo har time YouTube ko mobile me dekhte rahte hai .
YouTube ka ye feature ab YouTube App me available hai , yah google ke digital wellness project ka hissa hai . jiska main maksad yahi hai ki hum thoda mobile ke addiction se bache or apna sara time mobile pe hi na barvaad kare , or iski buri lat se thoda dur rah paye or apna time kisi or ache kaamo me laga paye ya apne friends or family ke sath bitaye .
Friends ! ye aapke health ke liye bhi kaafi aacha hai kuki agar aap YouTube par ghanto lagatar videos dekhenge bina kisi break ke to aapki annkho par bhi bura asar padega, jab aap mobile screen ko dekhte hai to uski light se bhi eyes par bura asar padta hai or agar koi video ya kuch or dekh ra hai to paya gaya hai ki palke bhi kam jhapakti hai jisse aapki eyes dry ho jati hai. Or aapne dekha hi hoga ki jab koi mobile chalata hai to chalate time uski gardan jhuki hoti hai or lagatar agar aap isi position me rahenge to aapke gardan me bhi problem ho jayegi or kamar me bhi problem ho sakti hai .
Is liye YouTube ka ye feature bahut kaam ka hai, aap apne hisab se isme time set kar sakte hai or fir aapko utne time ke baad Take a break ka reminder mil jayega , is reminder ka maksad aapko yaad dilana hoga ki aapko ab thoda break le lena chahiye. YouTube App ka Take a Break feature by defualt Off rahta hai . To chaliye jante hai ki is feature ko kaise enable karte hai .
YouTube Ke Take a Break Feature Ko Kaise Use Kare in Hindi
YouTube Ke Take a Break Feature ko Enable karne ke liye sabse jaruri ye hai ki aapki YouTube App up to date honi chahiye , agar aapke mobile me YouTube App ka old version hai to ye option apke liye available nahi honge . Is liye make sure ki aapki YouTube App Up to date honi chahiye tabhi aap YouTube ke Take a Break Feature ka use kar payenge . Agar aapke android phone me YouTube App updated nahi hai to Google Play store me ja ke update kar le . YouTube App ke Take a Break Feature ko enable karne ke liye niche ke steps ko follow kare .
Step 01: Sabse pahle aap apne mobile me YouTube App ko open kare . Uske baad Top Right corner pe apni Profile picture ya grey icon hoga vaha click kare , Niche image me dekh kar samjhe .
Step 02: Jaise hi aap Profile picture par click karene vaise hi aapke samne aapka Account Tab open ho jayega , Yaha par aap Settings par click kar de . Niche imgae me dekhe .
Step 03: Settings par click karte hi aap Settings Tab me chale jayenge yaha par aapko sabse uper General likha huva dikhai dega , Ab hum yaha par General Par click kar denge , niche image me dekhe . (Note : Agar aap iOS user hai to aap is step ko skip kare , ye kevel android user ke liye hai . )
- Ye Bhi Jane :YouTube se Paise kaise kamaye
Step 04: General Par click karte hi aap YouTube General Settings me chale jayenge . Ab yaha par aap Remind me to take a break aapko mil jayega , by default ye off rahta hai iske aage button par click kar ke isko ON kare . Niche image me dekhe .
Step 05: Remind me to take a break ke samne bane button par click kar ke jaise hi aap isko ON karenge , vaise hi aapke samne ek Reminder frequency ka ek popup aayega, yaha hame utna time select karna hai jinte time ke baad hame Take a Break ka alert lana chahiye , matlab ye ki agar aap yaha par 1 hour select karte hai to jab bhi aap YouTube par lagatar video dekhenge to aapko har 1 hour ke baad Take a Break ka Reminder aayega . Niche image me dekhe .
- Yaha par aapko Take a Break Ke liye Reminder frequency time ko set karna hai ki kitne time ke baad ye reminder aaye , Yaha par aapko Hours or Minutes me tine ko set karna hai . Uper image me point 1 dekhe .
- Reminder frequency time ko set karne ke baad OK ki button par click kar de .
- Ye Bhi Padhe : Google Play Store Me Fake App Ka Pata Kaise Lagaye
Ab jab aap YouTube par videos ko dekh re honge to aapne jitne time ke baad reminder frequency ko set kiya hoga utne time ke baad ek popup reminder aayega Time to take a break ka . Jisse aap fir aaram se break le sakte hai . Niche image me aap dekh sakte hai . Is reminder ko band karne ke liye aap DISMISS ke button par click kar sakte hai .
Friends is tersh se aap YouTube ke Take a Break feature ka use kar sakte hai , Ye bahut hi kaam ka feature hai isko jarur se enable kare . Umid hai ki aapko YouTube ka ye new feature pasand aayega or aap iska laabh utha payenge .
Ye Bhi Jane :
- YouTube History Delete Kaise Kare
- YouTube Me Adult Videos Ko Block Kaise Kare
- Chori ya Gum Ho Gaye Android Mobile Ko Kaise Khoje
- Mobile se Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye
Appko hamri ye information YouTube Ke Take a Break Feature Ko Kaise Use Kare in Hindi kaisi lagi hum comment kar ke bataye , Or aapki is YouTube ke new feature ke bare me kya raay hai vo bhi hame bataye , Friends ho sakta hai is feature ke bare me aapke friend or family me kisi ko na pata ho isliye aap is asticle ko unke saath share kare , jisse unko bhi iske bare me pata chale or vo bhi YouTube Ke Take a Break Feature ka laabh utha sake, jo ke health purpose se bhi aafi aacha hai .