Android Mobile Par Kisi Bhi Phone Number Ko Block Kaise Kare
Android Mobile Par Kisi Bhi Phone Number Ko Block Kaise Kare ( Number Block Karne Ka Tarika ) Friends aaj me appko bataunga ki hum apne mobile me kisi number ko block kaise kar sakte hai . Kai Bar hamare mobile me kuch aise calls aate hai jinko hum nahi chahte hai or hum un calls se paresaan ho ke hum mobile ko band kar dete hai ya Jyada paresaani hone par kuch log sim bhi change kar dete hai .
Par friends kya aap jante hai ki hum bade hi aasani se kisi bhi number ko block kar sakte hai . Call or sms block karne ka option kuch mobile phones me pahle se rahta hai par jyada tar ye option hume nahi milta hai . To aaj me aapko ek bahut hi badhiya mobile App ke bare me bataunga jisko install kar ke aap kisi bhi android mobile me koi bhi number ko block kar sakte hai or un numbers ko Blacklist kar sakte hai .
Taki aapko koi call ya sms kar ke paresan na kar paye . To chaliye us Mobile App ke bare me jante hai or is problem se khutkara pate hai .
Android Mobile Par Kisi Bhi Phone Number Ko Block Kaise Kare
Calls ko block karne ke liye hume apne mobile me ek mobile App ko install karna padega . Yaha par steps diye huve hai , inko follow kare .
Sabse pahle Google Play store me jaye . Or fir google play store ke search box me type kare mr number or search kare . Search karne ke baad jo result aayenge unme se Mr Number – Block calls & spam par click kare .
Jaise hi aap mr number par click karenge is App ka page open ho jayega . agar ye Mobile App google play store me aapko khojne me paresani hoti hia to aap yaha par click kar ke bhi is Mobile App ke paege me ja sakte hai click kare : mr number . yaha par Install ki button par click kar ke aap is mobile App ko apne phone me install kar le .
Mr number App ko install karna ke baad isko open kare . Open hote hi aapke samne welcom screen aayegi yaha par GET STARTED par click kar de .
GET STARTED par click karte hi aapke samne mr number App open ho jayegi yaha par aapko uper left side me tin lines dekhengi un par click kare .
Tin line par click karte hi aape samne or bhi kaisare option aa jayenge . Ab kisi bhi number ko block karne ke liye yaha par Block list par click kare .
Block list par click karte hi aapke samne block list ki screen open ho jayegi . Friends yaha se aap kisi bhi number ko black list me add kar sakte hai or jo bhi number ko aap black list me add karenge vo number block ho jayega .
Block list me kisi bhi number ko add karne ke liye hume yaha + ke nisaan par click karne hai or + ke nisaan par click karte hi hamare samne kuch or option aa jayenge jin se hum kisi bhi number ko black list me add kar sakte hai (Call Blocking) . chaliye in options ke bare me jante hai . niche image dekhe .
- kisi bhi number ko black list me add karne ke liye + ke icon par click kare .
- yaha par click kar ke aap kisi bhi number ko manually enter kar ke Black list me add kar sakte hai . uper image me point 2 dekhe .
- yaha man ke icon par click kar ke aap apne mobile phone ke contacts se kisi bhi number ko black list me add kar sakte hai .
- yahapar apko 123 likha huva dekhega yaha par click kar ke aap kisi bhi numer ke start ke number yani suru ke number ko daal dijiye to koi bhi number un number se start hoga to block ho jayega . udahran ke liye aap yaha par area code ya kuch company ke suru ke number ek jaise hote hai jin se bahut call aata hai to aap suru ke number ko dal kar aaram se un ko block kar sakte hai .
- yaha par click kar ke aap recent calls ya sms vale number ko block kar sakte hai .
To Friends is taresh se mr number App ka use kar ke hum kisi bhi number ko block kar sakte hai . aapko ye post Android Mobile Par Kisi Bhi Phone Number Ko Block Kaise Kare kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye . or is jankari ko share kare .
Video Tutorial :
Hindi ke is video tutorial me aap janege ki Android Mobile Par Kisi Bhi Phone Number Ko Block Kaise Karte Hai ( How To Block Calls and Number On Android Mobile ) or iska kaise use karte hai .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=7iKMfOXOcxY”]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Android Mobile Par Kisi Bhi Phone Number Ko Block Kaise Kare, Number Block Karne Ka Tarika, Call or Message Ko Block Kaise Kare, Call Blacklist, How To Block Number On Android Mobile in Hindi, Number Blacklist, Kisi Bhi Call Ko Block Kaise Kare .
Indrjeet. Ka sim band krna hai
sim band karna hai to ap sim ki company k coustomer care baat kare ya fir usme recharge karna band kar de , use na kare apne aap band ho jayega