Android Mobile Phone ko CCTV Camera Kaise Banaye in Hindi
Android Mobile Phone ko CCTV Camera Kaise Banaye in Hindi Dosto aaj ki is post me hum janege ki mobile ko CCTV camera ki trah kaise use kar sakte hai ya apne mobile ko CCTV Hidden camera kaise bana sakte hai .
lakin bahut sare logo ke man me ye saval hoga ki mobile ko bhala CCTV ya Hidden camera banane ki kya jarurat hai . isse acha to CCTV camera hi lagva le . Friends to me aapko bata du ki Agar aap apne ghar me CCTV camera lagna chahte hai to aapko kafi kharch karna padega or isko setup karne me bhi bahut time jayega , manage karne ki bhi problem hai .
Par agar aap itna kharcha nahi karna chahte to apne mobile ko CCTV ki tareh use kar sakte hai . Iske liye aapko ek android mobile chahiye jisme camera work karta ho or simple si ek mobile App install karni hai . Bus ho gaya aap is CCTV mobile ko kahi se bhi dekh sakte hai. To chaliye jante hai ki Android Mobile Phone ko CCTV Camera Kaise Banate hai .
Android Mobile Phone ko CCTV Camera Kaise Banaye in Hindi
Android Mobile ko CCTV camera yani ki ip web camera banane ke liye me aapko ek Mobile App ke bare me batane ja raha hu . Is App ka name ip webcam hai . Is App ko aap apne mobile me install kar ke apne mobile ko Hidden Camera (Spy Camera) ban sakte hai or badi aasani se isko kisi dusre mobile , Computer se kisi bhi jagah se live dekh sakte hai .
Jo me aapko mobile App batane ja raha hu ye ekdam free hai or isko use karna bhi bahut aasan hai . To chaliye jante hai ki mobile ko CCTV Hidden camera kaise banate hai . niche diye gaye steps ko follow kare .
Step 01:
Sabse pahle aap apne Android mobile me google play store par jaye or fir Google Play store me ip webcam likh kar search kare .
ip webcam likhe kar jab aap google play store me search karenge to aapke samne kai sari mobile App aayengi usme se aap uper di hui image vali App ko apne mobile me install kare . Iska icon aap uper image me ache se dekh le , ye App Free hai .
Step 02:
ip webcam mobile App ko apne phone me install karne ke baad ab ip webcam App ko open kare .
ip webcam App ko open karne ke baad aapko yaha par kai sari settings dikhai dengi , ye kuch basic settings hai jaise video quality , format , size etc . inko apne hisaab se set kar le , agar nahi karna hai to aise hi rahne de .
yaha par aap niche dekhenge to aapko Start server likha huva dikhega . Start server par click kar de .
Start server par click karte hi aapka mobile ab CCTV camera ke jaise kaam karne lagega or ab Mobile Camera work karne lagega .
Step 03:
Ab aapke mobile ki screen par ek link likha huva dekhega . Jo ki is tareh se kuch hoga – http://192.123.12.123:8080 ye link aapke mobile par alag rahega .
Ye jo link hai. is link ko agar hum kahi dusri jageh ya dusre Computer / mobile ke internet browser me dalkar open karenge ko hum is mobile camera ko dekh payenge .
Step 04:
To chaliye ab hum ye link apne internet browser me dalte hai or is Mobile camera jo ki CCTV camera ban chuka hai isko open kar ke dekhte hai .
Step 05:
aap jaise hi us link ko apne internet browser me daal kar open arenge aapke samne niche di gai image jaisa page open hoga .
- yaha par click kar ke aap apne mobile CCTV Camera ke video ko dekh payenge . Uper image me point 1 dekhe .
- yaha par click karke aap vaha ka sound bhi sun sakte hai .
- yaha par se aap video ko record kar sakte hai .
- agar aap chahe to apne CCTV camera se photo bhi le sakte hai , yaha par aapko photo lene ka option mil jayega .
- yaha se aap apne mobile CCTV camera ko control bhi kar sakte hai . jaise Zoom , Quality , Exposure … etc.
To Friends is tareh se aap apne Android Mobile Ko CCTV Camera ya Spy Camera bana sakte hai . aap apne mobile ko kahi bhi CCTV camera jaise set kar sakte hai or ip link ki madat se usko kahi se bhi dekh sakte hai .
Friends ye post Android Mobile Phone ko CCTV Camera Kaise Banaye in Hindi aapko kaisi lagi hame comment kar ke bataye or agar is bare me aapke man me koi saval ho to vo bhi aap comment kar ke puche , Hum aapki jarur help karenge .
Video Tutorial : How To Make CCTV Camera or Spy Camera Using Mobile Phone in Hindi | Mobile Phone ko CCTV Camera Kaise Banaye
Hindi ke is video tutorial me aap janege ki Android Mobile ko CCTV camera ki tareh kaise use kiya jata hai ( How To Make CCTV Camera or Spy Camera Using Android Mobile in Hindi ) .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=owHC4TzTuGw”]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
agar aap yaha par apna video chahte hai to contact us.
[su_divider]
Android Mobile Phone ko CCTV Camera Kaise Banaye in Hindi , How To Make Your Android Phone Spy Camera or CCTV Camera in Hindi , Mobile Ko Spy Camera Kaise Banaye , Android Mobile Ko CCTV Camera Kaise Banate Hai , Phone Ko CCTV Camera Kaise Banaye .
address ka link opera me pest kar rhe h but webpage not available likh kar rha hmobil Micromax A 114 redmi note 4 dono me try kiyabut its nt responding. .
so give me solution…
ap ek bar video ko dekhe or dubara try kareor internet connection bhi ek baar chak kar le , ki internet ki problem to nahi hai .
bahut achhi jankari share ki hai sir aapne ..
Thanks For Comment Amarjeet !!!