Android Mobile Se Image Size Kam Kaise Kare in Hindi
Android Mobile Se Image Size Kam Kaise Kare in Hindi . Friends aaj ki post me mai aapko batauga ki Android Mobile ka use kar ke image ka size kaise kam kar sakte hai . Dosto isse pahle ki post me maine aapko Online Image Size Kaise Compress Karte Hai ye bataya tha or maine ye bhi bataya tha ki hame image size ko kar karne ke fayede or ku karna chahiye . Agar aapne vo post nahi padhi hai or aap janna chahte hai ki online free me image compress kaise kare to hamari post jarur padhe , yaha click kare : Image size Online Compress Kaise Kare .
Lakin agar aap mobile me image size ko kam karna chahte hai , bina online kisi website ka use kare to aaj ma aapo ek bahut hi usefull app ke bare me bataunga jisse aap aasani se apni big image size ko kam kar sakte hai , sath hi sath aap resize, crop or dusre kaam bhi is mobile App ka use kar ke kar sakte hai . Jyada tar log mobile ka space bachane ke liye aisa karna chahte hai ya apni image ko social media me share karne ke liye ku ki kam size ki image social media sites par aaram se upload ho jati hai .
Android Mobile Se Image Size Kam Kaise Kare in Hindi
Android mobile se image size ka kam karna ke liye hume apne mobile me ek bahut hi small si mobile application ko install karna padega . Sabse pahle aap apne mobile me play store ko open kare or fir google play store ke search box me photo compress likhe ke search kare . niche image dekhe .
Jaise hi aap play store me photo compress likhe ke search karenge aapke samne kai option aayenge usme se aap Photo Compress 2.0 par click kar de . uper image me aap dekhe sakte hai . jaise me aap us par click karenge . Apke samne Photo Compress 2.0 mobile app ka page open ho jayega . Yaha par INSTALL ki button par click kare or is Application ko apne mobile phone me install kar le .niche image dekhe .
Photo Compress mobile Application ko install karne ke baad . Open kare, open karne ke baad apke samne niche di hui image jaisi screen aayegi . Yaha par hume photo ko compress karne kiye photo ko select karna hai , yaha par hum kai tareh se image ko select kar sakte hai hai in tariko ko hum ek ek kar ke jante hai .
- Sabse uper yaha par likha hai Gallery agar aap yaha par click karte hai to aap apne phone ki galley se image ko select kar sakte hai compress karne ke liye .
- Dusra yaha par option diya huva hai Camera (uper image me 2 point dekhe) agar aap yaha par click karte hai to fir aap apne mobile ke camera se turant photo le kar us image ko compress kar sakte hai .
- Sabse niche yaha par likha hai Compress and resize Multiple Photos , agar aap yaha par click karte hai to fir aap ek hi samaye me kai sari photo ko compress , resize kar sakte hai .
Par abhi hame apni gallery se ek image ka size kar karna hia to hum Gallery par click kar denge . Jaise hi hum gallery par click karenge , mobile ki gallery open ho jayegi fir hum us image ko select kar lenge jisko haume compress karne hai .
Gallery se image ko select karne ke baad aapke samne niche di gayi photo jaisi screen aa jayegi , yaha par aapko kai sare option mil jayenge . Aap apni image ko Compress kar sakte hai , Resize kar sakte hai , Crop karna ho to vo bhi bade aaram se kar sakte hai . Par hume abhi apni image ka size kam karna hia yani ki compress karna hia to hum yaha par COMPRESS par click kar denge .
COMPRESS par click karte hi aapke samne image ko compress karne ki setting ki screen open ho jayegi .
- Yaha par aap set kar sakte hai ki aap apni image ko kitna compress karne chahte hai . abhi hamne 50% (Medium Quality) par set kiya hai aap apni margi se yaha par koi bhi settings rakh sakte hai par agar aap yaha par 10% rahkte hai to aap image quality low ho sakti hai to aap yaha par medium quality hi rakhe .
- Setting ko set karne ke baad COMPRESS par click kar de .
COMPRESS par click karte hi aapki image compress ho jayegi aap uper mobile ki screen me image ka original size or compress karne ke baad image kitne size ki ho gayi hai vo dekhe sakte hai . Agar aap compressed image ko save karna chahte hai to aap screen ke niche jaya par REPLACE & EXIT likha hai vaha par click kar de . niche image dekhe .
REPLACE & EXIT par click karte hi aapki original image new size ki image se replace ho ke save ho jayegi . Is mobile application ke jariye aap apni image ko crop bhi kar sakte hai or Resize karna hai vo bhi bade aram se kar sakte hai or compress karna to humne sikh hi liya .
Friends is tareh se aap Android Mobile ka use kar ke bade hi aaram se Image size kam kar sakte hai (Compress, resize, crop). To friends aapko hamari ye post Android Mobile Se Image Size Kam Kaise Kare in Hindi kaisi lagi hame comment kar ke jarur bataye or apne friends me is information ko share karna na bhule .
[su_divider]
Android Mobile Se Image Size Kam Kaise Kare in Hindi, Image Size Kam Kaise Kare, Mobile se Photo Ka Size Kam Kaise Kare , Mobile Me Image Size Compress Kaise Kare, How To compress Image Size in Mobile (Hindi)
Photo
Thanks For Comment Bhagorao shinde !!