Android Mobile Me Slow Motion Video Kaise Banaye
Android Mobile Me Slow Motion Video Kaise Banaye Friends aaj ki is post me hum janne sale hai ki mobile slow motion video ko kaise banate hai . Friends bahut sare log apne mobile se slow motion video record karne chahte hai ya record kiye huve video ko slow motion karna chahte hai to hamri ye post ko padhte rahiye .
Android Mobile Me Slow Motion Video Kaise Banaye
Android mobile me slow motion video banane ke liye hume apne mobile me ek application ko install karna padega . To aap apne mobile me google play store me jaye or uske search box me likhe slow motion video fx or fir search kare . search karne ke bad aapke samne kai sari application aa jayengi usme se aap Slow Motion Video FX par click kare . niche image dekhe .
Jaise hi aap Slow Motion Video FX par click karenge vaise hi aap is mobile application ke page me chale jayenge yaha par aapko INSTALL ka button dikh ra hoga us par click kar ke aap apne mobile me isko install kar le .
Slow Motion Video FX mobile app ko install karne ke bad isko open kare . jaise hi aap is application ko open kareng vaise hi aapkr samne niche di gai image jaisi screen aayegi . Slow motion video banane ke liye, yaha par aapko power button jisa icon dikhega us par click kare . niche image dekhe .
Jaise hi aap button par click karenge vaise hi aapke samne ek popup aayega , yaha par aapko de option dikhenge .
- Record movie : yaha par camera ka icon dikhe ra hoga agar aap is par click karenge to aap apne mobile camera se slow motion video shot kar sakte hai .
- Choose movie : is option par click kar ke aap apne mobile gallery se koi bhi video select kar sakte hai jisko aap slow motion banana chahte hai .
To me abhi dusre option par click karunga kuki maine ek video pahle record kiya tha us ko slow motion me karna chahta hu . Choose movie ke optiopn par click karte hi hum apne mobile se video ko slow motion banane ke liye kisi bhi video ko select kar lenge .
video select karne ke bad aapke samne niche di gai image jaisi screen aayegi yaha par kuch control diye hai chaliye jante hai .
- yaha par click kar ke aap apne video ka starting point set kar sakte hai , jaha se aap apne video ko slow motion banana chahte hai .
- yaha se aap apne video ka end point set kar sakte hai . uper image me point 2 dekhe .
- video ko slow motion banane ke START ke button par click kar de .
START ki button par click karte hi aapke samne ek pop aayega yaha par hame kitna video ko slow karna hai vo set karne hai .
- yaha par aap apne video ko slow or fast dono kar sakte hai . yaha par .20 se 5 tak ki speed ko hum set kar sakte hai . agar yaha par 1 se kam value rakhte hai to video slow hoga or agar yaha par aap 1 se jyada value ko set karte hai to video fast ho jayega . hume video ko slow karna hia to hum yaha par 1 se kam value rakhenge , to me yaha par .22 set kar deta hu .
- value set karne ke baad OK ki button par click kar de .
To Friends aap bahut hi aasani se apne mobile se slow motion video bana sakte hai . aapko ye post kaisi lagi niche comment box me comment kar ke jarur bataye or is jankari ko apne friends or family me share jarur kare jisse unko bhi is ke bare pata chale .
Video Tutorial :
Niche diye gaye video me aap janege ki Mobile Me Slow Motion Video Kaise Banate Hai ( How To Make Slow Motion Video on Android ) video ko dekhe or jankari prapt kare .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=7RyWJPEHvys”]
Agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Android Mobile Me Slow Motion Video Kaise Banaye , Slow Motion Video Kaise Banate Hai , Mobile me Slow Motion Video Kaise Banate Hai , How To Make Slow Motion Video on Android in Hindi .