Apne Name Ki Animated GIF Image Kaise Banaye
Apne Name Ki Animated GIF Image Kaise Banaye ( Text To GIF in Hindi ) Friends aapne internet par bahut si website me dekha hoga kuch images ko jo animate hoti rahti hai , Ya fir apne Whatsapp me kuch GIF images ko jarur dekha hoga jo animate hoti rahti hai . Aapke man me bhi kai bar ye aata hoga ki ye GIF image hum bhi banaye . To aaj hum is post me aapko yahi batane vale hai ki aap apne name ki animated GIF image kaise banaye .
GIF (Graphic interchange format) ye ek image format hai , isme multiple images hoti hai ya dusre sabdo me ye kahi ki ek GIF image ke ander multiple image frame hote hai jo ek set timing ke anusaar change hote rahte hai . Jab frames change hote hai to vahi hame animation ke rup me dikhaai dete hai . To ye thi basic jankari GIF ke bare me , Chaliye topic pe vapes aate hai or jaldi se jante hai ki Apne Name Ki GIF Animation Image Kaise Banate Hai .
Apne Name Ki Animated GIF Image Kaise Banaye
Apne name ya kisi hi text ko aap bade hi aram se GIF animation me kar sate hai , Hum iske liye kuch online kuch websites ka use karenge . Yaha niche aap un websites ko dekh sakte hai jin se hum text se animated GIF file banane vale hai .
- picgifs.com/glitter-text-generator
- formtypemaker.appspot.com
- animizer.net/en/animated-text
Aaj hum in tino websites ke bare me janege . Ye sabhi websites ki help se hum bade hi aram se kisi bhi text ko animated GIF me kar sakte hai . To chaliye in tino websites ko jante hai kuki in teno websites me alag alag tareh ke animation create hote hai , Is liye me aapko tino ke bare me bata raha hu , Fir aapko jo website achi lage aap use kar sakte hai . Chaliye Jante hai Text Se GIF Animation Banane Ka Tarika .
Text Se Animated GIF Banane Ka Tarika 1
Apne name ke text ya kisi bhi text ko animated GIF banane ke liye hum jis pahli website ka use karenge vo hai : picgifs.com/glitter-text-generator . To aap is website par jaye is website me jane ke liye aap yaha par click kare : picgifs.com/glitter-text-generator
Jaise hi aap is website par jayenge aapke samne niche di hui image jaisa page open hoga . niche image me steps ko dekhe.
- Text vale box me apna name ya jo bhi text aapke GIF animaton me karna ho usko yaha par likhe . Uper image me point 1 dekhe .
- Ab aapko animation font ko select karna hai , aapko niche bahut sare text animation hote huve dikhai denge aap kisi bhi man pasand font animation par click kar ke select kare . uper image me point 2 dekhe .
- Ab aap Generate text par click kar de .
Generate text ki button par click karte hi text generate hone lagega or puri tareh se generate hone ke baad aapke samne us text ka GIF animation ban ke aa jayga .
- Yaha par aap apne final GIF Animation ko dekha sakte hai . uper image me point 1 dekhe .
- Isi page me aap niche ki taref dekhenge to aapke samne GIF animation image ke linke diye huve honge . Image ko download karne ke liye aap Direct Link ko copy kare or new tab me open kar ke image ko download kar le . uper image me point 2 dekhe .
To is tareh se hum is website ka use kar ke apne name ya kisi bhi text ka GIF animation bana sakte hai . Hamne is website ka use kar ke GIF animation banaya hai aap us animated GIF ko niche dekhe sakte hai . Is website se aap kai tareh ke animation bana sakte hai .
Text Se Animated GIF Banane Ka Tarika 2
Ab me aapko dusri website ke bare me batata hu jaha se bhi aap anpe name ya kisi bhi text ka GIF animation bana sakte hai . to chaliye jaldi se jante hai us website ke bare me .
Friends ab hum jis website ka use karenge GIF animation banane ke liye uska name hai formtypemaker.appspot.com to aap sabse pahle is website par jaaye . is website me direst jane ke liye yaha click kare : formtypemaker.appspot.com
Is website me jaane ke baad aapke samne niche di hui image jaisa page open hoga . niche image me diye huve point ko samjhe .
- yaha par aap apna name ya text type kare (jiska aapko GIF animation banana ho) uper image me point 1 dekhe .
- yaha se aap color ko choose kar sakte hai . uper image me point 2 dekhe .
- Play button par click kar ke aap type kiye gaye text ka GIF animation dekhe sakte hai .
- ye download ki button hai , isko dabate hi aapki GIF animation ki file download ho jayegi . Uper image me point 4 dekhe .
To jaisa ki maine aapko uper bataya aap apna name ya text type kare , color jo rakhna hai vo set kare , animation ko play kar ke check kare . to aap niche image me dekhe sakte hai ki hamne Text ki jageh par KAISEKAMAYE.COM likha hai . or hum ab yaha par Download ke icon par click kar ke Isko download karenge .
To jaise hi aap download ki button par click karenge to aapki animated GIF download ho jayegi . hamne jo animated GIF is website ko use kar ke banayi usko aap niche dekh sakte hai .
Text Se Animated GIF Kaise Banaye Tarika 3
Abhi jo hamne uper kuch websites ko dekha , Unka use kar ke agar hum apne Text Ka GIF Animation banate hai to hame tohde colorful GIF animation milte hai , Par agar ap chahte ki aapko simple and badhiya text GIF animation mile to fir aap , ab jo me bata raha hu us website ko use kare .
Sabse pahle aap is animizer.net/en/animated-text website par jaye . Is website me jane ke liye aap yaha par click bhi kar sakte hai : animizer.net/en/animated-text
Is website me jaane ke baad aapko niche di hui image jaisa page dikhai dega . yaha se hum bade aaram se apne name ya kisi bhi text ka GIF animation bana sakte hai (Text To GIF).
- Animation template me aapko jis tareh ka animation chahiye usko select kare . uper image me point 1 dekhe .
- Text to animate vale box me apna name ya jis text ko animate karna ho usko type kare .
- Image Type me GIF select kare . uper image me point 3 dekhe .
- Uske bad yahapar or bhi settings di hui hai , background ki , color , Animation speed , Size ye sab ko aap apne hisab se set kar le . Uper image me point 4 dekhe .
- Sari settings ko set karne ke baad Generate animation par click kar de .
- Generate animation ki button par click karte hi , Apke text ki animated gif ban jayegi . Final animated GIF ko download karne ke liye Download ki button par click kar de . Uper image me point 6 dekhe .
Is tareh se aap is website ka use karke bhi apne name ya test ko animated GIF me bana sakte hai .
To Friends aaj aapne sikha ki kaise aap apne name ya kisi bhi test ki GIF animation image ko bana sakte hai . Umid hai ki ab aap bhi bade aaram se GIF animation bana sakte hai. Apko hamari ye post Apne Name Ki Animated GIF Image Kaise Banaye kaisi lagi comment kar ke bataye .
Agar aapko ye information acchi lagi ho to isko apne friends or family me share jarur kare . Text to GIF animation banane me koi problem aa ri ho to aap comment me puche . Thanks , Fir milenge ek new information ke sath .
Ye Bhi Padhe:
- VLC Media Player Se Video Download Kaise Kare
- Apne Name Ki Ringtone Kaise Banaye
- Google Play Store Ke Secret Tips and Tricks
[su_divider]
Apne Name Ki Animated GIF Image Kaise Banaye, Text Se GIF Animation Kaise Banaye, Text Se GIF Animation Banane Ka Tarika, Apne Name Ki GIF Animation Image Kaise Banate Hai, How To Create GIF Animation From Text in Hindi
Bhot hi acche se aapne bataya he GIF Ke baare me…thank you sir (AnyTechnoinfo.com)
Thanks For Comment Nomi !