Browser Search History Delete Kaise Kare in Hindi
Aaj janeege ki Browser Search History Delete Kaise Kare in Hindi . Friends aaj kal hum sabhi internet ko use karte hai or kai baar aisa hota hai ki internet ka us hume aise system (computer) par karna padta hai jise hamare alava koi dusra bhi dur karta hai ya aap agar kisi office me kaam karte hai vaha par aapko internet mila hai to vaha par durde log bhi hai jo us computer ko use kar sakte hai
To aise me hume apni browser history ko delete karte rahna chahiye taaki hamari privacy bani rahe or koi dusra hamari browser serach history ko na dekha sake . Chaliye sikhte hai ki Apne internet Browser Search History Delete Kaise Kare in Hindi .
Browser Search History Delete Kaise Kare in Hindi
Borwser ki history ko delete karna kaafi easy hai . Browser kai sare hai to hum aapko sabhi browser me ek ek karke batayenge ki Browser history ko kaise delete kare . Aap jo bhi browser use karte ho niche diye steps ko follow kar ke aap aaram se search history ko delete kar sakte hai .
Internet explorer Browser ki Search History Kaise Delete Kare :
Step 01:
Sabse pahle aap apna internet explorer browser open kare .
Step 02:
Internet explorer open hone ke baad right side me uper menu me Tools par click kare or Option me se Internet option par click kare .
Step 03:
ab aapke samne internet option ki window open ho jayegi . yaha par general tab me browsing history me Delete ke button par click kare de
Step 04:
Delete ki button par click karete hi aape samne pop up aayega . iss popup me aap jis history ko delete karna chahte hai us box par Tik kar de or fir Delete ki button par click kare de . niche image dekhe .
Keyboard shortcut se history delete kare :
Step 01:
Internet Explorer open kare .
Step 02:
AB keyboard me Ctrl + Shift + Delete dabaye . ab aapke saamne delete browsing history ki window open hogi
Step 03:
Yaha par jis history ko delete kana hai uske samne bane box par Tik kare or Delete ki button par click kare de .
Google Chrome Browser ki Search History Kaise Delete Kare :
Step 01:
Google chrome ko open kariye .
Step 02:
Google chrome ke open hone ke baad ab aap browser ke right side me bane Tin Dot par click kare , fir History ke option me jaye or fir History par click kar de ya fir Keyboard shortcut Ctrl + H dabaye
Step 03:
Ab aapke samne google chorme browser ki history ka page open ho jayega , yaha par aap apni browsing history ko dekhe sakte hai .
Step 04:
History ko delete karna ke liye app Clear browsing data par click kar de .
Step 05:
Clear Browsing data par click karte hi aapke samne ek pop up window aayega yaha par aap apni jarurat ke hisab se Box par tik kar ke option selete kare . jyada tar in option ko selete karte hai : Broesing History , Download History , Cookies ..etc Setect karne ke baad Clear Browsing History ki button par click kar de .
Ab aapki history delete ho jayegi .
Keyboard Shortcut se Google Chrome Search History Kaise Delete Kare
Step 01:
Sabse pahle aap Google Chrome open kare .
Step 02:
Google Chrome open hone ke baad ab Keyboard me Ctrl + Shift + Delete dabaye .
Step 03:
Ab aake samne Clear Browsing data ki window open hogi . jis history ko delete karna hai un box par tik kare or fir Clear Browsing Data par click kar de .
Firefox Browser ki Search History Kaise Delete Kare :
Step 01:
Apne Firefox browser ko open kare
Step 02:
Firefox browser open hone ke baad ab right side me uper menu me Tin line ka icon hoga us par click kare or History par click kare .
Step 03:
Ab Clear recent history par click kare
Ab aapke samne ek pop up aayega
- yaha par time rang selete karna hai . sari history delete karne ke liye Everything selete kare . uper photo dekhe .
- yaha par jis tipy ki history ko delete karna hai un ke aage bane box me Tik kare
- Clear Nov ki button par click kar de .
is tareh se aap apne firefox browser ki history ko delete kar sakte hai .
Keyboard Shortcut se Firefox ki Search History Kaise Delete Kare
Step 01:
Firefox open hone open kare or open hone ke baad Ctrl + Shift + Delete dabaye .
Step 02:
Fir Time rang to clear ka option selete kare . Delail arrow par click kare or clear option ko set kare or Clear Now ki button par click kar de .
Opera Browser ki Search History Kaise Delete Kare :
Step 01:
Opera browser ko open kare or fir left side me uper menu par click kare. menu par click karte hi aapke samne kai option aayenge unme se aap History par click kare . ya Fir keyboard me Ctrl + H dabaye .
Step 02:
Ab aapke samne aake browser ki history open ho jayegi . yaha par aap apne sari history ko dekhe sakte hai .
Step 03:
History ko delete karne ke liye aap right side me bane Clear browsing data par click kare .
Clear browsing data par click kart hi aapke samne ek new page open hoga
- time selete kare , Puri history ko delete karne ke liye the begining of time select kare . uper image dekhe.
- Jin history data ko delete karna hai unke aage box par Tik kare or Selete kare .
- Clear browsing data ki button par click kar de .
Keyboard Shortcut se Opera Search History Kaise Delete Kare
Step 01:
Keyboard Shortcut se opera ki Search History ko delete karne ke liye aap apne opera ko open kare or fir Keyboard me Ctrl + Shift + Delete ki Button ko dabaye .
Step 02:
Ctrl + Shift + Delete ki button ko dabate hi aap Clear browsing data ke page par chale jayenge . ab yaha par aap option ko apne hisaab se selete kare or Clear browsing data ki button par click kar de
Is tareh se aap aaram se opera browser ki history ko delete kar sakte hai .
Safari Browser ki Search History Kaise Delete Kare :
Step 01:
Safari browser ko open kare . Uper top menu me Safari menu par click kare .
Step 02:
Safari menu me Clear History or Website Data par click kare
Step 03:
Ab aap Clear menu se last hour , today , today yesterday or all history me se koi bhi option ko selete kare . Agar browser ki sari history ko delete karna hai to all history ko selete kare .
History ko delete karne ke liye clear history ki button par click kare de . aapki hstory delete ho jayegi .
Friends aapko ye article (Browser Search History Delete Kaise Kare in Hindi) kaisa laga connemt kar ke jarur bataye . Agar aapoko internet , Computer ya koi or topic par kuch janana ho to comment kar ke aap puch sakte hai . Agar ye information acchi lagi ho to share jarur kare .
[su_divider top=”no”]
Browser Search History Delete Kaise Kare in Hindi, Browser Search History Kaise Delete Karte Hai, Browser Search History Delete Karne Ka Tarika , How To Delete Browser Search History in Hindi
Very useful information thanks so much sir you are great sir