CSS Kya Hai Kaise Sikhe in Hindi
Aaj hum janege CSS Kya Hai Kaise Sikhe in Hindi . CSS website ko banane me use hota hia to agar aap CSS sikhna ya janna chahta hai to aap ko thoda bahut HTML ke bare me janna chahiye . CSS or HTML ko sikhe kar aap web design me kadam eakh sakte hai or isse paise bhi kama sakte hai . Online Kaam Kar ke Paisa Kama sakte hai kuch nahi to aap khud ki web design company tak open kar sakte hai jyada kuch invest bhi nahi karna hai , kher soche to kai sare raste hai .
Is Post me hum over all CSS ke bare me janege ki ye kya hoti hai , kaha kam aati hai , CSS Kaise Sikhe or kuch improtant jankari jo ki CSS Sikhne ke pahle aapko pata honi chahiye to chaliye bina samay gavaye suru karte hai or CSS ke bare me jante hai . CSS Kya Hai Kaise Sikhe in Hindi
CSS Kya Hai in Hindi
CSS ek style sheet language hai jise W3C (Word Wide Web Consortium) dvara devlop kiya gaya hai . CSS ka pura name Cascading Style Sheets hai . CSS , markup language ko decoration ke kaam me aati hai . yah web page ko visual style dene me use kiya jata hai jo ki HTML ya XHTML me likhe gaye ho .
CSS Kaha Kaam Aati Hai
CSS se hum kisi bhi web webpage ke look or feel ko control karte hai . CSS ka Use kar ke aap webpage ke color , Font ka size , style or spacing ,margin aadi ko set kar sakte hai . agar aap khali HTML se web page banaye to apka page jyada sundar nahi lagega . CSS ke use se page ko aap akarsak or effective bana sakte hai . HTML ko aap akele use kar sakte hai par CSS ko use karne ke liye HTML ki jarurat hoti hai .
CSS ko sikhna koi jyada muskil nahi hai aap aaram se isse sikhe sakte hai . aage me kuch websites aapko bataunga jin ki help se aap CSS or HTML aaram se sikhe sakte hai .
CSS Ke Fayde
- Page Fast Load Hota Hai : CSS ko use karne ke ye sabse bada fayda hai ki isko use karne se hamara web page fast load hota hai (jaldi khulta hai) . iske piche ka karan ye hai ki hum ek CSS file ke rule ko (Style) ko multiple page par apple karte hai , har tag ke liye alag se code likhne ki jarurat nahi padti . Kam code matlab page fast load hoga .
- CSS se Time Bachta Hai : CSS ko aap ek bar likhdijiye or usme aap har HTML element ki style ko set kar lijiye or fir use CSS ko aap sabhi web page par apply kar sakte hai . har page ke liye alag se CSS file banana jaruri nahi hai . CSS ki ek hi file banani padti hai is se hamara time bachata hai .
- Changes Karna Easy Hai : CSS ko use karne ka ye bhi fayda hai ki haume website me change karne easy padta hai . kuch bhi agar webpage ki style me change karna ho CSS file me change kar do vo apne aap sabhi page me apply ho jayega .
- Batter Look : CSS ke use se hamari website ko ek behter look milta hai or hamari website dekhne me acchi lagti hai .
- Many Device Support : CSS use karne se hamara HTML page kai Divice ko support karne lagta hai . or ham har divice ke hisab se use optimoze kar sakte hai .
- CSS Global Standard Hai : CSS ko ab sabhi log recommend karte hai or aapko bhi apne HTML pages ke liye CSS use karne chahiye .
- Supports Latest Browser : sabhi latest browser ko support kati hai .
- Offline Browsing : CSS web application ko locally store kar leta hai to aap website ko offline bhi dekh sakte hai .
CSS Ke Versions
CSS ke kai sare versions hai . niche versions ki list hai .
- CSS 1 : CSS (Cascading Style Sheets) level 1 , December 17 , 1996
- CSS 2 : CSS (Cascading Style Sheets) level 1 , May 1998
- CSS 2.1 : CSS level 2 revision 1 , kuch CSS 2 ke errors ko isme thik kiya gaya or sudhar hote rahe .
- CSS 3
- CSS 4
CSS Kaise Sikhe
CSS sikhna koi muskil kaam nahi hai agar aap sahi me isse sikhna chahte hai to sabse pahle aap HTML ko sikh lijiye . Jab aapko thoda bahut HTML aane lage to aap CSS ko usme use kar ke simpale website banana start kare . Dhire dhir aap dekhnege ki aapko CSS aapne lagegi or aap usse aaram se Use karne lagenge .
CSS Ko Kaise Edit Kare , Kon Sa Editor Use Hota Hai
CSS ko edit ya fir HTML ko edit karne ke liye aap chahe to simple Notepad ka bhi use kar sakte hai or CSS sikhe sakte hai . Me kuch editor ka use karta hu jo mujhe kaffi acche lagte hai pahla hai Sublime Text (https://www.sublimetext.com/) or dusra hai Brackets ( http://brackets.io/ ) in Editor ko bhi aap use kar sakte hai .
Ye kuch website me aapko bata raha hu jaha se maine HTML or CSS ko sikha hai . aap bhi yaha se aaram se inko sikh sakte hai . in websites me bahut hi saral tarike se Exampales ke sath tutorial diye huve hai . Umid hai ki aapko bhi yaha se kuch sikhne ko milega .
- http://www.w3schools.com
- https://www.tutorialspoint.com
To Friends aapne aaj CSS ke bare me jana . hume comment kar ke jarur bataye ki aapko ye jankari CSS Kya Hai Kaise Sikhe in Hindi kaisi lagi or agar aapko iss bare me kuch puchna ho to comment jarur kare .
[su_divider top=”no”]
CSS Kya Hai Kaise Sikhe in Hindi , CSS Kya Hai in Hindi , CSS Kya Hota Hai , CSS Kaha Use Hota Hai , CSS Kaha Kam Aata Hai .
sir मै ये जानना चाहता हु की किसी website के design या development में bootstrap का कैसे use किया जाता और क्या bootstrap का use करने से website full responsive हो जाती है .sir हमने एक template design किया है जो सभी web browser पर सही work करता है लेकिन safari वेब browser पर ठीक से work नही करता है तो क्या sir इसके लिए कोई अलग से coding किया जाता है क्या sir , प्लीज help me (lahsindia.com/)
this is nice post and thanks for sharing a good information with me.
Thanks For Comment aman singh !!