Facebook Account Delete or Deactivate Kaise Kare Permanently in Hindi
Is Post ka Tittel hai Facebook Account Delete or Deactivate Kaise Kare Permanently in Hindi To dosto aap samajh hi gaye honge ki is post mai me aapko Facebook Account ko Delete karna or Facebook Account ko Deactivate karna batane vala hu.
Dosto aap Shoch rahe honge ki Facebook Sab use karte hai or sabko acha bhi lagta hai fir koi bhala Facebook Account ko Delete ya Deactivate ku karna chahega ? Kuch log ke ager multiple Facebook Account ban jate hai ya jyada Facebook Account Bana liye par 1 hi Account use karte hai ya jo Problem bhi ho Vo Log Facebook Account ko Delete kar sakte hai .
Kuch log aise bhi hai jo saara din Facebook par Chipke rahte hai or apna kaafi time Facebook par waste kar dete hai ya jo Student hai ve apne exams ke time me Facebook Account ko Deactivate kar sakte hai taaki unhe Facebook Notification se chutkara mil sake or apna sara dyan padhai par laga sake .
Facebook Account Delete or Deactivate Kaise Kare Permanently in Hindi
Facebook Account Ko Permanently Delete karne ka matlab hota hai Facebook Account ko hamesa ke liye delete karna .
Facebook Account ko Deactivate karna ka matlab hota hai Facebook Account ko thode din band karna (Deactivate karna) ko bhi aapki posto ya kuch bhi dekh nahi paayega . Facebook Apka Data sabhal kar rakhta hai aap jab chahe apna account Active kar sakte hai .
To Chaliye Dosto sabse pahle jante hai ki Facebook Account ko Deactivate kaise karte hai or fir janege ki Facebook Account ko Permanently Delete Kaise karte hai or Account Delete karne se pahle hum jaanege ki Facebbok Account ka Data Backup Kaise le.
Ye Bhi Jane :
- Facebook Ko Hindi Bhasha Me Kaise Kare
- Facebook Ke Faltu Ke Notification Kaise Band Kare
- Facebook Par Fake ID Kaise Pata Kare
Facebook Account Deactivate Kaise Kare (How To Deactivate Facebook Account in Hidni) :
Jaisa ki maine aapko uper bataya ki Facebook Account Deactivate karne se Account tode dino ke liye band ho jata hai ya aise kah sakte hai ki uski share ki hui koi bhi chij Facebook par nahi dekhegi or vo search me nahi show hoga. Facebook Account ko Deactivate karna ke liye Steps ko Follow kare :
Step 01:
Facebook Account ko Deactivate karne ke liye sabse pahle aap Facebook ki website me jaaye or apne Facebook Account me Login kare .
Step 02:
Apne Facebook Account me login hone ke baad ab uper menu me right side me ek Dwoun Arrow ka icon hoga us icon par click kare .
Down arrow par click karte hi aapke samne kai sare option aayenge ab in sabhi option me se Setting par click kare. Adhik jaankari keliye niche image dekhe .
Step 03:
Setting par click karte hi aapke samne Facebook Account Setting ka page open hoga .
- Facebook Account Setting ke page me left side me 2nd number par Security likha hoga us par click kare .
- Ab Security ki setting ke page me niche Deactivate Your Account par click kar de .
Step 04:
Deactivate Your Account par click karte hi aapke samne ek massage aayega ki facebook account deactivate karte hi aapki share ki hui sabhi chije kisi ko nahi dekhngi ….
Ab yaha par vapes se Deactivate your account par click kar de .
Step 05:
Deactivate your account par click karte hi ek naya page open hoga yaha par Facebook apse account ko deactivate karne ka karen puchega (Reason for leaving).
yaha par kai sare option diye honge koi ek option ko select kare or Deactivate ki button par click kar de . adhik jankari ke liye niche image dekhe :
Deactivate ki button par click karte hi aapka Facebook Account Deactivate ho jayega .
Facebook Apko Auto reactivate karne ka bhi option deta hai . aap isme day ko set kar sakte hai ki 7 din ke baad apne aap Facebook Account reactivate ho jaye .
Note : Ager aapne Facebook par page ya Group bana rakha hai to Facebook Account ko Deactivate karte hi vo page ya Group delete ho jayenge . to behter yahi hai ki aap Apne Page ya Group ka Admin kisi or ko bana de .
Ye Bhi Padhe :
- Paise Kaise Kamaye
- Kisi Bhi Unknown Mobile Number Ki Information Location Kaise Pata Kare
- PDF File Ko Word Documet Me Kaise convert Kare
Facebook Account Delete Kaise Kare (How To Delete Facebook Account in Hidni) :
Dosto ab hum janege ki Facebook Account ko kaise Delete karte hai . Facebook Account ko Delete karne ki kai sari vaeh ho sakti hai jaise ki kai sare account ho ya fir Facebook se picha chutana ho , kai problem or karen ho sakte hai Facebook Account ko delete karne ki .
Facebook Account ko delete karne se pahle is baat ho aache se jaan le ki Facebook Account delete hone ke baad Apke Account ka sara data Delete ho jayega (jo Bhi kuch Facebook par Share kiya hai ) or dubara se vo Account Active nahi hoga naya Account hi banana padega .
To dosto mai bus ye kahna chahta hu ki ager aapne Facebook Account ko Delete karne ka man bana hi liya hai to aap apne Facebook Account ka backup le le . Chaliye me aapko bata deta hu ki Facebook ke Account Ka Data Backup Kaise lete hai .
Facebook Account ka Data Backup Kaise le (How To Download Facebook Data or Backup Your Facebook Data) :
Facebook Account ka data Backup lene ke liye aap Facebook ke top menu me Down arrow par click kare or fir jo option aayenge unme se Setting par click kare .
ab Facebook ke Setting ka page open hoga . General Account setting me jaaye or yaha par Download a copy par click kar de .
Download a copy par click karte hi ek new page open hoga . Yaha likha hoga Download your Information yaha par ek Start My Archive ka button hoga . Start My Archive ki button par click kar de .
Start My Archive par Click karte hi ek Pop up aayega isme Facebook apse aapka password puchega for security purpose . yaha par apna Facebook ka password daale or Submit ki Button par Click kar de .
Ab Apke samne ek new page aayega yaha par Download Archive ka button hoga . Download Archive Button par Click kare or Apna Facebook Data Download kar le (Download Facebook Data)
To Dosto is tareh se hum Facebook ka data Backup le sakte hai . Facebook Account ka Data Backup lene ke bad hum ab Facebook Account Delete kaise karte hai ye jante hai .
Ye Bhi Padhe :
- File Ko Compress Kaise Kare (Zip File)
- Google Search History Delete Kaise Kare
- Click Sense Se Paise Kaise Kamaye
Facebook Account Delete Kaise kare (Delete Facebook Account) :
To Dosto ab hum Finaly Facebook Account Delete karne vale hai . Dosto Facebook ne Account ko Delete karne ka koi sidha Option nahi diya hai kuki Facebook nahi chahta ki log Facebook ka Account Delete kare . To Delete kare kaise ? Niche Diye agye Steps ko Follow kare Facebook Account Delete ho jayega.
Step 01:
Facebook Account Ko Delete karne ke liye aap apne Facebook Account me Login Kare .
Step 02:
Facebook Account me Login Karne ke baad ab is Link par Jaaye :
https://www.facebook.com/help/delete_account
ya Fir es Link par Click kare : Delete Facebook Account
Step 03:
Jaise hi aap uper Diye agye Link par Click karenge aap Facebook Account ko delete karne vale page par chale jayenge . es page me ek Delete My Account ka button hoga is button par click kare . aapka Facebook Account Delete ho jayega .
Delete My Account ki Button par Click karte hi Facebook Account ko Delete karne ki Request Facebook ko Chali jAyegi . aapka Account 14 din ke ander delete ho jayega . 14 Din se pahle aap Facebook Account Delete karne ki Request ko vapes le sakte hai par 14 din ke baad Apka Account Delete kar diya jayega or Fir vapes nahi aayega .
Dosto aaj ki post Facebook Account Delete or Deactivate Kaise Kare Permanently in Hindi . Ager aapko Facebook Account ko Delete karne me koi problem ho rahi hai to Comment jarur kare . hum aapki madet karenge .
Ye Bhi Jane :
- Online Game Khele Bubble Shooter
- Facebook Ki Search History Kaise Delete Kare
- IDM ki Speed Kaise Badhaye (Internet Downloading Speed)
- Internet Se Free Call Kaise Karte Hai
[su_divider top=”no”]
Facebook Account Delete , Delete Facebook Account in Hindi , Deactivate Facebook Account
1)Account deactivate karne ke bad hamra nane friend list me dikhata he ? Hamare bheje huye purane msg frind ki chat me dikhata he ya nahi?
2) Agar account permanent delete kar dene ke bad friend list me hamara name ya id dikhai deta he ? Hamare bheje purane msg dikhata he ya sab kuch hata diya jata he ?
1. Account Deactivate karne ke bad name friend list se hat jata hai . and msg ka mujhe confirm kar ke batana padega.
2. Account permanent delete kar dene ke bad friend list se name hat jayegi . or sayad massage bhi delete ho jane chahiye .
goood information……………………..
Thanks For Comment ..
Sir, agar meine apna fb a/c delete kar diya to kya baad me usi gmail se apna fb a/c wapas khol sakti hun ya mujhe dusra banana hoga. (beautifuljannat.com)
yrrr agr aap apni id ko dlt ya deactvte krna chahte ho toh aapko zurth he kya fr acc kholne ki waise agr aapko fr se kholne he ha toh apne id ka emal n pswd yaad hona chiyea acc fr se open ho jaygaa dear
nice post aapne achi jankari share ki hai.