Friendship Day Kaise Manaye Friend Kaise Banaye in Hindi
Hello Friends , aaj hum janege ki Friendship Day Kaise Manaye Friend Kaise Banaye in Hindi . Hum sabhi ko Friendship day ka badi besabri se intjaar rahta hai , Freindship day August me padne vale pahle sunday ko manaya jata hai . Is bar Friendship Day Sunday, 6 August 2017 ko hai . Dosto jaisa ki hum sabhi jaante hai ki August ka pahla sunday aane vala hai yaani ki – International Friendship day bas aa hi gaya hai . FriendShip day Dosto ke liye bahut hi khas hota hai . Friendship Day ko manane ke liye , hum sabhi dosto ke saath party karte hai , kahi ghumne jaate hai , Bahut masti karte hai enjoy karte hai vagera vagera . To Chaliye Friendship Day Kaise Manaye is bare me or Jante hai .
Friendship day ko 1919 me Joyce Hall ne banaya tha , jo ki Hallmark cards ke Founder the . Friendship day kaafi samaye tak keval south America me manaya jata raha lekin 1958 me Friendship Day ko International Friendship day ke rup me manaya jaane laga or yah har jageh Popular ho gaya .
Dosto hum sab ko Friendship Day ka besabri se intjaar hai or aapne Friendship Day ko manane ka plan bhi kiya hoga , agar nahi kiya hai to hum aapko batate hai ki Friendship Day Kaise manaye or yaadgar time apne dosto ke saath kaise bitaye . To yaha par hum bahut hi aache Freindship day plan bata rahe hai jin ko follow kar ke aap Friendship day mana sakte hai .
Friendship Day Kaise Manaye Friend Kaise Banaye in Hindi
Friendship manane ke bahut sare tarike hai . kuch logo ne Friendship manane ka advance me plan kiya hoga to kisi ne nahi kiya hoga , Koi confuse hoga ki Friendship day kaise manaye . Friendship day ko aap aise manaye jisse aapke dosto ko ye feel ho ki vo special hai or hamari friendship bhi speical hai . Yaha par hum kuch ideas share kar rahe hai friendship day celebration ke .
- Friendship day ke din Party kare apne best friend ke liye or use surprise de .
- Movie Dekhne ke liye jaaye
- Picnic par ja sakte hai
- Bahar kahi ghumne jaa sakte hai (Camping trip)
- Friendship bracelets de sakte hahi
- Gifts de sakte ho
- Greeting cards ya letter de sakte hai or usme kuch likh sakte hai .
- Dosto ke sath time bita kar or purani yaade taja kar ke .
- Agar aap sara din busy hai to aap raat ko dosto ke saath Dinner kar sakte hai .
- Friends ko Call kare or Acche massage bheje .
- apne friends ki or apni photos ko collect kar ke poster banaye . camera le ke friendship day enjoy karne taaki ki new photos bhi click kare .
- kuch new logo se mile , saath me rahe enjoy kare or new friend banaye.
- Flower karide, chocolate kharide , cake ya jo bhi aap kharid sakte hai apne friend ko de .
- Friends ko gale lagaye ho sake to is moment ki photo bhi lele .
- kisi radio station ya program me call kar ke Friendship day ke din koi song apne friend ke liye chlvaye .
- Agar aapki kisi friend ke sath dosti tut gayi hai ya kisi ko aapko sorry bolna hai to Friendship day bahut hi accha time hai kisi ko sorry bolne ka or vapas Friend banane ka.
To ye kuch ideas the Friendship day ko manane ke . In idea ko or jyada dyaan se or gahrai se hum niche samjhenge or janege ki ki tareh se aap is Friendship day ko apna sabse accha Friendship day mana sakte hai .
Dosto friendship ek bahut hi aacha or majedaar bandhan hai jaha par pyaar hai , masti hai , ruthna hai manana hai . Friend aache ho to jine ka ek alag hi maja aata hai . chaliye hum apne topic : Friendship Day Kaise Manaye Friend Kaise Banaye in Hindi ko or gahrai se samajhte hai .
Friendship Day Party
Friendship day ko manane ka sabse accha tarika hai ki aap apne best friend ke liye surprise party rakhe . Ya fir sabhi friends mil ke paise collect kar ke samuhik party rakhe or is frindship day ko full enjoy kare . party me vaisa khana ya saman rakhe jo aape friend ko pasand ho . accha sa music lagaye or party ka maja le . or haa party ki photo lena na bhule.
Movie Dekhne jaaye
Aap Movie dekhne ka bhi plan kar sakte hai . Friendship day ko bina movie dekhe kaise celebrate kare .. na baba na movie to dekhna banta hi hai . sabhi friend ek saath koi movie dekhne jaa sakte hai . kuki friends ke sath movie dekhne ka alag hi maja hai . Movei dekhne ke sath sath lunch or dinner ka bhi plan kar sakte hai .
Friendship Day Picnic
Friendship day ke din aap apne dosto ke sath Picnic par bhi ja sakte hai . kahi acchi jagah jane ka plan banaye or khule me baith kar picnic manaye . picnic me khana pina lekar bhi ja sakte hai ya fir picnic ki jagah par ja kar un chijo ko banaye .
Ghumne jaye – Camping trip
dosto ke sath ghumne me bahut maja aata hai. To dosto kahi camping par jaaye , bahar ki duniya yaani ki new jagah par jaaye taki new new chije jaane or khojne ko mile . camping par jaaye games khele . dosto se new baate kare , aapsi pyaar ko badhye or ek ek pal ka khul ke maja le . apne kaam or office ki jindagi ko thodi der ke liye bhula de or stress or tension chod kar camping ke adventure ko enjoy kare .
Friendship Bracelets
Friendship day ke din aap apne friends ko Friendship bracelets de sakte hai . Friendship bracelets aaj kal kaafi popular hai . kuch log Friendship bracelets apne hatho se khud hi bana kar friends ko dete hai . Friendship bracelets dene se pyaar badhta hai or good feel hota hai .
Friendship Day Gifts de
Friendship Day ke din aap gift bhi de sakte hai . log apne friends ko mahge or bade gift dete hai unhe impress karne ke liye . lakin aap apne friend ko chota lekin accha gift de kar bhi impress kar sakte hai , jo ki aap paise ke dum par nahi kar sakte . aap pane friend ko apni or uski saath khichi hue pyari si photo de sakte hai , Friendship ya love vali koi acchi book de sakte hai oe sabse accha aap apne haath se kuch gift banakar de sakte hai .
Friendship Day Greeting cards ya letter de
Friend ko Greeting cad ya letter de sakte hai . usme kuch aaci acchi bate likh ke de sakte hai jisse aap ye bata sake ki vo aapke liye kitna important friend hai or aap uske bare me kya feel karte hai .
Friends ke saath Time Bitaye – Purani yaade taja kare
agar aapke kuch aise friends hai jin se aap kafi time se nahi mile hai to aap is Friendship day par unhe call kare or Friendship day ko aap apne friends ke saath mil kar kahi baith . apni professional life or private life ko share kare . purani baato ko bataye , friend kaise bane vo bataye , saath bitaye huve acche time ko share kare or yaad kare . bacpan ke friend hai to bacpan ki baate share kare . ye bhi baat kare ki aisi kya chij hai jiski vajah se hum best friend ahi or sath me rahna pasand karte hai .
Dinner kare
Agar aap friendship day ke din bisy hai ya kisi kam me fas gaye hai to ao apna kaam khatam kar ke dosto ke sath dinner ker ke friendship day celebrate kar sakte hai .
Friends ko Call kare ya Friendship SMS bheje
Friendship Day ko aap apne sabhi friends ko call kar sakte hai or apne dil ki baat share kar sakte hai in sab ke liye friendship day ekdum perfect hai . aap apne friends ko Friendship vale sms kar sakte hai or unhe ye fell kara sakte hai ki aap chahe jitne bhi busy ho apne friends ko nahi bhulte .
Aap friendship day manane vale hai ? hu.. To aap hume comment kar ke jarur bataye ki aap Friendship Day Kaise Manane vale hai ….
Video :
Friendship Day Par Apne Dosto ko Animated (Cartoon Video) Banakar Video Message Bheje . Mobile se Animated Video Kaise Banaye .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=pQzfg_iACCg”]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
[su_divider top=”no”]
Friendship Day Kaise Manaye Friend Kaise Banaye in Hindi , International Friendship Day in Hindi , Friend Kaise Banaye