Gmail Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi
Gmail Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi , Friends aaj ke timeme hum sab internet ka use karte hai or Email to aap sab ke pass hoga hi , Email ke bare me nahi bataunga ki kya hota hai , umid hai ki aap sab jante hi honge. Par aap sablogo ne dekhe hoga ki aapke email par roj unwanted emails bhi aate rahte hai , Jinse hame kai bar problem bhi hone lagti or kuch log to persaan hoke apna email address hi change kar lete hai taki unke email par faltu ke mail na aaye . Lakin email change karne se ye problem slove nahi hoti.
Ku ki fir kuch time baad jab aap apna new email online use karne lagenge , Websites pe ya kisi ko email denge to aapke new email par bhi faltu ke mail aane lagenge . To ab aapke man me aa raha hoga ki iska solution kya hai . Iska simple solution ye hai ki hum gmail par us email address ko block kar de jis se hame problem ho ya jis email se faltu ke mail aate rahte ho .
Friends Gmail par kisi bhi mail ko block karna bahut hi aasan hai . To chaliye jante hai ki Kaise hum Gmail par kisi ko block kaise kar sakte hai , me aapko 2 tarike bataunga or fir hum ye bhi janege ki ager koi block hai to Gmail par kisi email ko unblock kaise karte hai . Chaliye aaj ka topic suru karte hai – Gmail Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Karte Hai .
Gmail Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi
Gmail par vaise to faltu ke massage kam hi aate hai kuki gmail is type ke massages ko automatic filter kar leta hai , Par fir bhi gmail ke automatic filter se nikal kar kuch unwanted email hamare inbox me aa jate hai . To paresaan hone ki baat nahi hai kuki hum, bade aaram se inko block kar sakte hai . hum 2 tarike sikhenge jin se hum aasani se unwanted email se chutkara pa sakte hai .
Gmail Par Kisi Ko Block Kaise Kare
Sabse pahle aap apne gmail account me login kare . Uske baad jis email address ko bolck karna hai , usse aapke pass jo email aaya hai us email ko open kare .
Jisko Block krana hai uska email ko open kare , Email open karne ke baad uske name or email id ke samne right side me aapko down arrow kar nissan dikhai dega .
- Down arrow kar click kare . uper image point 1 me dekhe .
- Jaise hi aap down arrow pe click karenge vaise hi aapke samne kai sare option aa jayenge , In option me se Block “jisko block karna hai uska name yaha hoga ” par click kar de . uper image me point 2 dekhe .
Jaise hi aap Block “jisko block karna hai uska name ” par click karenge . Vaise hi aapke samne ek pop up aayega (niche image dekhe), Yaha par aapko confirm karna hai ki aap Blobk karna chahte ho . Hum yaha par Block ki button par click kar denge .
Block ki button par click karete hi vo email address block ho jayega . To is tareh se aap bahut hi aarem se kisi ko bolck kar sakte hai .
Gmail Par Kisi Ko Unblock Kaise Kare
Upar hamne sikha ki kaise kisi ko block kar sakte hai par kai baar asa bhi ho sakta hai ki jisko aapne block kiya ho usko unblock karne ki jarurat pad jaaye , To chaliye jante hai ki gmail par kisi ko unblock kaise karte hai .
Sabse pahle aap apne gmail account me login kare . Uske baad hume gmail ki settings me jana padega kisi ko unlock karne ke liye to aapko gmail par right side me Gear ka icon dikhai dega .
- Sbse pahle gear ke icon par click kare . uper image me point 1 dekhe .
- Gear ke icon par click karne ke baad aapke samne kai sare option aayenge unme se Settings par click kare .
Settings par click karte hi aap gmail ke setting ke page kme chale jayenge . Yaha par aap Filters and Blocked Addresses par click kare .
Filters and Blocked Addresses me jane ke baad aapne jin email addresses ko block kar rakha hoga unko aap yaha par dekh sakte hai .
- Jis email address ko unblock karna hai uske samne bane box par click kar ke Tik kare or usko Unblock karne ke liye select kare . uper imae me point 1 dekhe .
- Jisko unblok karna vo email select karne ke baad Unblock selected addresses ki button par click kar de .
Unblock selected addresses ki button par click karte hi aapke samne ek popup aayega . yaha par Unblock ki button par click kare .
Unlock ki button par click karte hi vo email Unblock ho jayega . To is tareh se aap badi hi asani se kisi ko unblock kar sakte hai .
Gmail Par Filter Bana kar Kisi Ko Block Kaise Kare
Ye dusra tarika hia jisse aap kisi bhi unwanted email ko raok sakte ahi or unse chutkara pa sakte hai . Is tarike me hum Gmail par ek filter bana denge jisse ki, jis email address se hame problem hai us email se agar koi email aata hai to vo automatic delete ho jayega . Filters se aap or bhi bahut kuch kar sakte hai to iske bare me janna apke liye bahut jaruri hai , To chaliye jante hai ki gmail par filter kaise banate hai .
Sabse pahle aap apne gmail account me login kare . Uske baad hume filter banane ke liye gmail ki settings me jana hai to aapko gmail par uper right side me Gear ka icon hoga.
- Gear ke icon par click kare .
- Gear ke icon par click karte hi aapke samne kai sare option aayenge isme se aap Settings par click kare .
Settings par click karte hi aap Gmail ke setting ke page me chale jayenge .
- Setting page me jane ke baad Filters and Blocked Addresses par click kare . uper image dekhe .
- Filters and Blocked Addresses me jane ke aab aapko yaha par Create a new filter likhe huva dikhega . Create a new filter par click kare .
Create a new filter par click karte hi aapke samne filter banane ka option aa jayega (ek form jaisa open ho jayega) . niche image dekhe.
- Yaha par aap From me us email address ko dale jisko aap filter karna chahte hai . uper image me point 1 dekhe .
- Email address dalne ke baad ab Create filter with this search par click kar de .
Ab aapke samne kai sare,option aa jayege . Ab hame un option ko select karna hai jo hum apne new filter ke saath karna chahte hai .
- Sabse pahle aap Skip the inbox (Archive it) ke samne bane box me click kar ke tik kare or is option ko select kare.
- Uske baad Delect it ke samne tik kare . uper image me point 2 dekhe .
- Uske baad Create filter pe click kar de .
Create filter par click karte hi filter create ho jayega or ab us email se aane vala har mail apne aap delete ho jayega . To is tares se hum bade aaram se filter bana sakte hai or faltu ke emails se bach sakte hai . Ab hum jante ahi ki kaise hum filter ko delete kar sakte hai .
Gmail Par Filter Ko Delete Kaise Kare
Filter to hamne banana sikhe liya ab hum jante hai ki hum filter ko delete kaise karte hai . To sabse pahle aapko gmail ki settings me jana hai . jaha se hamne filter ko banaya tha . settings me jaye or fir Filter and Blocked Addresses me jaye . niche image dekhe .
- Filter and Blocked Addresses me jane ke baad aapne jo filter banaya hoga usko aap yaha par dekh sakte hai . Jis filter ko delete karna ho usko select kare . selete karne ke liye uske samne bane box par Tik kare .
- Filter ko delete karne ke liye select karne ke baad , Delete ki button par click kar de . uper image me point 2 dekhe .
Jaise hi aap Delete ki button par click karenge vaise hi aapke samne ek popup aayega . Usme aap OK ki button par click kar de .
Ok ki button par click karte hi aapka filter delete ho jayega. Is tareh se aap filter ko delete kar sakte hai .
To friends is tareh se aap bade aaram se gmail me kisi ko bhi Block kar sakte hai or hamne dusra tarika bhi jana ki kaise aap gmail par new filter bana kar , jo aapko paresaan karta hai usne email ko spam me daal kar sidha delete kar sakte hai , gmail apne aap uske mail ko delete kar dega , Is treah se aap unwanted email se chutkara paa sakte hai .
Appko hamari ye post Gmail Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi kaisi lagi , kya is post ne aapki help ki to comment kar ke jarur bataye or apne friends me is jaankari ko share kare or dusro ki help kare . Agar aapko koi problem aa ri hai to comment kare hum aapki madat jarur karenge .
[su_divider]
Gmail Par Kisi Ko Block Ya Unblock Kaise Kare in Hindi , Gmail Me Kisi Ko Block Kaise Kare, Gmail Me Kisi ko Unblock Kaise Kare ,
nice post bro i love your work .(techasad.com)
Thanks For Comment ..