Google Drive Kya Hai Kaise Use Kare in Hindi
Google Drive Kya Hai Kaise Use Kare in Hindi , Aaj ki is post me hum Google Drive ke bare me janege . Google Drive ke bare me to aapne suna hi hoga . Google Drive koi Car nahi hai jis ki hum drive karenge . Friends Google Drive to aaj kal har smart phone me install rahta hai , Par log usko use nahi karte kuki ve use use karne nahi jante , google drive ke bare me nahi jante . agar aapko iske bare me nahi pata hai to koi baat nahi hum aapko google drive ki puri janari denge . To chaliye suru karte hai .
Google Drive Kya Hai Kaise Use Kare in Hindi
Google drive jiasa ki nama se hi pata chalta hai ki ye drive hai . jaise hamare computer me hard drive hote hai ussi tareh se google valo ne goole drive banaye ahi jo online storage hai . Online hone se ye iss liye bhi usefull hai kuki iss se aap apni file ko kai se bhi dekhe sakte hai or download ya share bhi kar sakte hai . google drive par aap file ko edite bhi kar sakte hai to isme bahut sare acche or kaam ke fayde hai . aaiye jaani iske bare me .
Google Drive Kya Hai
Google Drive ko Google valo ne 24 April , 2012 me start kiya tha . Google Drive ek file storage services hai . Isme user ko 15 GB Free Online Cloud Storage milta hai jis me user apni file ko store kar ke rakh sakta hai or apne devices ke sath jod sakta hai or Apni Google Drieve ki Files ko share bhi kar sakta hai .
Google Drive ki ek or khas baat ye hai ki aap google drive me Document ko edit bhi kar sakte hai . Google Drive me Google Docs, Sheets and Slides bhi rahte hai jin ki help se aap Microsoft Office ki tareh se Apni file ko online edit bhi kar sakte hai .
Google Drive Ke Features
Google Drive me bahut sare features hai yaha par me kuch bata raha hu .
- Google Drive me hume 15 GB Free space milta hai jo ki normal istemaal ke liye kafi hai .
- Google Drive ko hum computer par bhi install kar sakte hai , Install karne par hamre computer me Google Drive ka folder ban jata hai jis me hum kuch bhi dalenge vo hamare google drive me upload ho jayega .
- Google Drive Secure hai . Google valo ka hai to bharosa kiya ja sakta hai .
- Google Drive ke jariye aap apni file ko asani se share kar sakte hai .
- Google drive me aap file ko Edite bhi kar sakte hai jaise text document etc .
- Google Drive ko mobile me bhi install kar ke mobile ke data ka backup le sakte hai (apne aap backup hota rahega)
To is tareh ki kai sare useful features hai jinki vajah se hume Google Drive ko use karna chahiye or isse haume hi suvidha milegi .
Google Drive Kaise Use Kare
Google Drive ko use karne ke liye aaoke pass Google Account yani ki Gmail Account hona chahiye . Gmail ka account agar aapke paas nahi hai to yaha par click kar ke aap Gmail Account ko kaise banaye jaan sakte hai : Gmail Account Kaise Banaye
Gmail Account hoga to aap aram se Google Drive ko use kar sakte hai . Google Drive ko hum kai tarike se use kar sakte hai , jaise hum google drive ko apne computer me Install kar ke bhi use kar sakte hai , Online Google Drive ki website par ja ke use kar sakte hai , Mobile me bhi Google Drive App ko install kar ke use kar sakte hai .
Google drive ko hum alag alag tarike se kaise use kare chaliye jante hai .
Google Drive ko Computer me Kaise Use Kare
Google Drive ko aap computer me bhi install kar sakte hai . Google drive ko computer me install karne par ek google drive ka folder ban jata hai jis folder me hum kuch bhi upload kare vo apne aap google drive me upload ho jayega (Internet hona chahiye) . google drive ko computer me install karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare .
Step 01:
Google drive ko computer me install karne ke liye hume google drive software ko computer me download karna padega . Google drive ko computer me download karne ke liye https://www.google.com/drive/download/ par jaye .
Step 02:
Ab aapke samne ek new page open hoga . yaha par aapko Download Drive ka button dikhega . vaha par click kare or PC ko select kare kuki hame apne computer me google drive ko install karne hai .
Step 03:
Ab aapke samne ek popup aayega yaha par Google Drive Terms of Service ko Accept kare . Yaha par diye huve Accept and Install ki button par click kare .
Step 04:
Google Drive ko download kar le . Download hote hi vo apne aap install hone lagega or install hone ke baad Google Drive start ho jayega or aapke samne niche di gayi image jaisa popup aayega . yah par Get Started ki button par click kare .
Step 05:
Ab aap apne gmail or password daal kar Sign in kare .
Sign in karne ke baad Next ki button par click kar ke aap apne installation ko pura kare .
Step 06:
Install or setup pura hone ke baad aapke samne Google Drive ka folder open ho jayega , Isse folder me aap jo bhi dalenge vo aapke google drive me chale jayenge . ye folder aapke google drive account se juda rahega .
Agar aapko Google Drive ka folder nahi milta hai to inche image me 3 tarike diye hai jaha se aap google drive ko dekh sakte hai . niche image dekhe .
- Is link par ja ke aap Google Drive folder ko open kar sakte hai (C:\Users\Administrator\Google Drive)
- start menu me aap Google Drive ko search kar ke bhi open kar sakte hai .
- windows ke task bar ke right side niche yaha par bhi aap Google Drive ka icon aap dekh sakte hai or uske option dekhe sakte hai .
Step 07:
Google Drive me jo bhi file rakhni ho un files ko aap google drive ke folder me daal de . or agar kisi file ko share kane ho to us file par right click kare fir google drive me Share … ko select kare (Right click >> Google Drive >> Share…) . Is tareh se aap koi bhi file share kar sakte hai .
Google Drive Online Kaise Use Kare
Google drive ki website se hum google drive ko badi asani se use kar sakte hai . niche diye gaye steps ko follow kare .
Step 01:
Google Drive ki website par jaye . Google Drive website pe jane ke liye apne internet browser me www.google.com/drive/ type kare or Enter Button dabaye .
Step 02:
Google Drive ki website ke open hone ke baad ab aap Page par diye gaye Go To Google Drive ke button par click kare .
Step 03:
Ab aapke samne new page open hoga yaha par apne Gmail or Password Daal kar Sign in Kare . Uske baad ab aap apne google drive me chale jayenge . google drive me aapke samne kai sare option milenge . niche image dekhe .
- Yaha par My Drive likha hai is par click kar ke aap google drive ke or bhi option ko dekh sakte hai .
- New folder – yaha par click kar ke aap apne google drive me folder create kar sakte hai .
- Agar aapko koi file google drive me upload karni hai to aap Upload files… par click kar ke upload kar sakte hai .
- Google Drive me folder upload krne ke liye Upload folder par click kare .
- Google drive me hum Google Docs (Microsoft word jaisa hai), Google Sheets (Microsoft Excel jaisa hai ) or Google Slides ( Microsoft Power Point jaisa hai) ka use kar sakte hai or file ko edit ya create kar sakte hai .
To dosto is tareh se hum Google Drive ki website ka use kar sakte hai .
Google Drive Ko Mobile me Kaise Use Kare
Google Drive ko Mobile me use karna bahut aasan hai . Jaise ki me pahle hi aapko bata chuka hu ki google drive use karne ke liye Gmail Account hona jaruri hai .
Google Drive aaj kal har mobile me pahle se hi install rakhta hai . agar install nahi hai aap google play store me jake google drive ko install kar sakte hai . Google Drive ko mobile me install karne ke baad aap Google Drive App ko open kare or apna gmail se us me login kare .
Ab aap apne mobile se bhi kisi bhi photo , video ya data ko google drive me share kar sakte hai . udahran ke liye agar kisi image ko aapko google drive me dalna ho to aap us image ko selete kare or fir shearing ke option me Google Drive ko selete kare . aapki image google drive me upload ho jayegi .
To Friends ab aap jan hi gaye hai ki Google Drive Kya Hai or Google Drive ko Kaise Use Karte Hai , Umid hai ki aapko ye information acchi lagi hogi . Aapko ye post Google Drive Kya Hai Kaise Use Kare in Hindi kaisi lagi comment kar ke jarur bataye .
Is Impotent jankari ko share jarur kare takki aapke friends ko bhi iss ke bare me pata chale , Agar isse sambandhit koi saval ho to niche comment kar ke jarur puche , Hum aapki help jarur karenge .
[su_divider top=”no”]
Google Drive Kya Hai Kaise Use Kare in Hindi , Google Drive Kya Hai , Google Drive Kaise Use Kare , Google Drive Use Kaise Karte Hai , Google Drive Kya Hota Hai .
Good Post . (easy44.blogspot.com)
sir jo google drive mai file upload kare wo file dusra koe nhe dekh sakta hai na wo serf mai he dekh sakta hu .
Aap hi dekh sakte ho, Koi dusra nahi dekh sakta . Agar kisi Dusre ke sath aap us file ko share karte hai (Us file ka link) tabhi vo dekh payega .
iT really is very helpful article for everyone. hinditips4tech.in
Thanks For Comment …Tarun .
Agar koi file drive pe uplode kr share ki gyi h to use drive se delete krne pr bhi jise share ki use dikh rhi h to kya kre ..plzz btaye
Ho sakta hai usne apne google drive me share kar li ho . aisa kai baar hota hai jab aap koi file ko google drive se gmail par share karte hai to gmail se vo apne drive me save kar sakta hai . Varna koi option nahi hai ki koi delete ki hui file ko dekh paye . Thanks For Comment .
bahut achchhi jankarihai