Google+ Plus Par Account Kaise Banaye in Hindi
Google+ Plus Par Account Kaise Banaye in Hindi , Friends Google Plus ko Google+ bhi bolte hai , Google plus ek interest-based social networking site hai , jaise aap Facebook , Twitter ko use karte honge usi tareh Google+ bhi ek social networking site hai jiska use kar ke aap apni profile bana sakte hai or apne friends se connected rah sakte hai or agar aapka koi business ya website hai to aap usko Google+ par promote kar sakte hai , dusko ko follow (+1 button ) bhi kar sakte hai.
Google+ ko 2011 me launch kiya gaya tha , google ki ye free service hai . Google plus par pahle log kevel gmail se invite kar ke hi join kar sakte the , par Google+ kafi popular ho gaya to google ne fir November 2015 me google + ko new design kiya or new look diya . Or Google+ me baki sabhi google servies ko connect kiya gaya hai or Circles, Huddle, Hangouts jaisi service ko joda gaya . To chaliye ye thi Google+ ke bare me basic jankari . Cahiye ab topic par vapes aate hai or jante hai Google+ Plus Par Account Kaise Banate Hai .
Google+ Plus Par Account Kaise Banaye in Hindi
Google Profile Banane se pahle ye jaan ke ki aapko google plus account banane ke liye kya kya chahiye hoga .
- Google Plus par account banane lke liye aapko ek email account ki jarurat hogi . Agar aapke pass Email account nahi hia to pahle Email Account Banaye , Ye article Padhe : Gmail account kaise banaye .
- Sabse simple si baat hai ki aapko Google Plus profile banane keliye Internet connection chahiye .
Google+ Par profile banane ke liye sabse pahle aap Google plus ki website par jaye . Google plus ki website par jaane ke liye yaha click kare : Google Plus . Ya fir apne internet browser me plus.google.com ko open kare .
Google Plus ki website me jane ke baad , yaha top right side me Sign in ki button par click kare . niche image dekhe .
Jaise hi aap Sign ki button par click karenge aapke samne Google Sign in page aayega yaha par aap gmail account ka use kar ke sign in kare . Agar aapke pass Gmail account nahi hai to pahle gmail account banaye , Is post ko Padhe : Gmail account kaise banaye .
Google plus me Sign in karne ke baad , Google plus me left side me dekhe , yaha par aapko Join Google+ likha huva dikahi dega , Join Google+ par click kar de . niche image me dekhe .
Jaise hi aap Join Google+ par click karenge aapke samne ek popup aayega . Yaha par hume apni profile create karne ke liye kuch information ko bharna hai . niche image me dekhe .
- Yaha par apne google+ profile ke liye name choose kare .
- Yaha par gender select kare . Male ya Female , Uper image me point 2 dekhe .
- Ab yaha par apni Birth date ko select kare .
- Sabhi jankari ko bharne ke baad CREATE PROFILE par click kar de . uper image me point 4 dekh .
CREATE PROFILE par click karte hi aapke samne ek or new window popup hogi , Yaha se aap apni profile photo ko set kar sakte hai , change kar sakte hai .
- Yaha par click kar ke aap apni google+ Profile photo ko set kar sakte hai . Ager aapko kuch change nahi karna hai to yaha kuch na kare , aap baad me bhi profile photo set kar sakte hai . uper image me 1 dekhe.
- Ab SAVE par click kar de .
Jaise hi aap SAVE par click karenge , Vaise hi aap gooogle+ home me aa jayenge . Or aapki Google+ profile ban jayagi. Ab aapki google plus profile ban chuki hai . Google+ me aapko Left side me kuch chije deikhengi jinko samajhna hamare liye jaruri hai , Taki aap google+ ko use kar paaye . niche image dekhe .
- Home : yaha par jaise hi aap click karenge aap Google+ ke home page me aa jayenge.
- Collections: Collection par click karte hi aap google+ par featured collections ko dekhe sakte hai , or unko follow kar sakte hai .
- Communities : yaha par aap clcik kar ke communities k dekhe sakte hai . Communities me aapko 3 tab dikhai denge niche image dekhe . RECOMMENDED , MEMBER OR YOURS .
- Profile : Profile pe click kar ke aap apni profile ko dekh sakte hai or yaha se edit bhi kar sakte hai .
- People : People pe click karenge to aap google+ par aapko tin option milte hai . niche image me dekhe . yaha aapko tin option milte hai FIND PEOPLE , FOLLOWING , FOLLOWERS .
- Events : Event par click kar ke Events ko dekh sakte hai or , Events ko bana bhi sakte hai .
- Notifications : Notifications par click kar ke aap Google+ ke notification ko dekh sakte hai .
To Friends aapko Google+ Account ban chuka hai or maine aapko . Google + ki kuch settings ki bhi jankari de di taki aap isko use kar paaye . Par me samjhta hu ki aapko account banane ke sath sath jaldi se ye bhi bata deta hu ki aap apni profile ko kaise edit kar sakte hai .
Google+ Profile Ko Edit Kaise Kare
Google+ ki profile ko edit karne ke liye aap apne account me login rahiye. Uske baad aap Google+ me left side me Profile par click kare . niche image dekhe .
Jaise hi aap Profile par click karenge vaise hi aap apni Google+ ki profile me chale jayenge . niche image me dekhe . Apani Google+ Profile ko edit karne ke liye yaha par aap EDIT PROFILE par click kar de .
Jaise hi aap EDIT PROFILE ki button par click karenge , vaise hi aapke samne ek Edit profile ka windows popup ho ke aa jayega . yaha se aap Profile ko edit kar sakte hai . niche image dekhe.
- Yaha par click kar ke aap apni Google+ ki wall photo ko edit kar sakte hai .
- Yaha par click kar ke aap apni Google+ Profile photo ko laga sakte hai , or change kar sakte hai . uper image me point 2 dekhe .
- Tagline me aap apni tag line ko likh sakte hai .
- Sab kuch sahi se set karne ke baad Settings ko save karne ke liye SAVE ki button par click kar de . Uper image me point 4 dekhe .
To friends aap is tareh se Apni Google+ ki profile ko edit kar sakte hai . Umid hai ki aap aab apni profile ko apne anusaar set akr sakte hai .
Friends is post me hamne Google+ ki profile ko banana sikha sath hi sath usko edite kaise karte hai vo bhi sikha . Apko hamari post Google+ Plus Par Account Kaise Banaye in Hindi kaisi lagi comment karke bataye . Agar aapko Google+ profile banane me koi problem aa ri hai to comment karke problem ko puche . Ye information acchi lagi ho to apne friends me share jarur kare . Thanks
[su_divider]
Google+ Plus Par Account Kaise Banaye in Hindi , Google+ Plus Par Account Kaise Banate Hai , Google+ Account Banane Ka Tarika , How To Create Google+ Account in Hindi
Sir, google plus ke bare me aapne bahut achchi jaankari batayi uske liye thank you.
Thanks For Comment Mahjabeen !!!