Google Plus Per Brand Page Kaise Banaye in Hindi
Friends Aaj hum janege Google Plus Per Brand Page Kaise Banaye in Hindi ya aap isko ye bhi bol sakte hai ki Google Plus Par Brand Account Kaise Banaye , Hamse kaafi sare logo ne puhca hai ki google plus brand page kaise create karte hai , to caliye aaj hum jaane lete hai ki google plus page ko kaise banana hai hamari puri kosis rahegi ki aapko iski puri information de paye . Umid hai ki aapko hamari information pasand aayegi . Google plus ek bahut hi aachi socila networking site hai , Google plus me aap aasani se page bana sakte hai. Aap google plus page apne business ya website ke liye bana sakte hai .
Google plus par brand page banane se pahle aap google plus par account bana le google plus par account banane ke liye ye post padhe : Google Plus Par Account Kaise Banaye is post ko aap padh lijiye or apna google plus account bana lijiye . Google Plus Account banane ke baad aap is post ko padhe or apna google plus Brand page ( brand account ) banaye .
Friends sabse pahle hum ye jaan lete hai hai ki Google plus brand page kinko banana chahiye , maan lijiye aap koi singer ho ya aapka koi business ya website hai ya aap aise hi internet me famous hona chate ho apne telent ko logo ke sath share karna chate hai to aapko social media ka sahara lena chahiye jaise Facebook, Google+, Twitter …etc. Google+ par apna brand page jarur banaye , kuki google+ par bahut sare log hai abhi 2018 me lagbhag 395 million (395000000) monthly users hai. To kaafi log hai jinke sath aap google+ par jud sakte ho .
Google Plus brand page ko banane ke liye aapko alag se gmail account banane ki jarurat nahi hoti aap ek gmail account ka use kar ke kai sare google plus brand page ko create kar sakte hai . Maine kai sare logo ko dekha hai ki jo apne business ya website ke liye google profile banana chahte hai to vo uske liye alag se gmail account create karte hai , kuki sayad un logo ko nahi pata ki hum bade aaram se apni website ya business ke liye ek hi gmail ka use kar ke bade aaram se google plus brand page create kar sakte hai or brand page ( brand account) ek alag google profile ki tareh hi ho jata hai , or isko manage karne me bhi aasani ho rahti hai .
Kuch Log aise bhi hai jo apni personal google+ Account me apne apni website, blog or business ko prmote karne lagte hai, jo ki galte hai , agar aap apne business / blog / website kuch bhi agar promote karna chate hai to aap iske liye ek alag se targeted google+ brand page create kare .
Google plus brand page banane ka main karan yahi hai ki hum apne business / Website ko google plus social media me promote karna chahte hai or google plus par apni following badha kar vaha se traffic (SEO , Back-links) ko apne blog/website par lana chahte hai or In sab ke liye google plus kaafi aacha platform hai me recommend karunga ki aap bhi apna brand page jarur create kare .
Ek last bat aapko or bata du, Friends kya aapko pata hai ki agar aap YouTube par channel create karte hai to us name se aapka brand page google plus par create ho jata hai . To agar aapne YouTube channel create kiya huva hai to ek baar jarur se check kar le (Sayed aapka google+ brand account pahle se create ho) . Is type ki bahut si bate hai jo katam nahi hongi To chaliye ab hum step by step jante hai ki Google Plus Par Brand Page Kaise Banate Hai .
Google Plus Per Brand Page Kaise Banaye in Hindi
Step 01 : Sabse pahle aap Google Plus ki website pe jaye , google plus ki website par jane ke liye apne internet browser ke address bar me https://plus.google.com/ likhe or Enter button dabaye ya fir aap yaha par click kar ke bhi ja sakte hai yaha click kare : [su_button url=”https://plus.google.com/” target=”blank” style=”soft” background=”#02a90f” size=”6″ radius=”0″ icon=”icon: arrow-right” rel=”nofollow”]Google Plus [/su_button]
Step 02 : Google Plus Ki website me jane ke baad ab hame google plus me gmail account ka use kar ke sign in karna hai to sign in karene ke liye aap right side me sign in ke button par click kare ,
Step 03 : Sign in ki button par click karte hi aapke samne login page aayega , yaha par aap apna gmail or password daale . For more information see image below
- Sabse pahle yaha par apne Gmail address dale .
- Uske baad apne gmail ka password dale .
- Gmail Address or Password dalne ke baad, Ab NEXT ki button par click kare de .
Jaise hi aap NEXT ki button par click karenge, aap Google Plus me Sign in ho jayenge .
Step 04 : Google Plus me Sign in hone ke baad ab aap page ke left side me niche ki taref corner me dekhe, aapko Brands likha huva dikhega , Hame Brands par click kar dena hai . Adhik jankari ke liye aap niche image me dekhe .
Brands par click karete hi aap is page par chale jayenge >>> https://plus.google.com/brand .
Step 05 : Brands par click karte hi aap jis page me jayenge vaha par aapko CREATE GOOGLE+ PAGE ka button dikhayi dega us par click kar de . Adhik jankari ke liye aap niche image ko dekhe .
Step 06 : CREATE GOOGLE+ PAGE ke button par click karte hi aap ek new page par chale jayenge jaha par likha hoga – Create a Brand Account for your new Google+ page is page par ja kar hame apne brand account ko create karna hai . Jyada jankari ke liye aap nihce image dekhe .
- Jaha par likha hai Brand Account name yaha par aapko jis name se Brand page (Brand account) create karna hai vo name yaha par dalna hai . Uper image me Point 1 dekhe .
- Apne brand page ka jo name rakhna hai usko dalne ke baad ab aap Create ke button par click kar de . Uper image me point 2 dekhe .
Step 07 : Create ki button par click karne ke baad aap new page me chale jayenge , yaha par aapko kuch bate batai gayi hai jaise , Google + page ko enable karne ke baad aapke fans aapko Google+ par aapke brand name se search kar payenge , Aap apne google brand page par post share kar sakte hai , comment kar sakte hai , share kar sakte hai or aap apne brand page se Collection or Communities ko create kar sakte hai . To aap yaha par ENABLE par click kar dijiye , niche image me dekhe .
Step 08 : ENABLE par click karte hi , aapka brand page create ho jayega or ap ab vapes se Google+ ke home page par chale jayege , Ab aap apne brand page ki profile ko dekhne or edit karne ke liye , Page ke left side me Profile par click kare . Niche image me dekhe .
Step 09 : Profile par click karte hi aap apne Brand page ki profile me chale jayenge yaha , ab aap apne page ki information ko edit kar sakte hai , Edit karne ke liye aap aapko yaha par ek EDIT PROFILE ka button mil jayega jis par aap click kar ke apne brand page ki sabhi information ko bhar sakte hai , jaise page ke bare me , website ko bhi link kar sakte hai or apne google plus page ki profile image or cover photo ko change kar sakte hai , or bhi bahut sari settings hai jin ko aap kar sakte hai . Niche image me dekhe aapko apne profile ke right side me EDIT PROFILE ka button mil jayega .
Yaha pe me aapko google Plus ke cover photo or profile photo ka size bata raha hu jo ki recommended hai :-
- Google plus ke cover photo ka 1080 x 608 pixel size recommended hai , Par aap maximum 2120 x 1192 pixel ki image bhi laga sakte hai or minimum 480 x 270 pixel ki image bhi cover photo me laga sakte hai . ( Google plus ki cover photo sabse jyada dikhti hai is liye yaha par aachi imgae ko lagaye jo samko attract kare or aapke page ke bare me pata chele )
- Google Plus Profile photo aap 250 x 250 pixel size ki lagaye ye size recommended hai , Lakin aap minimum 120 x 120 pixel ki size ki iamge bhi laga sakte hai .
EDIT PROFILE ki button par aap jab click karenge to aapke samne niche di hui image jaisa popup aayega yaha se aap apne brand page ki information or cover, Profile photo ko change kar sakte hai . niche image dekhe .
- Yaha par click kar ke aap apne Google Plus Brand page ka cover photo change kar sakte hai . Uper image me point 1 dekhe .
- Yaha camera ke icon pe click kar ke aap apne google+ page ki new profile photo ko upload kar sakrte hai , uper image me point 2 dekhe .
- Tagline – Yaha par aap apne Google Plus page ki tagline ko likhe , tagline me maximum 140 character ho sakte hai . Uper image me point 3 dekhe.
- Apne google plus page par cover photo , Profile photo or tagline ko set karne ke baad ab aap SAVE par click kar de .
Friends is tareh se hum bahut hi aasani se Google+ par Brand page create kar sakte hai . Google+ par page bana kar aap apni website ke content ko promote kar sakte hai, share kar sakte hai , log aapse google+ page se aasani se jud sakte hai .
Step 10 : Google Plus ke brand page ke banne ke baad ab aap apne page par kuch bhi post kar sakte hai jaise ki website link , image or video …etc jaise aap facebook par share karte hai same us tareh se aap logo ke sath google plus page par content share kar sakte hai . To Friends aap bhi jaldi se google plus page banaiye or suru ho jaeye 🙂
Friends aapko hamari ye information Google Plus Per Brand Page Kaise Banaye in Hindi kaisi lagi hame comment kar ke jarur bataye or agar aapko google plus page ke bare me kuch puchna hai ya aapko google plus page create karne me koi problem aa rahi hai to aap nihce comment kar ke aap puche . Agar is post se aapko help mili ho to isko share kare or dusro ki bhi help kare .