Internet Ki Speed Kaise Badhaye Fast Kaise Kare
Internet Ki Speed Kaise Badhaye Fast Kaise Kare Friends aaj ki iss post me hum janege ki internet ki speed ko kaise fast kiya jata hai kuki hamare bahut sare readers ne pucha hai ki internet ki speed ko badhane kya tarike hai . friends hum sab internet ka use daily life me roj karte hai or kai bar aisa hota hai ki hamari internet ki speed kaafi down yani ki slow ho jati hai . Jis karan se hume kafi paresaniyo ka samna karna padta hai or kai bar hamare important kaam slow internet speed ki vajah se ruk jate hai .
To agar aap aap bhi slow internet se paresaan hai or janna chahte hai ki internet ki speed kaise badhaye , to aap iss post ko padhte rahiye kuki ye post aapke liye hai . aaj hum aapko batayenge ki internet speed ko aap kaise fast kar sakte hai . Internet speed ko fast karne ke liye hume kuch bahut hi important bato ka dyaan rakhna padta hai jo hum apko aage bataunge , kuch chote se changes kar ke aap aasani se internet speed ko badha sakte hai . chaliye jane Internet speed Kaise Badhaye .
Internet Ki Speed Kaise Badhaye Fast Kaise Kare
Internet ki speed kai sari bato pe depend karti hai ki aap kon sa internet browser use kar rahe hai , Aapka computer kaisa hai , kon sa cable use kar rehe hai . Router kon sa hai , Disk space kitna hai . Aapke system me virus to nahi hai to aisi tamam bate hai jin par hamari internet speed nirbhar karti hai chaliye in sab baato ko jante hai .
Speed Test
Sabse pahle aap apne Internet Speed ko test kare . Internet speed ko test karna isliye jaruri hai kuki isse apko apne internet ki speed ka pata chalega . Maan ligiye aapne apne Internet ka plan 4 MBps liya hai par utni speed apko nahi mil rahi hai to isme aapke internet provider ya internet dene vali company ki galti hai aapko Internet Speed ko sahi karne ke liye unse contact karna chahiye .
Internet Speed ko test karne vali kai sari websites hai . aap kisi ka bhi us kar ke apni internet speed ko check kar sakte hai . mai jyaad tar is website ka use karta hu : openspeedtest.com
Modem Or Router ko Check Kare
apne modem or Router ko check kare kuki jyada tar Internet ki problem isi ki vajah se hoti hai . Chek arne ke liye aap apne modem / Router ko kisi or computer ya divice se connect kare or chek kare ki problem kaha hai . Agar computer ya device badalne se speed sahi aati hai to computer ki problem hai or agar computer ki problem nahi hai to kisi or company ka router test kare or apne Modem / Router ko change kare .
Browser Cache Ko Delete Kare
Ab aati hai hamare Internet Browser ki Jiska use kar ke ham website ko open karte hai or internet ka use karte hai . Apne Browser ke cache ko delete karte rahe taaki vo fast kaam kare uski History ko Delete Karte rahe . Browser Search History ko delete karne ke bare me janne ke liye Yaha Click Kare : Browser Search History Kaise Delete Kare .
Apne Browser Ko Update Kare
Apne internet Browser ko Update rakhe kai bar Browser ke update na hone par kai bar uske performance par kaafi fark padta hai . Update rahega to accha hai kuki new version purane se hamesa accha hi hota hai .
Apne browser Ko Badle
Agar browser ke cache ko delete kar ke ya usko update kar ke Internet speed me fark nahi padta hai to aap koi dusra internet browser istemaal kar ke dekhe ho sakta hai ki aap jis internet browser ka use kar rahe ho yah uska problem ho . kai sare internet browser hai jaise Google chrome , FireFox , opera etc… browser badal kar dekhe .
Operating System Ko Change Kare
Aapke Internet ki speed kai bar aapke operating system par bhi nirbhar karti hai agar aap koi purana operating system use kar rahe hai to aapki Internet speed slow ho jayegi . Insliye aap is time me kam se kam Windows 7 ka use to kare hi or kosis kare up to date rakhne ki . Apne computer me bhi jarurat ke hisaab se RAM memory jarur rakhe taaki operating system sahi se kaam kare or aapke internet ki speed bhi thik rahe .
Apne Router or Computer ki Jagah Badaliye
Kai bar jab hum Modem/ Router ka use karte hai to yah kaha par hai isse bhi hamare internet speed par fark padta hai . To apne computer or Router ki jagah badal kar dekhe taaki agar koi signal ki problam ho to vo dur ho sake .
Modem Ke Pass Dusre DeviceNa rakhe
Apne Modem / Router ke paas koi or device na rakhe jisse signal ki koi problam na ho or ho sake to inke aas pass koi elactornic saman bhi na rakhe iss se bhi apke internet speed par fark padta hai .
Cable Wire Change Kare
Agar aapke Modem / Router ki wire kaafi purani ho gai hai to use bhi change kar de kuki ye wire connection ki bhi problem ho sakti hai . New cable wire lagaye or jyda lambi wire ka use na kare jitni jarurat ho utni lambi hi wire lagaye .
Cable Wala Net Use Kare WiFi Nahi
Ho sake to Cable wala Internet connection use kare kuki WiFi me kai bar signal ka problem hota hai or Internet ki speed bhi kam jyada hoti rahti hai . To kosis kare ki Cable wala internet istemaal kare .
Baki Sabhi devaice ko Band Kare
Agar aap kai sare device me ek sath net use karte hai to aisa na kare kuki isse aapki internet speed bat jaati hai . Agar aap ke aap WiFi connection hai par aap ek sath kai sare device ek hi WiFi se chalate hai to aapki Internet Speed Slow ho jayegi kuki Speed bat jati hai . Is liye jinka kaam ne ho un Device ko band kar de ya unme Internet Band kar de .
Computer Ko Clean Kare
Apne Computer ko Clean rakhe usse cache or temp files ko delete karte rahe . Computer me faltu ka data rakh kar Hard Disk Full na rakhe , Apne computer ke Recycle Bin ko khali rakhe or computer ko clean rakhne ki kosisi kare . Isse aapka Computer sahi se kaam karega or aapki Internet Speed bhi sahi rahegi , Hang nahi karega .
Computer se virus Hataye
Internet ki speed slow karne me iska kaafi bada haath hai kuki agar aapke computer ya device me virus rahega to aapka system sahi se work nahi karega or fir Internet bhi slow chalega . To aap Apne system se virus ko hataye . virus hatane ke liye apne system me antivirus ko daale or scan kare taaki virus hat sake .
Dusre sabhi Software ko Update Rakhe
Computer ya apne Device ke sabhi software ko update rakhe . Jisse software related koi problem na create ho or ve sahi se kam kare or Internet ka use aap sahi se kar paye .
Faltu Ke Software Uninstall Kare
Computer ya apni divice se un programs or softwares ko hata de jo kaam ke nahi hai or ve apke internet ko use karte ho . kahne ka matlab ye hai ki aap bina kaam ke faltu ke software or App ko na rakhe .
Disk Cleanup Kare
Internet Ki speed apke system par dipend karti hai is liye samay samay par apne computer ki hard drive ki Disk ko cleanup karte rahna chahiye jisse aapki Hard Drive me Bekar ki cache delete hoti rahe or aapka system sahi se chale . Disk Cleanup se aapki download speed bhi badehegi .
Disk Cleanup Karne ke liye aap start menu me Disk cleanup likh ke search kare or fir jis hard drive ko clean karna ho usse select kare or clean kare .
To Friends is tareh se hum apni Internet ki speed ko badha sakte hai . Jo Hamne aapko upar bate batai hai unka dyan rakhe taaki aapki internet speed sahi rahe .
Computer Daily Shut down or restart Kare
Apne computer ko roj shut down kare maine kai logo ko dekha hai jo apne computer ko 4 , 5 din tak band nahi karte hamesha On rakhte hai jis karan se bhi kai baar internet ki speed par fark padta hia kuki computer slow work karne lagta hai To aapko aisi halat me computer ko restart ya thodi der shut down kar dena chahiye .
Ye Internet Ki Speed Kaise Badhaye Fast Kaise Kare post kaisi lagi coment kar ke jarur bataye . agar aapko Internet ki speed badhane ka koi tarika iske alava pata hai to hame comment kar ke jarur bataye or ye bhi bataye ki aapko ye post kaisi lagi . Jankari achi lagi ho to apne friends me share karna na bhule .
[su_divider]
Internet Ki Speed Kaise Badhaye Fast Kaise Kare , Internet Ki Speed Fast Kaise Kare , Internet Ki Speed Kaise Badhaye , Internet Ki Speed Badhane Ka Tarika , Internet Ki speed Fast Karna ka Easy Tarika
Bhai Apse Ek Baat Puchne Thi Hamri Internet ki DOWNLAOD Speed 2 mb a rahi hai full par bech ma chal nahi rahi hai Koi Tariqa Batye
Aapne bahut accha article share kiya hai so thanks (technologyinhindi.com)
very nice info.
Thanks For Comment … Akash!
internet ki speed badane ka jo tarika bataya hai kamal ka hai bro.