Kharab Memory Card ya Pen Drive Ko Kaise Thik Kare
Kharab Memory Card ya Pen Drive Ko Kaise Thik Kare ( Corrupted Memory Card Ya Pen Drive Ko Kaise Repair Kare ) Friends aaj ki post bahut hi kaam ki hai jaisa ki aap tittle me jaan hi gaye honge ki aaj hum Damaged Memory Card Ya Pen Drive ko sahi karne ke bare me batane ja raha hu . Maire friend ka ek pen drive kharab (Corrupt) ho gaya, pen drive ka space hi nahi show ho ra tha or vo bola ab isko fekhna padega maine bola nahi aisa ku karega ye to sahi ho sakta hai , vo nahi mana maine fir usko sahi kar ke dikhaya or vo sahi ho gaya . Fir mujhe laga ki aisa to bahut logo ke saaath hota hoga or jab kisi ka Memoey card ya pen drive corrupt ho jata hoga to vo usko fek dete honge kuki unko nahi pata ki Kharab Memory Card ya Pen Drive Ko Kaise Thik Kare , is liye maine aaj is information ko share karne ki sochi taaki sabki help ho sake.
Friends agar aapka Corrupted Pen Drive ya Memory card computer se connect ho raha hai or show ho raha hai to vo aaram se sahi ho sakta hai . jaise aap niche image me dekhe ek pen drive hai jo computer se connect to ho gaya par uska koi space nahi show ho ra na hi Format ho ra hai , error aa ra hai kuki ye corrupted pen drive hai .
Friends kai bar aisa hota hai ki jab hamari pen drive , memory card ua SD card corrupt hota hai to uska size kam dikhata hai jaise agar vo 8 GB ka hai to 100 MB ya usse bhi kam kitna bhi dikhata hai , or agar hum usko format karte hai to bhi koi frek nahi padta , yaha ptak ki kai baar uska koi space hi nahi dikhata . Niche image me dekhe iska space 0 dikha ra hai jab ki ye 16 GB ka hai , to ye corrupted hai .
To friends aapko chinta karne ki koi jarurat nahi hai , aapke sabhi savalo ke javab yaha par milenge jaise – Kharab Memory Card Ko Kaise Thik Kare ? , Corrupted Pen Drive Kaise Thik Kare ? Kam Space dikha ra hai, Damaged Memory Card Ya Pen Drive hai to usko kaise Repair Kare ? To Agar aapke Memory card ya pen drive me is terah ki problem hai to aap bade hi aaram se usko sahi kar sakte hai . Me jo aapko tarikha batunga isme aapko alag se kisi software ki jarurat nahi hai , koi bhi isko bade aaram se kar sakta hai , Bas aap dyan se is post ko padhte rahiye to chaliye jante hai Kharab Memory Card ya Pen Drive Ko Kaise Thik Kare
Kharab Memory Card ya Pen Drive Ko Kaise Thik Kare
Jyada tar corrupted pen drive ya memory card me size kam dikhata hai ya kuch bhi show nahi hota hai , format nahi hota, is type ki problem rahti hai . To aap chinta na kare agar corrupted pen drive / memory card apke computer me show ho raha hai (yani ki connect ho raha hai ) to hum bade hi aarm se Corrupted pen drive ya memory card ko sahi kar sakte hai . Niche diye gaye steps ko follow kare .
Step 01 : Sabse pahle aap apne corrupted pen drive ya memory card ko computer se connect kare . Connect karne ke baad confirm kar le ki vo new device aapke computer se show ho .
Step 02 : Ab aap windown ke icon par click kare or search kare , Adhik jankari k liye niche image dekh .
- Search me cmd likh kar search kare .
- jaise hi aap cmd mikh kar search karenge , search result me dekh aapko Command Prompt likha huva milega , Us par right click kare or fir Run as administrator par click kar de . (uper image me point 2 dekh) .
jaise hi aap Command Prompt par right click kar ke Run as administrator karenge vaise hi aapke samne Command Prompt ki windows open ho jayegi , yaha par hum bahut hi aasan si kuch command likhenge or Damaged appni pendrive / memory card ko thik (repair) kar lenge .
Step 03 : Command Prompt ke open hone ke baad hame yaha par sabse pahli command jo likhni hai vo hai diskpart . diskpart command ko likhe or keyboard me Enter button ko dabaye . niche image me dekhe kar samjhe .
Step 04 : disk part likhne ke baad thodi der intjaar kare , Aap DISKPART > me jab aa jaye to ab hame yaha par list disk command ko likhna hai or Enter button ko dabana hai . niche image dekh .
Step 05 : list disk command ko likhene ke thodi der baad aapke samne aapke computer me connected sabhi hard disk , pen drive ya memory card yaha par aa jayenge . Ab ya step aapko dhyan se karna hai , yaha par aapko apni us Disk ka pata karna hai jo aapki corrupted pen drive ya memory card ho . Jaise agar aap niche image me dekhe to yaha par maire computer ki 4 disk dikh rahi hai , jisme se tin disk ka size 931 GB dikha ra hai jo ki mairi computer hard drive hai , or disk 3 ka size 14 GB dikha ra hai jo ki maira pen drive hai , To aap bhi apne pen drive / memory card ka pata lagaye kuki hame us disk ko selet karne ke liye disk number dalna hai .
Pen drive / Memory card vali disk ka pata lagane ke baad , select disk # command ko type kare , dyan rahe yaha par aapko # ki jageh apne pen drive/Memory card ka disk number likhna hai . maira pen drive disk 3 hai (uper image me dekhe) to me yaha par likhunga select disk 3 or Enter button ko dabaunga . (uper image me dekhe) .
Step 06 : disk select karne ke baad ab ham usko clean karenge . ab aap clean likhe or Enter button dabaye . niche image dekhe .
Step 07 : cleaning succeeded ka massage aane ke baad ab aapko create partition primary likhna hai or Enter button dabaye . Is command se partition banta hai . niche image me dekhe .
Step 08 : Partition create hone ke baad aapko massage aa jayega . Ab hame apne corrupted memory card / pen drive ko fat32 format me quick format karenge . To format karne ke liye ab aap format fs=fat32 quick ko likhe or Enter button ko dabaye . niche image me dekhe .
format fs=fat32 quick lickh ke jaise bhi Enter button ko dabayenge , vaise hi aapke pendrive ko format karne ki process chalu ho jayegi . Todi der intjaar kare jab format ki process 100% ho jayega to niche massage aa jayega ki – 100 percent completed . Is type ka massage aate hi aap samajh jaye ki sab process ho chuki hai , Or Apka corrupted pen drive / memory card bilkul sahi ho chuka hai .
Ye Bhi Jaane :
- Folder Ke Icon Me Apni Photo Kaise Lagaye
- YouTube Se Paise Kaise Kamaye
- VLC Media Player Se Screen Record Kaise Kare in Hindi
Ab aap cmd ki windows ko band kar de or my computer me ja ke apne pen drive/memory card ko dekhe sakte hai , Umid hai ki ab aapka pen drive / memory card thik ho gaya hoga . Ab aap apne pen drive / memory card ko my computer me ja ke rename kar ke koi bhi name de sakte hai .
Friends is terah se aap bade hi aaram se Kharab Memory Card ya Pen Drive Ko Thik Kar sakte hai . Aapko hamari ye information kaisi lagi , Kya is information se aapka Kharab Memory Card ya Pen Drive sahi huva ? hame comment kar ke bataye. Agar aapko Damaged Memory Card Ya Pen Drive ko thik karne me problem ho rahi hai to aap niche comment kar ke puch sakte hai , hum aapki help karenge . Agar ye puri jankari aapko pasand aayi ho to apne friends or family ke sath share kare jisse unko bhi Corrupted Memory Card Ya Pen Drive Ko Kaise Repair karte hai pata chal sake .
sir, mere computer me drive H aa raha hai lekin select disk nahin ho raha hai kya karun