mCent Mobile App Se Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jankari
mCent Mobile App Se Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jankari aap ko is post me milegi . Aaj me aako ek aise App ke bare me bataunga jis app ko use karke aap mobile se paise kama sakte hai . iss app se pasie kamana bahut hi aasan hai or har koi Paise kama sakte hai . mCent se kamaye huve paiso se aap Free Recharge kar sakte hai . mCent se pasie kamane ka tarika kafi popular ho gaye hai . To aaj hum janege ki mCent Mobile App Se Paise Kaise Kamaye .
mCent Mobile App Se Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jankari
Friend aaj kal har koi mobile use karta hai or sab Whatsapp , Facebook or other Apps ko bhi use karte hai . Facebook , Whatsapp jaisi Apps ko chalane ke liye hu har mahine 3000 Rs tak ka recharge – balance dalvate hai . Par jara sochiye agar aapke phone me Free Recharge ho jaye to … huu .. to isi liye hum le kar aaye hai mcent aap . ye app hame App ko install karne ke Paise deta hai or un paiso se hum free rechage kar sakte hai . Agar hum apne friend ko refer karte hai to bhi pasie deta hai . chalye iski puri jankari lete hai .
mCent mobile app kya hai or is mCent Mobile App se hum Paise Kaise Kamate hai :
mCent ek mobile app hai. Is app ko hum apne android mobile me install kar ke paise kama sakte hai . mCent app ko jab hum apne mobile me install kar lete hai to, is app me kai sare offer dikhai dete hai jaise isme kai sari dusari mobile app dikhengi or in apps ko hum agar apne mobile me install karte hai to hume paise mil jate hai . jin paiso ka use kar ke hum apne mobile me Free recharge kar sakte hai . Agar hum apne dosto ko bhi is app ko apne link se share karte hai or ve app ko install karte hai to bhi hum paise kamate hai .
To friends step by step shikhte hai ki mCent Mobile App Se Paise Kaise Kamaye or apne Mobile me Free Recharge Kaise Kare.
mCent ko Mobile me Install Kaise Kare or Paise Kaise Kamaye steps :
Step 01 :
mCent Mobile app ko install karne ke liye sabse pahle aap yaha par click kare : mCent App
Fir mCent app ko Install kare . Install karne ke liye INSTALL ke button par click kare . niche image dekhe :
Install ki button par click karte hi mCent app intall hone lagegi . sabse pahle ek pop up aayega needs access to ka vaha par ACCEPT ki button par click kar de . niche mage dekhe . aapki app install honi chalu ho gayegi.
mCent App abhi Download kare : Download mCent App
Step 02 :
mCent mobile app ke install hone ke baad . aap mCent app ko open kare . Open karne ke liye OPEN ki button par click kar de . niche image dekhe .
Step 03 :
mCent app ke open hote hi aapke samne ek page aayega . hum is app ko pahli baar use kar rahe hai is liye hume mcent aap me account banana padega . Account banane kr liye Sign Up par click kare . adhik jaankari ke liye niche image dekhe .
Step 04:
Sign Up ki button par click karte hi hamare samne ek new page open hoga yaha par hume apni kuch detail bhrni hai .
- yaha par apni country select kare . hum India ke hai to yaha India selete karenge .
- yah par apne Mobile number daale .
- yaha par language select kare . English
- yaha par mCent app ke liye Password dale . (next time mCent account me login karne ke liye isi password ko daalna hai)
- Sign Up ki button par click kar de .
Step 05:
Sign Up ki button par click karte hi . mCent se aapko 4 – digit ka code sms se aayega (5 – 10 min intjaar kariye aa jayega). us code ko iss page par daalne hai or account ko confirm karna hai .
- yaha par mCent se aaye huve Code ko daliye .
- Code ko dalne ke baad ap Confirm ki button par click kar de .
Agar aapko kaafi der hone ke baad bhi mCent se koi code sms se na aaye to aap Re-send SMS ki button par click kar de . uper image dekhe .
To Friends accout confirm hote hi aapka mcent par account ban jayega . To chaliye next step me hum dekhte hai ki mCent de App ko install karke Paise Kaise Kamaye .
mCent App se Paise Kaise Kamaye :
Hamare mobile me mCent app install ho gayi hai ap aap sonch rahe honge ki ab kya kare . hu…. to friends mCent se hum kai tarike se paise kama sakte hai . sabse esay tarika hai ki jo app vo hume dekhaye use hum instal kare or Paise Kamaye .
Dusra ye ki hum apne mCent app link ko friends ko send karke unse app install karvaye . Agar ve app install karenge to aap ko commission milega or aap Paise kamayenge . chaliye ek ek karke jaane ki hum mcent se kaise kamayenge .
1 . Apps ko install karke Paise Kamaye :
mCent Account banane ke baad jab hum app ko open karenge to hamare smne kai saare app dekhai denge . hume in apps ko apne mobile me install karna hai or paise kamane hai . par yaad rahe agar aapne kisi aise app ko install kiya jo aapke phone me pahle se install hai to uske paise aapko nahi milenge .
Important : ek bahut hi useful tip ye hai ki aap mCent install karne se pahle apne mobile se popular apps ko uninstall kar de or fir un apps ko mCent se Install kare jis se aap ko jyada fayda hoga .
To yaha par me ek app ko install kar ke aapko bata deta hu ki kaise paise kamaye . maine mCent app ko open kar liya hai mujhe yaha par kai sare apps dikhi de rahe hai . niche image dekhe .
me yaha par sabse pahli app Holiday IQ ko install karunga , Jisko install karne par mujhe 150 Rs milenge . Holiday IQ par click kar de.
Jaise hi me holiday IQ ko install karne ke liye us par click karunga vaise hi maire samne ek page open hoga jaya par us app ke baare me informtion hogi or ye bhi likha hoga ki agar me us app ko install karta hu to mujhe kitne paise milenge . niche image dekhe .
yaha par dekha raha hai ki agar me is app ok install karta hu to mujhe 150 Rs milenge . to is app ko install karne ke liye me Try this app ki button par click kar dunga . uper image dekhe .
ab apke samne ek pop up aayega yaha par aapna internet browser select kare . Chrome ya koi bhi or App ko open kare .
Ab aapke samne google play store open ho jayega . ab yaha par aap us app ko install kar le . install karne ke liye INSTALL ki button par click kare .
App ke install hone ke baad App ko thodi der chalaye . App ko band na kare na hi back button dabaye . Thodi der me aapke phone me notification aayega niche image dekhe .
Agar notification nahi aata hai to bhi darne ki koi baat nahi hai . Thodi der ke baad App ko minimize kar de or fir vapes se mCent open kare .
mCent me IN PROGRESS tab me jaaye yaha par aapko puri information mil jayegi . app install hote hi vo app IN PROGRESS me aa jayegi .
Ab mCent me us App ko install karne ke Paise aa jayenge . agar aapko App install hone ke paise nahi dekhta hai to aap thoda intjaar kare thoda time lag sakta hai . is tareh se aap mobile App ko mCent se install kar ke , Paise kama sakte hai or Free Recharge Kare sakte hai . chaliye ab dusra tarika dekhte hai mCent se paise kamane ka Free Recharge Paane ka .
2 . mCent se Friends ko invite kare or Paise Kamaye :
mCent se aap apne friends ko apne link se invite kare . Jab aapke friends use link par click kar ke iss app ko download karenge or ve bhi mcent ka use karke apps ko install karenge to aap ko Paise Milenge .
aap apne link ko WhatsApp , Gmail , SMS ..etc se apne friends ko send kar sakte hai or invite kar sakte hai .
Note : Apne link se kisi ko bhi invite karne se pahle aap khud mCent ka use kar ke kam se kam 1 app jarur install kare .
Friends ko invite karne ke liye aap mCent app me jaha par man ka icon bana hai vaha click kare . uper ki image ko dekhe .
Icon par click karte hi aapke samne link ko share karne ke option aap jayenge , aap kahi bhi apne link ko share kar sakte hai . niche image dekhiye ..
Link share karne ke liye aap kisi bhi icon par click kare . jaise Whatsapp , Gmai, Facebook … or apne link ko har jageh send kar de .
mCent Se Free Recharge Kaise Kare :
mCent se Pasie kamane ke baad aap un kamaye huve pasie se Free recharge kar sakte hai . Free rechage karne ke liye aap mCent app ko open kare or RECHARGE tab par clic kar de . niche image dekhe.
- RECHARGE par click kare
- Mobile number (jo aapne mCent app me add kiya hoga aa jayega)
- Recharge amount select kare. jitne paise honge recharge karne ke liye ussi hisaab se yaha par option aayenge.
- RECHARGE ki button par click kare .
Ab aapke phone me free recharge ho jayega . Agar nahi hota hai to thoda intjaar kare , kabhi kabhi time lag jaata hai .
Friends to aap jan hi gaye ha ki mCent se Paise kaise kamate hai or Free Recharge kaise karte hai . To abhi turant is aap ko download kare or pasie kamaye .
Dosto aapko ye post mCent Mobile App Se Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jankari kaise lagi , Comment kar ke jarur bataye . agar kuch problem ho ya kuch is bare me puchna ho to comment jarur kare or apne friends me isse share kare .
Ye Bhi Padhe :
[su_divider top=”no”]
mCent Mobile App Se Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jankari , Free Recharge Kaise Kare , Mobile se Pasie Kaise Kamaye , mCent se Paise Kaise kamaye , Paisa Kamane ka Sabse Aasan Tarika , Mobile Phone Se Paise Kamane Ke Tarike
ONLINE YA OFFLINE PESA KAMANE KE LIYE APKE ANDAR TALENT KI JARURAT HOT HAI ONLINE AAP FREELACING KARE TO BAHOT SARE PESE KAM SAKTE HO ISME KOI TIME RESITRICTION NAI HAI
Sir mai toh blogging karta hu kya aap mujhe bta sakte hai kaise mai blogging mai success matlab 2017 me kya oppurtunity hai ? (paisekamaye.in)
Apane blog me post karne me focuses kare or jyada se jyada post create kare jo logo ki help karne vale ho . Backlink par nahi . mobile related post kare or keyword search kare .
M cent Pe ye post behad saandaar hai,aapne iss post choti choti bato ko explain kiya hai.
Thanks.
Bahut Badhiya ,bahut sandaar aur bariki se explain kiya hai aapne .
Such me padh ke dil khus ho gaya.
Thank u so much
See again.
Thanks For Comment ..
Hume khusi hai ki aapko hamari jankari acchi lagi .
हेलो सर मैंने एमसेंट एप्प इंस्टॉल कर ली है पर दिक्कत यह है कि एमसेंट एप्प ओपन करता हूं तो उसमें बहुत सारे ऐप दिखाई देते हैं इस ऐप को मैंने इंस्टॉल कर ली है पर अभी तक उस ऐप का पैसा मुझे नहीं मिला है यह पैसा मुझे कैसे मिलेगा प्लीज सर बताइए
Nice post
meri site bhi check karke bataye kaisi hai
hindimeseeken.com
Thanks For Comment ..
Website sahi h aapki , new or unique post banye , nakal karne ki galti na kare.
aapke likhane ka skill bahut hi achchha hai. (webrupees.com)
Thanks For Comment Priya !
Samsung z2 me app install nahi ho raha hai kaise install kare
Badiya article Dear.. Thanks ye sb zruri tips btane k liye…
Mcent me point badge me khatir recvast
Sir phle mere recharge 149242 ka 199 wala hota tha ab offer change ho kr 850900 kuch ho gya h sir please help sir