Mobile se Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye Add Image in Mp3 Song
Mobile se Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye Add Image in Mp3 Song . Frinends aaj me aako is post me batne vala hu ki kaise hum kisi bhi gane me apni photo ko lagate hai or apni photo ko song cover photo bana sakte hai . aapne kai baar dekha hoga ki jab aap kisi gane ko apne mobile par play karte hai to gane ke play hote samay koi image aapko screen par rahti hai . To hamre man me bhi ye aata hai ki yaha par mairi photo aaye .
Iske kai fayde bhi hai agar aapk singer hai or gane banate hai to aap apne gano me apni image ko laga sakte hai . Jisse vo gana kahi par bhi share ho or log us gane ko play kare to aapki photo aaye , isse aap popular honge or log aapko janne lagenge , viase iske kaafi fayde ho sakte hai par jyda baat na karte huve chaliye jante hai ki Mobile se Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye Add Image in Mp3 Song .
Mobile se Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye Add Image in Mp3 Song
Mp3 song me apni photo lagane ke liye hame apne mobile me ek android app ko install karna hoga jis mobile App ko me batane vala hu vo Free hai or uska size kafi kam hai . To chaliye is app ko install karte hai or kisi bhi gane me apni photo lagate hai .
iske liye apne mobile par google play store me jaye or google play store me jane ke baad uske search box me likhe star music tag editor or fir search kare .
Star Music Tag Editor Search karne ke baad aapke samne kai sari Apps aa jayengi inme se niche image me di hui App par click kare iska icon niche image me dekh le isi par click karne hai .
Ab Star Music Tag Editor ke page me chele jayenge yaha par INSTALL ki button par click kar de or isko apne mobile me install kar le .
Star Music Tag Editor ko apne mobile me install karne ke baad open kare . open karte hi aapke samne niche di gayi image jaisi screen aayegi , yaha par Song tab me aapko apke mobile ke sabhi songs dekh rahe honge . jis gane me image set karni ho us par click kare .
Ab new screen me us gaane ki sabhi information aa jayegi or yaha se aap ye sab information ko change kar sakte hai .
- Pick picture par click kar ke song me koi bhi image ko set kar sakte hai . Pick picture par jaise hi click kar ke aap apne mobile se koi bhi image ko select kar sakte hai.
- *Album jaha par likha hai us jageh par hume Album ka jo bhi name rakhna hai vo bharna hai , Album me name likhna jariri hai varna settings save nahi hongi . yaha par or bhi bahut sari settings hai jaise Song Title , Artist .. insabko bhi agar aap bharna ya change karna chahe to kar sakte hai .
- Image set karne ke baad or jo information bharna hai vo bharne ke baad uper Save par click kar de . uper ki image me 3 dekhe .
Save par click karte hi aap ab back chle jayenge or jo image hamne apne gane me set ki us image ko ham apne Mp3 song ke aage dekh sakte hai .
To friends is tareh se hum kisi bhi song me apni photo laga sakte hai or uski information ko edit bhi kar sakte hai .
Umid hai ki aapko ye post Mobile se Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye Add Image in Mp3 Song jarur pasand aai hogi is information ko apne friends me share jarur kare or agar aapko isko karne me koi problem aa rahi hai to hume niche comment kar ke bataye .
Video Tutorial :
Hindi ke is video tutorial me aap sikhenge ki kisi bhi mp3 gane song me apna photo kaise lagaye ( Add Image in Mp3 Song in Android ) .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=49c8p81CwMg”]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Mobile se Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye Add Image in Mp3 Song , Kisi Bhi Gane me Apni Photo Kaise Lagaye , MP3 Gane Me Apni Photo Kaise Lagaye , Add Image in Mp3 Song in Android , Kisi Bhi Mp3 Song Me Apni Photo Kaise Lagaye . song me photo set karne ka aap
Bhai side mein jo image lagi hui hai pdf file kaise banaye aapne ye image kaise banayi iss mein wordpress ka plugin use kiya hai agar ha to kon sa plugin hai.maine issliye puchha kyuki yah ek clickable image hai.
agar app ke paas smart phone nahi hai, to aap yehi kaam tagmp3 website pe bhi kar sakte hain.