PDF File Ka Size Kam Kaise Kare Compress PDF in Hindi
Aaj hum janege ki PDF File Ka Size Kam Kaise Kare Compress PDF in Hindi . Friends isse pahle ki post me hume jana ki PDF Kya Hai or PDF File Kaise Banate Hai . Ham PDF file banate hai or internet se Download bhi karte hai kuki PDF file internet par bahut popular hai . PDF me aaj kal kuch websites me job apply karne or online kuch form bhi bharne padte hai or submit bhi karne padte hai .
Online Hamari PDF file jaldi se upload ho ya kisi ko kuch informaion PDF me dena ho to kam space le iska kaafi dyaan rakhna padta hai . PDF File Ka Size Kam rahega to isse sabhi ko suvidha hogi . To chaliye aaj ki iss post me jante hai ki PDF File Ka Size Kam Kaise Kare Compress PDF in Hindi
PDF File Ka Size Kam Kaise Kare Compress PDF in Hindi
PDF File ko Compress karne ke liye kai sare software bhi aate hai , or PDF file ko hu online websites ke dvara bhi free me bina kisi software ko install kiye in website se PDF File Size ko reduce kar sakte hai .
Software ka use kar ke agar aap PDF file ka size kam karna chahte hai to aap apne computer par Adobe Acrobat ko install kar le or jis PDF file ko compress karne ho use ko Adobe Acrobat me open kare or Fir menu me File par click kare or option me se Save As Other par click kare or Reduced Size PDF.. par click kare . (File >> Save As Other >> Reduced Size PDF..) . To iss tareh se aap PDF file ka size kam kar sakte hai .
Mujhe Online PDF compressor kafi pasand hai kuki in ko software ki tareh install kar ke nahi rakhna padta . To chaliye me aapko kuch online websites ke bare me batate hu jin se aap aasani se Free me PDF File ka size Compress kar sakte hai .
Online PDF Compressor se File Size Kam Kare
Ye kuch websites hai jin ka use kar ke aap PDF File Size ko reduce kar sakte hai . PDF file size ko kam karne vali website to bahut hai par ye websites kafi popular hai .
- pdfcompressor.com
- smallpdf.com/compress-pdf
- www.ilovepdf.com/compress_pdf
To chaliye ab in website se PDF ko compress kaise karte hai vo jante hai .
pdfcompressor.com se PDF compress kaise kare
sabse pahle aap pdfcompressor.com website ko open kare .
UPLOAD FILE ki button par click kare jis PDF file ko aap compress karna chahte hai us file ko ape computer se select kare . Aap File ko yaha par drag and drop bhi kar sakte hai .
Computer se PDF file select karne ke baad , File apne aap Upload hone lagegi or Upload hone ke baad , thodi der intjaar kare aapki file Compress honi start ho jayegi , compress hone ke baad apke samne download ka option aa jayega . Download ki button par click kar ke Compress ki hui PDF file ko aap download kar sakte hai .
smallpdf.com/compress-pdf se PDF File Kaise Compress Kare
sabse pahle aap is link par jaye smallpdf.com/compress-pdf . apne internet browser me smallpdf.com/compress-pdf type kare or Enter dabaye .
website open hone ke baad Choose File par click kare or apne computer se PDF file ko select kare jis file ko aap compress karna cahte hai .
File select karte hi vo upload hone lagegi . Upload hone ke baad apne aap compress hogi or compress hone ke baad apke samne usko download karne ka option aa jayega . Download File Now par click kare or apni compressed file ko download kare .
ilovepdf.com/compress_pdf se PDF File Compress Kare
aap iss website ko open kare , apne browser me type kare ilovepdf.com/compress_pdf or fir Enter button dabaye .
website ko open karne ke baad aapko yaha par ek Select PDF file ka button dekhega us par click kare . Apni PDf file ko computer se select kare jis ko aap compress karna chahte hai .
File Select karte hi aapki file upload ho jayegi . ab hue PDF File ko Compress karne ke liye COMPRESSION LEVEL ko select kare or COMPRESS PDF ki button par click kar de .
Thodi der intjaar kare aapki PDF file compress hone lagegi or compress hone ke baad aapke samne usko download karne ke liye Dwonload compressed PDF ka button aa jayega . Button par click kar ke aap apni File ko download kar le .
Is tareh se aap kisi bhi PDF File ka Size ka kar sakte hai . aapko hamari ye information PDF File Ka Size Kam Kaise Kare Compress PDF in Hindi kaisi lagi hame comment kar ke jarur bataye . Agar isse related aapka koi bhi saval hai to aap hume comment kar ke jarur bataye .
Apne Dosto or family ke sath ye information jarur share kare taaki unhe bhi is ke bare me pata chale .
[su_divider top=”no”]
PDF File Ka Size Kam Kaise Kare Compress PDF in Hindi , PDF File Ko Compress Kaise Kare , PDF File ka Size Kaise Kam Kare, PDF File Size Ko Reduce Kaise Kare .
Thankuuu sir bahut acchi Jaankari Share ki hai aapne .(hintadvice.com)
Thanks For Comment Meghraj !