Photoshop Me Canvas Size Kaise Change Kare
Photoshop Me Canvas Size Kaise Change Kare Friends aaj ki is post me hum janege ki photoshop me Canvas size ko kaise change kiya jata hai or canvas size settings ke bare me . Kai baar hum Photoshop me aise document me kaam kar rahe hote hai jisme hume canvas size ko change karne ki jarurat pad jaati hai kuki hume kaam karne ke liye jyada working space ki jarurat padti hai , to chaliye jante hai .
Photoshop ki pichli post me hume Photoshop image size settings ke bare me jana tha , Friends bahut sare log image size or canvas size me confuse ho jate hai par me aapko pata du ki ye dono bahut hi alag chije hai . Image size ka matlab image ka size jaisa ki iska name hai agar hum image size badalte hai to hamari image chti ya badi hoti hai , Or Canvas size ko hum badalte hai to hamara working area change hota hai , hamari image me koi change nahi hota hai .
Ye Bhi Jaane :
Photoshop Me Canvas Size Kaise Change Kare
Photoshop me Canvas Size change karne ke liye sabse pahle hume Photoshop canvas size settings ko open karna padega or vahi se hum bade hi aaram se canvas size ko change kar sakte hai. Photoshop me canvas size settings tabhi dikhai deti hai jab Photoshop me koi image ya document open ho . To canvas size settings ko dekhne ke liye kisi Image ko Photoshop me open karne ke le .
Photoshop me image open karne ka baad Canvas size ko adjust karne ka liye or Canvas Size settings ko open karne ke liye Top menu me jaye or fir Image par click kare or fir jo option aayenge usme se Canvas Size… par click kare ( Image >> Canvas Size… ) . Canvas size settings ka keyboard shortcut Alt+Ctrl+C hai aap chahe to canvas size settings ko open karne ke liye shortcut key ka bhi use kar sakte hai .
Jaise hi aap canvas size par click karenge aapke samne niche di gayi image jaisi window open hogi yaha se aap bade hi aaram se Canvas settings ko adjust kar sakte hai .
- yaha par aap apne document ka current canvas size dekhe sakte hai . uper image me point 1 dekhe .
- Yaha par aapko width or height me new canvas size ko dalna hai jo aap rakhna chahte hai .
- Yaha se aap Anchor point ko set kar sakte hai . jyada ter isko center me hi rakhte hai , jo ki by default rahta hai .
- Canvas extension color me aap extend hone vale background ka color set kar sakte hai .
- Seb settings ko apni jarurat ke hisaab se bharne ke baad OK ki button par click kar de .
To Friends is tareh se aap bahut hi aaram se Photoshop me kisi bhi document ka canvas size change kar sakte hai . umid hai ki aapko hamari ye post Photoshop Me Canvas Size Kaise Change Kare bahut hi acchi lagi hogi . Agar isko karne me ya isme koi problem aa ri ho to comment kar ke jarur puche .
Video Tutorial :
Is Hindi Photoshop Video Tutorial me aap jange Photoshop me Canvas settings ke bare me or Photoshop Me Canvas Size Kaise Change Karte Hai ( How To Change Canvas Size in Photoshop ) video dekhe, aap Photoshop Canvas Settings ko ache se samajh jayenge .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=KgWCk3UJYQ4″]
Agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Photoshop Me Canvas Size Kaise Change Kare, Photoshop Me Canvas Size Kaise Change Karte Hai, Photoshop Video Tutorial, Photoshop Tutorial in Hindi , Hindi Photoshop Tutorial , Photoshop Sikhe .