Photoshop Chalane Ke liye System Requirement Kya Hoti Hai
Photoshop Chalane ke liye System Requirement Kya Hoti Hai in Hindi , Aaj ki post me hum janege ki Photoshop ke liye system requirement kya hoti hai yani ke ye bhi kah sakte hai Photoshop ke liye kis tareh ke computer ki jarurat hoti hai or kya kya usme hona chahiye .
Friends aapne bahut se logo ko kahte huye suna hoga ki maire system me Photoshop sahi se nahi chalta hai ya bahut hi slow chalte hai to kai bar iski problem ye hoti hai ki unke system me us Photoshop version ko chalane ke liye system me sahi chije nahi hoti hai ya kam hoti hai , jaise RAM kam hai , Hard disk space ki problem hoti hai .
To aap chahe koi bhi photoshop ke version use karte ho aap bahut aaram se pata laga sakte hai ki kisi bhi Photoshop version ke liye system requirement kya hoti hai . To chaliye jante hai Photoshop Ke liye System Requirement Kya Hoti Hai .
Photoshop Chalane Ke liye System Requirement Kya Hoti Hai
Photoshop ki system requirement har photoshop version ke liye alag alag hoti hai , Me aapko aaj Photoshop CC ke system requirement ke bare me bataunga , par agar aap kisi or Photoshop ke version ko use karte hai to me aapko adobe photoshop ki website ka link de deta hu jaha se aap kisi bhi Photoshop version ki system requirement jo jan sakte hai .
Adobe Photoshop ki website me system requirement ke bare me jaane ke liye yaha click kare : Photoshop system Requirement
Photoshop CC 2017 ki system requirement :
Photoshop windows or mac dono ke liye hai to chaliye dono ki system requirement ko ek ek kar ke dekhte hai .
Windows :
- Processor : Intel Core 2 ya AMD Athlon 64 , Or kam se kam 2 GHz ya usse fast processor hona chahiye .
- RAM : kam se kam 2 GB ki RAM photoshop ko chahiye , par adobe ne 8 GB RAM ko recommend kiya hai .
- Hard Disk Space : Agar aap photoshop ka 32 bit version ko install karne chahte hai to aapke hard disk me 2.6 GB space chahiye or 64 bit version ke liye 3.1 GB space chahiye . Or iske alava kam karne ke liye alag se aapke system me space hona chahiye .
- Display : Kam se kam 1024 x 768 ka display to hona hi chahiye , lakin photoshop me 1280 x 800 resolution ko recommend kiya hai . Or graphic card 2 GB ka .
- Operating System : Windows 7 ( service pack 1) , windows 8.1 ya Windows 10
MacOS :
- Processor : Multicore intel processor hona chahiye jo 64 bit ko support kare .
- RAM : kam se kam 2 GB ki RAM photoshop ko chahiye , par adobe ne 8 GB RAM ko recommend kiya hai .
- Hard Disk Space : 4 GB space chahiye Photoshop ko install karne ke liye . Or iske alava kam karne ke liye alag se aapke system me space hona chahiye .
- Display : Kam se kam 1024 x 768 ka display to hona hi chahiye , lakin photoshop me 1280 x 800 resolution ko recommend kiya hai . Or graphic card 2 GB ka .
- Operating System : macOS 10.12 (sierra) , Mac OS X 10.11 (El capitan) , Mac OS X 10.10 (yosemite)
To friends ye thi Photoshop CC 2017 ke liye system requirement , agar aapko koi dusra photoshop ka version hai to is website se uski system requirement ki jankari prpta kar sakte hai yaha click kare : Photoshop system Requirement
Aapko ye post kaisi lagi hume comment kar ke bataye or apne sujhav hume jarur de . Jankari achci lage to share jarur kare .
Video Tutorial :
Is Photoshop Video Tutorial Me aap janege ki Photoshop Chalane Ke liye System Requirement Kya Hoti Hai (System Requarment For Photoshop in Hindi) video dekhe aapko iske bare me sari jankari milegi .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=fG3dxIlsrMo”]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Photoshop Chalane Ke liye System Requirement Kya Hoti Hai, Photoshop Ke liye System Requirement, System Requirement For Photoshop in Hindi , Photoshop Ke Liye Computer , Photoshop Sikhe