Photoshop Sikhe Photoshop Me New Document Kaise Banaye
Photoshop Sikhe Photoshop Me New Document Kaise Banaye aaj k iss tutorial me hum janege ki photoshop me new document ko kaise banate ya lete hai . Photoshop sikhne ka sabse pahla step yahi hai ki hum Photoshop me New Document ko banana sikhe . To aaj ki is post me hum Photoshop me new document ko banana or uski sabhi settings ke bare me janege .
Photoshop Sikhe Photoshop Me New Document Kaise Banaye
Photoshop me New Document ko banana koi badi baat nahi hai . Jaise hum duse software me new file ya document ko banate hai vaise hi hum isme bhi hum new document ko bana sakte hai par photoshop me jab hum new document ko banate hai to new document ko banane se pahle hamare samne kai settings aati hai , Hume in settings ko samajhna chahiye .
In new document ki settings ko janna hamar liye bahut jaruri hai ki kis setting se kya hota hai or ko si settings ka kab use kiya jata hai . To chaliye ab hum new Photoshop document ko banate hai or in seeting ke bare me jante hai .
Ye bhi Padhe :
- Photoshop sikhe
- Photoshop Kya Hai Puri Jankari
- Photoshop Sikhe – Photoshop Interface and Panel
- Photoshop Tools in Hindi Photoshop Sikhe
Photoshop Me New Document Kaise Banaye
Photoshop me new document banane ke liye aap Photoshop ko open kare or fir Top menu me File par click kare File par click karte hi aapke samne kai sare option aayenge in option me se New par click kare . Aap new document ko direct Keyboard shotcut ki madat se bhi bana sakte hai. New document ki shortcut key CTRL + N hai .
New par click karte hi aapke samne New popup window aa jayegi .
- Name me hame apni new document ka name dalana hai . yaha par aap apne document ka name dale jo bhi aapko rakhna hai .
- Preset me hum Photoshop me diye huve preset ko select kar sakte hai yaha par kai sare preset hai niche image dekhe .
agar aapko website ya internet ke liye image banani hai to aap yaha par Web ko select kar sakte hai , Mobile ke liye image babanani hai to Mobile & Devices ko select kar sakte hai. File ke liye agar kuch kaam karna hai to aap yaha par Film & Video ka preset choose kar sakte hai ya fir Default Photoshop Size bhi select kar sakte hai .
- New socument ka Width yaha se set kare .
- New document ki kya Height rakhni hai yaha par dale .
- Resolution me agar aap apni image computer , internet ya general use ka liye bana rahe hai to yaha par 72 Pixels/Inch rakhe . Agar appki image printing me use hone vali hai to fir Resolution ko 300 Pixels/Inch rakhe.
- Photoshop me Color Mode bhi kai tareh ke hote hai .
RGB Color ka use hum jyada tar karte hai par agar aap Image ko printing ke liye bana rahe hai to CMYK Color mode ko choose kare . Grayscale me hum back and white image bana sakte hai .baki color mode ka jyada use nahi hota hai .
- New document ka background kya rakhna hai vo hum Background Contents me set karte hai . yaha par hum New Document ka background color set kar sakte hai ya transparent bhi rakh sakte hai .
- New document ki settings ko bharne ke baad , New document banane ke liye OK ki button par click kare .
OK ki button par click karte hi Photoshop me ab new document ban jayega .
Iss tareh se aap Photoshop me new document ko bana sakte hai . Apko ye information kaisi lagi hai hume Comment kar ke jarur bataye . Acchi lagi ho to apne Friends me share jarur kare .
Video Tutorial : Photoshop me New Document Kaise Banaye
Is Hindi Video se app sikhenge ki Photoshop me New Dowcument Kaise Banate Hai ( How To Create New Document in Photoshop ). Is tareh ke Hindi video tutorial dekhne ke liye yaha click kare : Hindi Video Dekhe
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=_pQW8ytOfJA”]
Agar aapke ye video pasand aaya ho to Hindi channel ko YouTube par subscribe jarur kare , Subscribe karne ke liye yaha par click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact us. (Advertise with us )
[su_divider]
Photoshop Sikhe Photoshop Me New Document Kaise Banaye , Photoshop Tutorial in Hindi , Photoshop Sikhe , Hindi Photoshop Tutorial , Photoshop in Hindi , Photoshop me Photo Banana