Photoshop Sikhe Photoshop Me Status Bar Kya Hai
Photoshop Sikhe Photoshop Me Status Bar Kya Hai friends aaj hum photoshop me status bar ke bare me janege ki photoshop status bar kya hota hai or iska kaise use kiya ja sakta hai . Photoshop ko use karne vale bahut sare log status bar ke bare me nahi jante hai or pata nahi hota hai ki ye kaha hota hai .
Photoshop me jab bhi hum koi photoshop document ya image ko open karte hai to hume status bar dikhai deta hai status bar se hum apne document ke bare me kafi sari important bate pata laga sakte hai to chaliye hum iske bare me acche se jante hai .
Photoshop Sikhe Photoshop Me Status Bar Kya Hai
Friends jab bhi hum photoshop me koi image open karte hai to ye hame show hota hai ye Photoshop me left hand side niche show hota hai . jab tak aap koi image photoshop me open nahi karte yah show nahi hota hai . niche image dekhe .
Status bar me kai sare option hote hai jin ka use karne ke liye status bar me ek arrow ka nisaan bana hoga us par click karte hi aapke samne or bhi kai sare option aa jayenge .
jaise hi aap yaha par arrow ke icon par click karenge ye option aapko deikhai denge
- Adobe Drive
- Document Sizes
- Document Profile
- Document Dimensions
- Measurement Scale
- Scratch Sizes
- Efficiency
- Timing
- Current Tool
- 32- Bit Exposure
- Save Progress
by default yaha par Document Sizes select rahta hai . Chaliye in sabko ek ek kar ke jante hai ki kis option se kya hota hai .
Adobe Drive : agar aapne Adobe drive ka setup kar rakha hai to aap is option ka use kar sakte hai .
Document Sizes : Isko aap select karte hai to aap aasani se status bar me apne Document Size ko dekh sakte hai . ki agar aap apne document ko save karte hai file size kitna hoga .
Document Profile : Document Profile me aap apne current open document ki color profile ko dekhe sakte hai ki vo SRGB hai ya CMYK ya koi or vo sabhi information ko aap isko select kar ke status bar me dekhe sakte hai .
Document Dimensions : is option ko aap select karte hai to aap status bar me apne document ka dimension dekh sakte hai.
Measurement Scale : is option se document ka measurement Scale dekh sakte hai .
Scratch Sizes : Scratch size ke option se aap status bar me ye dekh sakte hai ki photoshop ko aapke document ko open or kaam kane ke liye kitna harddisk space chahiye or kitna aapke system me available hai .
Efficiency : isse aap photoshop ki RAM uses Efficiency ko dekh sakte hai .
Timing : Timing ke option ko select kar ke aap status bar me dekh sakte hai ki photoshop me kisi bhi process ko hone me kitna time lagta hai .
Current Tool : is option ko agar aap select karte hai to aapko status bar me us tool ka name dikhai dega jo aap Photoshop me use kar rahe honge.
32- Bit Exposure : agar aapka photoshop document 32 bit ka hai to aap is option ka use kar ke apne image ke disply exposure ko control kar sakte hai .
Save Progress : jab aap apne photoshop sile ko save karenge to aap is option ko select kar ke Saving ki processing ko persistent me dekh sakte hai .
To friends umid hai ki aapko Photoshop me status bar ke bare me ye jankari pasand aai hogi . agar aapko ye jankari achi lagi ho to comment kar ke batana na bhule .
Video Tutorial :
Photoshop ke is video tutorial me aap janege ki Photoshop me status bar kya hota hai or iska kaise use karte hai .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=1XXQUyV6njw”]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Photoshop Sikhe Photoshop Me Status Bar Kya Hai , Photoshop sikhe , Photoshop Status bar in Hindi , Hindi Photoshop tutorial , Photoshop Tutorial in Hindi