QR Code Kya Hota Hai Or Kaise Banaye in Hindi
QR Code Kya Hota Hai Or Kaise Banaye in Hindi aaj hum QR Code ke bare me janege . Aapne bahut sari jageh par QR Code ko dekha hoga or kai bar hum sochte hai ki ye kya hai . Aapke man me bhi agar QR code ko janne ki ikcha hai to aaj hum aapko QR Code kya hai , QR Code Kya Hota Hai , QR Code Ko Kaise Scan Kare or isse kisne banaye bhut sari jankari aapko denge . Umid hai ki aapko ye post acchi lagegi to chaliye jante hai QR Code ke bare me .
QR Code Kya Hota Hai Or Kaise Banaye in Hindi
QR Code ka aaj kafi jyada use hone laga hai , Website promotion me , Product details ko dene me yaha tak ki isse ab log apne WIFI ka password bhi bana lete hai . bahut sari websites in code ke jariye payment bhi leti hai . To kahne ka matlab ye hai ki QR code se log kafi kuch karte hai . chaliye aaj hum bhi QR code ke bare me detail se jante hai .
QR Code Kya Hota Hai
QR Code ka full form hai Quick Response Code . ye ek prakar ka 2d code hota hai jisko ham nahi padh sakte par machine is code ko padh sakti hai or isme chipi information ko dekh sakti hai . QR Code Black and White color ka hota hai jisme 2d boxs hota hai .
Apne QR code ko kai jagah par dekha hoga jaise ke ye QR Code kai sare poduct ke upar lage hote hai , bahut si website me in codes ko apne dekha hoga . Kuch log to QR code ko T-seart me bhi chapa lete hai .
QR Code is liye bhi jyada use hote hai kuki QR Code me jyada data aa sakta hai , Link aa sakta hai , Geo Location aap QR code me daal sakte hai , QO Code ko hum apne mobile se scan kar sakte hai or isme chii information ko dekh sakte hai . Aaj kal ke smart mobile me ye scanner pahle se bhi rakta hai agar nahi hai to bhi iski aphut sari Apps mil jati hai .
QR Code Kisne Banaya (QR Code History)
QR Code (Quick Response Code ) system ko 1994 me Toyota Group ke Denso Wave ne banaya tha . QR Code ko banane ka mukhy karan vehicles ke part ko track karne ke liye banaya tha . lakin baad me ye kaafi popular ho gaya or ab ye kaafi jageh par use kiya jata hai . Ab To lagbhag har product me iska use hota hai .
QR Code Kaha Use Kar Sakte Hai
OR Code ka use hum bahut jagah kar sakte hai . yaha par me kuch point aapko bataunga jin se aap ko idea aa jayega ki QR Code (Quick Response Code ) kaha use kiya ja sakta hai .
- Security : QR Code ko ham dekh kar nahi kah sakte hai ki isme kya hai , QR Code ko scan karna padega tabhi hume usme chipi information milegi .
- Payment : QR Code ka aaj kal kaafi jyada use ho raha hai PayTm se payment len – den me . To isse ka use aap iss tareh se bhi kar sakte hai .
- Product Details : Aap QR code ka use kar ke aap kisi bhi product ki detail de sakte hai . Jaise Apki koi company hai to aap apne product par QR Code ke jariye use Product ki details de sakte hai . Jo Bhi usse scan karega usse vo detail mil jayegi .
- URL : QR code ka use kai baar website link ke liye bhi use hota hai . QR code me aap URL bhi de sakte hai . Udahran ke liye aap YouTube Video ka QR code bana sakte hai . Agar koi QR code ko scan karega to vo use URL (Link) par chala jayega .
- Contact : QR Code ke jariye aap kisi ko contact details bhi de sakte hai . Jaise Mobie number , Social media details or jo bhi sab ka aap QR Code bana ke use kar sakte hai jo bhi scan karega usse vo detail mil jayegi .
- Text : koi Text massage agar aapko dena ho to bhi aap QR Code ka use kar sakte hai . Kisi ko kuch massage dena ho to bhi aap uska QR Code bana sakte hai .
- Password : QR Code me aap koi bhi password rakh sakte hai jaise WIFI ka password rakh sakte hai agar koi usko scan karega To vo WIFI se connect ho jayega .
- Website : Website ke liye bhi bahut se log QR Code ka use karte hai . Jaise Bookmark ka QR Code bana leta hai , Agar koi is code ko scan karega to website uske browser me bookmark ho jayegi .
- Coupon and Offer Details : Kai online shopping website QR Code ka use kar ke apne costumers ko Coupon or Offer dene me bhi use karti hai .
- Phone / SMS : Aap QR Code aisa bhi bana sakte hai jis ko agar koi scan kare to code me diye gaye number par call chali jaye , Ya SMS chala jaye .
To ye kuch uadhran maine aapko diye ki QR code ka use aap kaha kar sakte hai . In sab jagah par QR Code ka kafi use bhi hota hai . Chaliiye ab hum bhi QR code banate hai or sikhte hai ki QR Code Kaise Banaye .
QR Code Kaise Banaye
QR code ko banane ke liye bahut sari websites hai jin se aap online , Free me QR code bana sakte hai aaj me ek website ke bare me bataunga jo kaffi popular hai or use karna bhi easy hai iss website se Qr code banana bahut aasan hai . QR code banane ke liye aap niche diye gaye steps ko follow kare .
Step 01:
Sabse Pahle aap QR code banane vali website par jaye . QR code banane vali website ka name hai www.qr-code-generator.com aap is website par jaye . apne internet browser me www.qr-code-generator.com dale or fir Enter button dabaye .
Step 02:
Website open hone ke baad aapko niche di gai image jaisa page open hoga . Me apni website URL (Link) ka QR code banaunga .
- yaha par aap kis type ka QR Code banana chahte hai vo select kare . mujhe apni website URL ke liye QR code banana hai to me yaha par URL ko select karunga .
- Website (URL) yaha par me apni website ka link yani ki URL dalunga .
- yaha par static select karunga .
- ab Create QR code ki button par click kar denge .
Thodi der intjaar kare aapka QR code ban jayega .
Step 03:
QR code banne ke baad aapke samne QR code aa jayega . Or usko download karne ka option bhi aa jayega .
- QR code kisi format me download karna chahte hai vo select kare . ham yaha par JPG select karenge kuki hame apne QR code ki JPG image Chahiye .
- Download ki button par click kar de .
Dwonload ki button par click karte hi aapke QR code ki JPG image download ho jayegi.
QR Code Scan Kaise Kare (Read Kaise Kare)
Qr Code ko scan karne ke liye hum apne Mobile ka use kar sakte hai , Mobile me camera hona chahiye QR code ko scan karna ke liye. Aaj kal to QR code kai ombile me phle se hi rahta hai par agar aapke mobile me QR code reader nahi hai to aap chinta na kare aap QR code reader Apps ko apne mobile me install kar ke aaram se QR code ko read kar sakte hai .
QR code Scanner or reader ko install karne or isko kaise use kiya jata hai vo janne ke liye niche ke steps ko follow kare .
Step 01:
sabse phale aap Google Play store ko apne mobile par open kare . Uske baad google play store ke search box me qr code scanner likh kar search kare . niche image dekhe .
Step 02:
Iske baad aap search result me se aap QR Scanner for Android par click kare or Fir Usko INSTALL ke button par click kar ke install kare . aap chahe to koi dusri QR Scanner App ko bhi install kar sakte hai bahut sari Free Apps mil jayengi .
INSTALL ki button par click karte hi ye App mobile me install hone lagegi . thodi der wait kare or Install hone de .
Step 03:
QR Scanner for Android App ke install hone ke baad ab aap is App ko open kare . Open karte hi aapki screen par QR code scanner aa jayega . ab apne mobile camera ka use kar ke aap QR code ko scan kar sakte hai .
Jaise hi aapka QR code scan ho jayega vaise hi usmechipa data ya jo bhi usme hai vo aap dekhe sahte hai or vo action le sakte hai . To is tareh se aap QR code Scanner App ko apne mobile me install kar ke QR code ko read kar sakte hai .
Friends aapne aaj jana ki QR Code Kya Hota Hai Or Kaise Banaye in Hindi , QR code kaise scan kare kaise banaye or bhi hamne is ke bare me aapko bataya or mujhe lagta hai ki ab aap bi QR Code ko aasani se bana sakte hai or Scan bhi kar sakte hai .
Agar aapko hamari Information acchi lagi ho to share jarur kare . Apko isse sambandhit kuch puchna ho to niche comment kar ke aap hamse apne saval puch sakte hai . Hum aapki help karenge .
[su_divider top=”no”]
QR Code Kya Hota Hai Or Kaise Banaye in Hindi , QR Code Kya Hota Hai , QR Code Kya Hai , QR Code Kaise Scan Kare , QR Code Kaise Banaye , QR Code Kaise Read Kare .
Thank you sir
Thanks Nehal
Coding kesa bnaya ja skta ha coding bnane ka koi tareka btao
Coding kaise banaye ?
bhai coding bana ke kya karega..
Jo code bane hai unka use kar ke log kuck kuck banate hai
Apne name ka qr code banayenge…
Post ko debara se padhe isme QR Code hi banana bataya gaya hai.
Respected Sir….
Please coding bataye sir.
Or yeh coding kis software me kiya jata he??? Puri ummid he ki app jarur reply
Denge…..
App ka pyara [BCA] KA STUDENT….
apne bahut badiya inaformation diya hai.muje aapka artical pasand aaya.apne coding ko kese banaya jata hai aur uska use kese hota hai es ke bare me badiya information di hai. (hindimejane.com)
Thanks For Comment . (Back-link paane ke alag rules hai )
Nice post (techinhelp.in)
बेहतरीन जानकारी ,
काफी अच्छे से अपनी बात को आपने समझाया है !!
Nice post, I have been surfing online for more than 3 hours today, yet I never found
any interesting article like yours. It is pretty worth
enough for me. In my view, if all web owners and bloggers made good content
as you did, the internet will be much more useful than ever before.
There is certainly a lot to know about this issue.
I love all of the points you’ve made. I am sure this post
has touched all the internet viewers, its a really really good post on building up a new weblog.