SWIFT Code Kya Hai Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
SWIFT Code Kya Hai Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare . Friends aaj hum bank se judi bahut bhi important information ko janne vale hai ki SWIFT Code ya BIC Code kya hota hai , Or agar aapko kisi bank ka SWIFT Code pata karna ho to kaise pata karte hai . Agar aap internationally ek bank se dusre bank me paise magana ya bhejna chahte hai to SWIFT Code ki jarurat padti hai . Lakin kai baar IFSC Code (Indian Financial System code) ki bhi jarurat padti hai agar india me paise ko ek bank se dusre bank me transfer karna ho . Agar aapko IFSC Code ki jankari chahiye to ye post padhe : IFSC Code Kya Hai Bank Ka IFSC Code Kaise Pata Kare .
Friends ye post un ke liye bhi jaruri hai ho Google Adsense se Paise kamana chahte hai . Kuki Google Adsense ab India me paiso ko direct aapke bank account me wire transfer karta hai . Lakin Google Adsense se paise aapko tabhi milenge jab aap Google adsense account me apni bank details ko submit karenge , Jisme aapko apne bank account ka SWIFT Code bhi dena hota hai . Par SWIFT Code ki or bhi bahut jageh jarurat pad sakti hai . To chaliye sabse pahle samajhte hai ki SWIFT Code Hai Kya or uske baad hum janege ki Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Karte Hai .
SWIFT Code Kya Hai
Friends me aapko bahut hi easy and simple tarike se samjhata hu ki SWIFT Code Hai kya . SWIFT – The Society for Worldwide Interbank Financial Telecommunication , SWIFT Code ko kai dusre namo se bhi jana jata hai jaise – SWIFT ID, SWIFT-BIC ya BIC Code . SWIFT Code ek standard format hai Business Identifier Codes (BIC) ke liye jise approv kiya hai International Organization for Standardization (ISO) ne . SWIFT Code or BIC codes same hi hai .
SWIFT Code ek unique identification code hota hai , Jiska istemaal banks me money transfer ke liye kiya jata hai . jyadatar SWIFT Code ka use internationally paise ko wire transfer ke liye kiya jata hai . Iske sath sath is code ka use banks ek dusre ko messages karne me bhi karte hai kuki ye code sab banks ka alag alag or unique hota hai . Ya aap kah sakte hai ki is code se aap banks ko identify kar sakte hai .
SWIFT Code ki madat se bank name, bank location , branch in sab ki jankari mil jati hai . Is liye jab paise transfer karne hote hai to SWIFT Code manga jata hai , kuki SWIFT Code se unhe sab information mil jati hai , ki kon sa bank hai , location etc .. Or fir vo aasani se paise transfer kar pate hai . To simple aap itna jaan lijiye ki SWIFT Code ka use money transfer me kiya jata hai .
SWIFT Code me 8 ya 11 digits ke code hote hai . SWIFT Code ka ek simple example aap niche image me dekhe sakte hai . SWIFT Code me 4 part hote hai , jisme bank ki information hoti hai .
- SWIFT Code ke start ke 4 letters me Bank Code hota hai . uper image me dekhe .
- Uske aage ke 2 characters me Country Code hota hai .
- Or uske next 2 characters me Location Code Hota Hai .
- Aakhir ke 3 characters me Branch Code hota hai .
Mujhe lagta hai ki ab aap jaan gaye honge ki ye SWIFT Code kya hota hai . To Chaliye ab jaante hai ki Aapko yadi kisi bank ka SWIFT Code pata karna ho to vo aap online ghar baithe kaise pata kar sakte hai .
SWIFT Code Kya Hai Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
Bank Ka SWIFT Code Pata karne ki Internet par aapko bahut si website mil jayengi, Jin se aap SWIFT Code ka pata laga sakte hai . Par hum jis website ka use karke SWIFT Code pata karenge uska name hai – www.ifscswiftcodes.com . Is website ka use karke aap Banks ki or bhi details ko nikaal sakte hai , Lakin abhi hum Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Karte Hai Vo janege .
Sabe se pahle hame is website par jaana hai , Apna Internet brower open kare, internet Browser ke address bar me www.ifscswiftcodes.com daale or Enter button dabaye or is website par jaye . Agar aap direct is website pe jana chahte hai to yaha click kare : ifscsiftcodes.com
ifscswiftcodes.com website me jane ke baad, aapke samne niche di hui image jaisa page open hoga .
- Yaha par sabse pahle aap Top menu me SWIFT CODE par click kare . uper image me point 1 dekhe .
- SWIFT CODE par click karne ke baad new page aayega yaha hame country ko select karna hai . Yaha par hume INDIA (IN) par click kar de, kuki humari bank india ki hai . uper image me point 2 dekhe .
INDIA (IN) par click karne ke baad aapke samne new page aayega . niche image dekhe . Is Page par direct jane ke liye aap yaha par click kar sakte hai : SWIFT CODE INDIA . Yaha se hum indian banks ke SWIFT CODE ka pata laga sakte hai .
- Yaha par INDIA rahne de.
- Jaha par Select Bank Name likha hai , yaha par bank ka name select kare . uper image me point 2 dekhe.
- State Name Me , jis bank ka SWIFT code pata karna hai, vo Bank kis State ( राज्य )me hai us State ko select kare . uper image me point 3 dekh .
- City Name – yaha par City ( शहर ) ko select kare .
- Branch Name vale box me Bank li Branch ko select kare .
Sab kuch fill kar de . Niche image me dekhiye ki hamne kis tareh se sab information ko select kiya hai . Hame AXIS BANK ki delhi , Ashok vihar branch ka SWIFT CODE pata karna tha to dakhiye hamne kaise sab information ko bahra hai . niche imahe dekhe .
To aap bhi apni bank ki information ko bhar dijiye , Jis bhi bank ka aapko SWIFT CODE pata karna hai . Jaise hi aap sab information ko bhar denge . Vaise hi aapke samne aapke bank ka SWIFT Code dekhe sakte hai , Aap SWIFT Code ke aalava yaha par or information ko dekhe sakte hai . niche image dekhe .
Is tareh se aap bade hi aaram se kisi bhi bank ka SWIFT code pata laga sakte hai . Dekha aapne kitna easy hai kisi bhi bank ka SWIFT Code pata lagana . Umid hai ab aap apne bank ka SWIFT Code pata laga sakte hai , Agar koi problem ho ri ho to comment kar ke jarur bataye , Hum aapki help karenge .
Friends aapko hamari ye post – SWIFT Code Kya Hai Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare . Agar aapko hamari ye jankari pasand aaye ho or isse aapki help hui ho to is information ko apne friends or family ke sath share kare or dusro ki bhi help kare . Isi tarah aap hume apna sahyog dete rahe , Thanks .
[su_divider]
SWIFT Code Kya Hai Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare , Apne Bank Ka SWIFT CODE Kaise Pata Kare, Bank Ka BIC Code Kaise Pata Kare , SWIFT Code Kya Hota Hai, Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Karte Hai .
swift code ke bare mein bahut badiya janakri de aapne . thanks (neerajwiki.com)
Thanks For Comment Neeraj Sharma .